At Oberoi house,
Shivaay lifts unconscious Annika in his arms and went to the guest room. Shivaay make her lay down on the bed. Pinky brought some water and sprinkle on Annika's face. Annika opens her eyes.P-"Beta thik ho na tum?"
A-"Ji?.....Ji thik hu ab"
S-"Dekhiye Annika ji aapki health thik nahi hai. Doctor ne bhi aapko rest karne ke liye kaha hai. Ab aap kuch mat sochiye aur rest kijiye."
P-"Ha beta,bhul jao sab. Isse tumhara hi ghar samjho. Jab tak tum thik nahi ho jaati tum yahi rahogi,samjhi?"
A-"Nahi aunty ji,me yaha kaise reh sakti hu,me toh ek widow hu aur widow ko toh jeene ka koi haqq....."
S(shouted)-"Bas kijiye.....(calmly) mera matlab,kyu aap apne aap ko doshi maan rahi hai. Aisa kuch bhi nahi hai. Aur jab tak aap thik nahi hoti yahi rahengi aap,samjhi?"
A-"Ji"
P-"That's like my girl. Chalo ab aaram karo tum thodi der. Me thodi der me aati hu."
A-"Ji aunty,thank you"
P-"Ab yeh baar baar thank you bolna band kr. Chal Shivaay hum chalte hai. "
S-"Ji mom"
Pinky left from there. Shivaay also went till the door but again came back to her.S-"Annika ji?"
A-"Ji???"
S-"Woh.....me.....me abhi office jaa raha hu. Aap apna khayaal rakhna. Kisi bhi cheeze ki jarurat ho toh mom ya Sundar kaka ko bolna."
A-"Ji thank you"
S-"Thank you mat boliye aap. Aur ha baar baar ghar se chale jaane ki baat mat karna. Jab tak aap thik nahi hoti,kahi nahi jaayengi."
A-"Ji "
S-"Ab me chalta hu,bye"
A-"hmmm bye"
Shivaay smiled and went from there. Annika again started dancing.At dinning table,
Shakti-"Pinky us ladki ko hosh aaya?"P-"Ji aa gaya subah hi"
Sh-"Toh chali gayi na woh apne ghar?"
P-"Nahi uska ghar hi nahi hai"
Sh-"Ghar nahi hai matlab?"
P-"Actually uske pati ke Marne ke baad gharwalo ne use ghar se nikal diya hai. Ab jab tak woh thik nahi hoti na,woh yahi rahegi."
Sh-"Kya???Yaha?Pagal ho gayi ho kya tum?Ek ajnabee ladki ko aise kaise rakh sakte hai hum?"
P-"Kyu nahi?Woh bechaari jaayegi kaha?Mujhe kuch nahi sunana,woh yahi rahegi."
Sh-"Thik hai jo mann hai karo. Mujhe kya? Me jaata hu office. Shivaay kaha hai?"
P-"Woh toh kabka chala gaya hai"
Sh-"Thik hai me chalta hu"
Shakti left from there. In afternoon Pinky once again came to see Annika and to serve her lunch and to give medicines. After sometime, she left to old age house for distribute mithai.
P-"Sundar dada, wo kal ki mithai le aana. Mujhe old house jaana hai,der ho rahi hai."
Sundar-"Ye lijiye mam"
P-"Thank you. Woh aaj waha Yamini ji ka birthday hai na isiliye ye banwayi aapse. Bahut pasand hai waha sabko aapki haath ki mithai."
Sundar-"Thank you mam"
P-"Accha suniye,woh Annika ka dhyaan rakhna. Uske liye maine juice banakar rakha hai fridge me woh de dena use. Aur ha use bahar jaane mat dena,chahe kuch bhi ho jaye."

YOU ARE READING
My Billionaire Husband(Completed)
FanfictionThis story mainly focuses on Annika and Shivaay's life,how their thinking about the marriage will change.