Chapter 10| Parwaaz e Nahumwaar

3.4K 280 163
                                    

"Khuda Hafiz Daadi ashqem!"

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Khuda Hafiz Daadi ashqem!"

Dono shehzaadey ek sath galley miley thaiy.
.خداوند از شما محافظت کند "

" وقتی به آنجا رسیدید، مرا صدا بزن

(Allah kay amaan mein raho! Puhnch kay phone karna!)

Woh muskura rahi thei mgr chehrey par fikarmandi saaf zaahir thi. Woh Ruhaan se kayi baar puch chuki thi kay woh khush hai na? Sab theik hai na? Aur woh in sab sawaalo ka jawaab ussi tehrey huey lehjey aur sard si awaaz se haan mein de deta. Unho ne kayi baar Aarish se puchney ki bhi koshish ki lekin woh mauzoo badal kar saaf keh daita kay Ru ki dangerous baatein mujh se na pucha karein.
Iss baar Ruhaan keh kar ja raha tha kay woh Law complete honay se pehle Pakistan nai aye ga. Iska matlb hai woh dono 3 saal baad hi dobara Pakistan ki shakal daikhney aye gai. Daadi jaan buht Pareshaan hui thi aur unkay israar par bas ek baar chakar lganey par raazi hua tha. Woh jaanti thi kay woh bhaag raha hai lekin kab tak?
Insaan aksar apni zindagi mein aaney wali har dastak ko mauqa diye beghair thukra daita hai. Yeh samjhna asaan nai hota kay har dastak pichli dastak jesi nai ho gi. Lekin Insaan to insaan hai. Har ek ka alag defense mechanism. Kuch apne darwazey itne zor se band kar lete hain kay andr na roshni askey aur na hawa aur kuch har cheez ko khud se guzar jaaney dete hain. Lekin koi koi bas yeh jaanta hai kay khud se guzar jaaney deney kay liye zarf buht barra karna parta hai. Har baar dhoka kha kay phir bhi muhabat karney se na darna, har baar takleef puhnchney kay bawjood sabr kr jana, Rishto se thokar kha kar bhi akhri dm tak unhey nibhaaney ki koshish karna,
Majaazi ho ya Haqeeqi,
Ishq ki baazi khel jana har ek kay bass ki baat nai.

"Allah Hafiz Baba!" Aarish, Zafar Khan kay galey lga tha aur woh bhi khushdili se miley thai. Jb kay Shaista fiqarmnd chehrey se sirf Ruhaan ko daikhey ja rahi thi.

"Khuda Hafiz!" Ruhaan buland awaaz mein akhri baar keh kar garage ki trf barh gya tha.
Zafar aur Shaista jaantey thai woh kbhi unse galey nai miley ga. Kabhi nai.
Unki aankho mein har baar ek umeed aati jo toot jaati. Zafar Khan uss raat se le kar aaj tak iss sawaal ka jawaab talaash krney mein nakaam rahey thai kay unho ney yeh nikaah karwa kay sahi kia hai ya ghalat? Nationality blackmailing krna theik tha? Ruhaan Safoorah kabhi sath chal paayein gai?

Inn sab sawalo kay jawaab wahan mujood 5 logo mein se kisi kay paas bhi nai tha.
Kon keh skta hai aagey kia ho?
Apni trf se sb ne samjhdaari ka muzahira kar lia tha jitna kar saktey thai ab qismat ki baari thi.

_________________________________

"Assalam'uAlaikum baba!" Safoorah chehak kar boli thi.

"Shukar hai bachey. Sim to daali. Mein kb se İntizar kar raha tha. Sab theik raha koi mushkil to nai hui?"

"Absolutely not baba. Ahmad uncle buht achey thai unho ne hi sim di . Airport bhi wohi aye thai. Tasty sa khaana khilaya. Unki wife buht achi hain baba. Pata hai woh hum sab ko jaanti hain. Aur unki Beti mere jitni hai. She's too pretty. Aur beta unka London parhta hai. Waooww baba. Apkay itney achey dost hain yeh kabhi hum se milney kyoun nai aye. Aur wait a second baba inko yeh pata tha kay mere nikaah ho gya hai. Sab kuch acha tha siwaye iskay kay waha mein Safoorah Aurangzeb ki trhan nai Mrs. Ruhaan ki trhan treat kar rahey thai. Uff. baba you know what Woh to Zafar Uncle aur unki family ko bhi buht achey se jaantey hain and......"

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now