Junoon bhi nahien

144 18 26
                                    

Faraz' ab koi sauda koi junoon bhi nahin
Magar qaraar se din katt rahey hon yun bhi nahin

Lab-o-dahan bhi mila gufta-gu ka fan bhi mila
Magar jo dil pe guzarti hai kah sukoon bhi nahin

Meri zubaan ki luknat se badgumaan na ho
Jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahin

'Faraz' jaise koi diya turbat-e-havaa chahe hai
Tu paas aaye to mumkin hai main rahun bhi nahin ...!
--------------------------------------------------------
{ dahan = mouth, gufta-gu = conversation, fan = skill,
luknat = stammering, badgumaan = suspicious, turbat = tomb }

Dasht-e-Aarzoo.#lovefrompakistan Completed ✔️Où les histoires vivent. Découvrez maintenant