💖Part 1(scene 1)💖

3.7K 29 14
                                    

"Sari Dunia ik tarf or ye larka ik tarf, mangni karwa Kar hum pr ehsan Kar Raha hai" Tai Jan waqei aajiz dekhai Dy Rahi thin.

"Sab dekhawa hai Tai jaan! Mosouf dil o jaan bal k jigar pheprun samait is mangni se Razi hain, ye Sirf ahmiyat barhany ki adaiyen hain jo har baat naak bhawen(eyebrows) charhai jaa Rahi hai" Doha ne chai ka cup in ki tarf barhaty howy haqiqat ashkar ki tu chachi jaan ne tafakur se pocha

"Ab Kia Keh raha hai wo?"

"Woi bekar ki zid k mangni ka Sara intyzam Kisi marriage Hall ya phir lawn Mei hona chahiye" Tai jaan ne be'zaari se kaha tu DOHA ko istyjab ne aa ghera

"Ghar ka lawn tu unhe pasnd nai tu ye marghazar k lawn ki farmaish q"
ZOHA k is sawal ka jawab Tai jaan ne tu nai al'bata EBAAD k sath andar aaty us ne khud khasy shahana andaz Mei dia tha

"Larki pasnd Karne se ly Kar ab tak in logn ne mujhy mashriqi doshiza ki tarha chup rakha. Liken ab Mei sahib e iqtedar hun, lihaza Meri baat man'na jani chahiye"

"Hata k sahib e kirdar hoty tu zeyada man'na jati" EBAAD K karwy karely jaise luqmy ne ZOHA ko kafi mehzoz Kia Tha.

"Ayse hoty hain ansteen ki damp" ANAS ne cushion utha k EBAAD ko Dy mara.
Phir atal andaz mei bola,
"Tum log Kuch bhi bolo magr mai Ghar Mei function nai karun Ga"

"Or mai kahin bhi nai hony dyna chahta. Magr waye re qismat" EBAAD ne aah Bhari.

"Akhair Tumhe aytraaz Kia hai mangni ka function Ghar pr hony pr??" Chachi jaan in Sab ki ghair sanjeedgi se sakht alargic thin. So inhun ne foran baat ko asal mouzo ki tarf pakra tu us ne ta'asuf se Un ki tarf dekha jaise Un se is sawal ki umeed nai thi.



Kaisi lagi??

i knw short hai but mujh se book delete ho gyi

Sorry for that

❤❤muhabbat dil py dastak❤❤Where stories live. Discover now