Life's stages

18 6 6
                                    

Bachpan main dushman bhi dost lagtey hain.
Jawani main dost or dushman main faraq maloom hota hai.
Or
Burhapey main dost bhi dushman ban jatey hain....!

Bachpan  main log girney nahi detey.
Jawani main log khud thokar maar detey hain.
Or
Burhapey  main gir jain to log uthana bhi ganwara nahi kertey...!

Bachpan main khelna nahi ata tha.
Jawani main kheilna seekh lia.
Or
Burhapey main khiloney hi cheen liay...!

Bachpan main paisey nahi, dost nahi, mgar waqt bohat zyada.
Jawani main paisey nahi, waqt nahi, magar dost bohat zyada.
Or
Burhapey main waqt hai, paisa hai, magar dost koi nahi....!

Bachpan main kaam karna nahi ata ,or aram krtey hain
Jawani main kaam krnay ka dil nahi krta , or aram ka waqat nahi milta
Or
Brhapey main kaam krney key qabil nahi rehtey ,or aram krtey kerty thakk jatey hain....!

Bachpan main sab barey pyaar sey sikhatey hain.
Jawani main ustaad sey nafratt ho jati hai.
Or
Burhapey main hum khud ustaad ban jatey hain...!

Dear DiaryWhere stories live. Discover now