Jana Zaroori Tha ??

65 20 25
                                    


Shayad voh vakt hi bewakt tha,
Shayad lamba zyada voh lamha tha,
Ya ghati aisi ghadi thi, jiske baad,
Dil ko pata sirf tanha tha.

Meri Har subah jaise be roshni,
Koi shaam mein ras na hota tha,
Muskurahat bhale mukh pe ajaye,
Par man sirf chahna rota tha.

Laga jaise kuch chheen lia hai,
Vidhata ne jo khushiya dete hai,
Achhe hote unke itne pyaare ki,
Apni god mein hi unhe bhar lete hai.

Par fir tumhi, jo ja chuke the, bole,
Yahi niyati hai insaan ki,
Aur ant mein svarg Jo Ghar ban Gaya,
Ab yaad na aaye praan ki.

Ahatein tumhari abhi bhi yaad aati hai,
Par Santosh tumhari manzoori ka,
Bas fir aake ek baat bata jao,
Kya jana itna zaroori tha ??

Kya dard ho raha tha itna,
Mrutyu lok ki chhuri ka ??
Arey ek baar mudke muje dekh hi lete,
Kyu Jana itna zaroori tha ??

- Anushka

~Aaj bas koi bohot zyada yaad aa raha hai. Uska har khvaab aake sata Raha hai. Kaash voh yaha hota toh sabkuch kitna achha hota na. There's always a person in our lives jiske hone na hone se bohot bada farak padta hai cause uske upar life rely karne lagi hoti hai aur fir achanak hi voh kandha duniya se hi hat jata hai toh chubhta hai, bohot chubhta hai. Chot lagti hai. Par voh kandha Jo sambhalne ke liye chahiye hota hai voh nahi milta. Voh dukh dheere dheere dab jata hai, ansoo sukhne lag jate hai par lagta toh utna hi hai aur vakt ke sath sath aur tezi se vaar hone lagta hai~

Kavita-Ghar ✨Where stories live. Discover now