Hum Haar gaye!

169 11 15
                                    

Main chalta hun Yuvika bete, apna aur Bhumi ka dhyan rakhna
Main shighra-atishigra vapis aaunga'
Dadababu assured Yuvika by keeping his hand on her head and he left

'Kyunn nahi bta paayi tu Yuvika , Dadababu ko sab kuch? Kyaa tu bhi Mummy ki tarah give up karna chahti hai? Abhi kal raat ko hi decide Kiya tha Neil ke sath ki tu haar nahi manegi? Itni jaldi bhool gayi tu? Tujhe Kabir ki kahi ek bhi baat yaad nahi hai kya? Tu Vanshaj hai Mahajan Empire ki? Tujhe ladna hoga!!'
Yuvika saw her silhouette talking to her

'Yuvika agar tune Mummy ki baat Maan Li toh bahut durr ho jayegi, in sab cheezon se! Teri family hamesha safe rahegi.
Tujhe apni parwah nhi hai toh Kam se kam Isha, Arjun aur Mummy ki toh chinta kar.
Tu apni Jeet ke liye apne pariwar ko nahi haar sakti Yuvika !!'
Another silhouette warned her.

She continuously introspected,
She knows she can fight and win
She deserves to win but she cannot take another risk for her family.
She is strong enough to fight the battle but is she strong enough to put her family at stake?

••••• at Bhardwaj House •••

'areee Aunty aap! Aaiye na'
Neil saw Bhumi standing there as soon as he opened the door.
'thank you Neil' Bhumi said while coming inside.
'tum Yuvika ke liye Mumbai tak chale gye, kal uske sath baith kar baat ki
Vo kaafi acha mehsoos kar rhi thi, shukriya beta'
'shukriya kaisa aunty? Mera farz hai, Yuvika meri bhi toh dost hai' Neil smiled.

'kon hai betu?' Vidur asked while coming from Neil's room and adjusting his spectacles.
'Namaste Vidur Bhai Sahab' Bhumi joined her hands
'aree Bhumi tum! Aao baitho. .' said Vidur by navigating his hands towards sofa.

Bhumi sat on one side of the sofa whereas Vidur adjusted himself on other beside her.
'batao Bhumi, kaise aana hua?'
Before Bhumi could say anything, she looked towards Neil who just now brought water and biscuits for her.
Neil noticed her stare and understood that she isn't comfortable him being present there, though he was worried but he decided to leave and give elders some privacy.
'main bahar Jaa Raha hun Papa, kuch kaam hai!' Neil declared whereas Vidur nodded in acknowledgement.

'Vidur Bhaisahab pehle aap vaada kijiye ye baat aap kisi ko nahi batayenge, Neil ko bhi nahi' Bhumi started speaking as soon as Neil left.
'haan Bhumi par aisi kya baat hai?'
Vidur got little worried.

'Hum Rishikesh Jaa rahe hein, vo bhi Bina kisi ko bataye!'
'main samjha nahi Bhumi..' why she wants to leave for Rishikesh suddenly? Vidur thought!
'thakk gayi hun Bhaisahab! Roz khud ko apne baccho is gande khel ke daldal mein doobne se bachate-bachate.
Maine Prem ko diya, apna Beta kho diya
Ab aur kuch bhi nahi kho sakti
Isiliye meri aapse ek vinati hai....

....aap ye baat tab Tak kisi ko nahi jab tak main aapse na kahun!
Na toh Dadababu ko aur na hi Neil ko'

'Par Bhumi sab kuch achaanak yahaan choddh kar tum kaise Jaa sakti ho?
Dadababu ko pta chla toh vo tumhe kabhi jaane nahi denge..'
'isiliye toh aapke pass aayi hun Bhai Sahab!
Main chahti hun ki aap mere hisse ke saare shares Dadababu ke naam transfer karne ke liye, papers ready karvayein!
Main apne saare shares Dadababu ke naam par transfer karke apne baccho ko lekar yahaan se bahut durr chali jaungi'

'par Bhumi...'

'aaj Prem ki Patni aur uska Pariwar pehli aur aakhiri baar aapse kuch maang raha hai Bhaisahab, mna mat kijiyega'

'main tumhari baat samajh raha hun Bhumi lekin tumhare jaane se, Yuvika ke jaane se
Sab barbaad ho Jayega! Mahajan Vansh khatam ho jayega Bhumi'

MAHAJANS ~ The Entangled Empire!Where stories live. Discover now