Chapter 1

50 4 5
                                    

Toh shuruwat hoti hai.....ek phone call se

Otp

??- Hello.

??2- Hello~ what's up my bestie~

??- Haan haan main phone karun toh hi yaad aati hoon tujhse toh phone kiya hi nahi jaata hai.

??2- Hehe woh..... padhai se time hi nahi milta hai toh kya karun yaar ansha.

Ansha- (sigh) Accha accha koi baat nahi aur bata kaisi hai tu darishta.

Darishta- Bindassss.

Ansha- Hmm accha sun mere paas tere liye ek good news hai.

Darishta- Kya?

Ansha- Itni aasani se nahi 😁....

Darishta- Toh kya mujra karun? Tab batayegi?

Ansha- Waise idea bura nahi hai.

Darishta- Kya main mazak kar rahi hoon 🙂?

Ansha- Hehe 😅 accha toh sun......... meri na.......

Darishta- Teri na?

Ansha- Meri na.....

Darishta- Haan teri na?

Ansha- Shaadi hone wali hai........

Darishta- Accha shaadi- Wait what!? Shaadi? Kaise? Kis se? Kab?

Ansha- Arre aaram se puch toh......fix ka kya hai ammi abbu ne sahi samajhke kar di aur doosra ladke ko toh tu aake hi dekh lena aur teesra agle mahine hai shaadi.

Darishta- Waah behen ladka bhi mil gaya shaadi bhi fix ho gayi aur agle mahine shaadi bhi hai nice.... par yaar batana ladka hai kaun?

Ansha- Main kyun bataun? Tu khud pata kar 😁 ladke ko tu jaanti bhi hai aur pehchanti bhi hai.

Darishta- Jaanti bhi hoon? pehchanti bhi hoon? Kaun hai bhai?!!

Ansha- Accha phone rakhti hoon byeee.

Darishta- Ayy bata toh peh- hello?

Aur ansha ne phone rakh diya

Darishta- Kaat diya phone! Aisa hain kaun jisse main pehchanti hoon? Chalo koi na jab jaungi tab toh pata chal hi jaayega abhi toh pehle ammi abbu ko bata ke aati hoon.

Woh apne room se nikalke gayi apne ammi abbu ke paas

Darishta- Aur suna kuch aap logon ne?

Darishta's mom- Nahi toh? Kyun kya hua?

Darishta- Arre ansha ki shaadi hone wali hai.....!!

D/m- Kya?!

Darishta- Haan.

Darishta's dad- Lekin tumhe kaise pata chala.

Darishta- Phone kiya tha ussne thodi der pehle.

D/m- Ohh.

Darishta- Haan aur hum sabko jaana bhi hai.

D/d- Shaadi hai kab?

Darishta- Agle mahine. . .

Aur phir agle mahine ka sunke sab packing mein lag jaate hain aur darishta aur usski mummy dono shopping ke liye chali jaati hain

Time skip
At night

D/m- Ho gayi hai na teri saari packing?

Darishta- Haan ho hi gayi hai bas thodi hi reh gayi hai toh sone se pehle kar lungi.

D/m- Hmm thik hai phir ansha ko phone karke bata do ke hum parso aa rahe hain.

Darishta- Thik hai bata dungi.

Khana khake darishta gayi apne room mein aur ansha ko phone kiya

Otp

Darishta- Aur.... kaisi hai dulhan?

Ansha- (chukle) Thik hoon baba.

Darishta- Hmm taiyar reh aa rahi hoon main parso.

Ansha- Sacchi?!

Darishta- Mucchi, aate hi pata karungi ke tera dulha aakhir hai kaun.

Ansha- Haan kar pata maine thodi hi roka hai.

Darishta- Waise... ghar pe sab kaise hain?

Ansha- Thik hain tere ghar pe sab kaise hain?

Darishta- Just like me... bindassss accha chal ab main phone rakhti hoon byeee.

Ansha- Bye.

Phone rakhne ke baad jo baaki ki packing thi woh karne ke baad darishta so jaati hai

To be continue

I know first chapter ke hisaab se yeh kaafi short aur bekar chapter hai but main kya karun mera dimaag out of idea ho gaya hai iss story ko leke koi idea aa hi bhi nahi rahe hain ager kisi ko koi idea aaye...toh HELP!

Bye ☺️💜❤️

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Mar 13 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Childhood Love (Short Series)Where stories live. Discover now