episode 3

411 28 0
                                    


Sahir and arjun reached at maya's office
Noor:- hello sir plz come
Sahir:- hello
Arjun:- maya mam kaha hai
Maya:- main yaha hu arjun
Arjun and sahir turns
Arjun:- hi maya mam
Maya:- (ignore him) noor main lunch kar k aati hu
Noor:- sir this is lunch time can u plz wait for 15 minutes
Sahir:- yeah sure
Arjun:- hum bhi lunch kar k aate hai
Noor:- sir aap baithiye main aap logo ka khana yahi mangwa leti hu
Sahir:- no thank u plz dont bother
Maya:- abhi toh aap ko bhi jhelna hair.sahir
Sahir:- sath mil ke kaam karenge hum sath mil kr jhelenge sab
Arjun:- noor aap khana yahi mangwa lijiye
Maya:- humara namak kha k aap phir se mujhe dhoka toh nhi denge na
Sahir is looking at maya
Sahir:- maya
Maya:- chalo noor
After lunch
Maya:- so mr.sahir aap mere sath hi kyu kaam karna chahte hai
Sahir:- bcoz i like ur work and the way aur aap ka kaam ko le kar jo junoon hai woh bhi mujhe pasand hai
Maya:-ohh aur kya kya pasand hai aap ko
(sahir just mesmerized in maya)
Sahir:- tumhari baate,tumhara hasna hamesha mujhe protect karna tumhare hath ka gajar ka halwa....
Arjun coughs
(sahir come to his sense)
Sahir:- m so sorry
Maya:- aap par shak ho raha hai mujhe
Sahir:- bharosa kar k dekho
Maya:- dekha tha bharosa kar k aur uska anjam bhi
Sahir:- maya plz mujhe ek baar samjhane ka mauqa do
Maya:- dekhiye mr.sahir yaha maine apni personal life discuss karne nahi bulaya hai aap ko mere kuch terms and conditions hai aap dekh lijiye agar aap ko manzur ho toh sign the papers
Sahir:- mujhe manzur hai (sign the papers)
Maya:- ek baar padh toh lete
Sahir:- tumhe mujh pe nahi hai par mujhe tum pe aaj bhi utna hi bharosa hai
Arjun:- so the deal is done
Arjun shake hand with noor
Sahir shake hand with maya
Sahir:- ab hum sath hai
Maya in her mind
Maya:- bohat badi galti kar di tumne yeh papers sign kar ke mr.sahir tumne deal nahi apni tabahi pe sign kiya hai
Arjun:- so ab hum chalte hai kal se ek naya din shuru hoga
Noor:- yes plz come this side
Next day
Sahir calls maya
Sahir:- hello
Maya:- yes
Sahir:- maya this is sahir
Maya:- i know
Sahir:- aaj bhi aawaz pehchanti ho meri
Maya:- tum jaise insan ki aawaz aur insan dono ko achi tarah pehchan chuki hu main
Sahir:- maya plz ek mauqa do samjhane ka
Maya:- dekho sahir professional life me saare personal matters mat lao kyu call kiya hai woh kaam ki baat karo
Sahir:- okay..actually ek client hai unke bete ki shadi hai hume woh organize karna hai lekin
Maya:- lekin kya
Sahir:- woh shadi yaha nahi jaipur me hai
Maya:- so lets go jaipur
Sahir:- staff nikal chuka hai sirf hum char log baaki hai
Maya:- kon
Sahir:- hum aur noor and arjun
Maya:- ab hum...hum nahi rahe sahir...tum arjun k sath pohacho main aur noor bhi nikalte yaha se
Sahir:- maya..
(cuts the call)
Maya talking to her mother photo frame
Maya:- maa main sahi hu na main jo bhi karne k baare me soch rahi hu sahir k sath woh sahi hai na mujhe aap ka aashirwad chahiye
Later
Maya:- noor arjun ko call kar ke pucho ke woh dono kaha hai
Noor:- yes mam
Then sahir and arjun come
Sahir:- maya main soch rha tha ke tum mere sath chalo aur arjun ko noor k sath bhejo
Maya:- kyu aisa socha tumne
Sahir:- kyu k tum dono ladkiya ho atleast koi ek male hona chahiye sath me
Maya:- agar aisa hai toh aap ke jaankari k liye bata du 7 saal main akeli hi hu aur mujhe kisi mard pe bharosa nahi hai kyu k jo sath dene ka waada karte hai wahi akela kar k chale jate hai aur agar tumhe sach me itne fiqr hai toh noor tum sahir k sath chali jao arjun main tumhare sath chalti hu
Arjun:- but maya mam
Sahir:- arjun gaadi nikalo noor tum baitho
All four of them starts their journey towards jaipur
Arjun:- maya mam..
Maya:- call me maya only
Arjun:- maya aap ek baar toh sahir ki baat suno aap uss din bina baat sune hi chali gayi
Maya:- ab sunne ko bacha nhi h kuch
On the other side
Noor:- sir can i ask u smthng
Sahir:- yes
Noor:- kya aap aur maya mam ek dusre ko pehle se jaante hai
Sahir:- 😊 hmm bohat saalo se
Noor:- toh phir woh aap k sath aise kyu behave krti hai
Sahir:- naraz hai woh mujhse...
On the other side...
Maya:- arjun gaadi roko..
Arjun:- kya hua maya
Maya:- arjun gaadi roko mujhe....(faints)
Arjun stops the car
Arjun:- maya...maya ohh shit (he get out of the car)..put maya outside the car..
Sahir saw them nd he also stop the car
Sahir:- arjun...kya hua maya ko
Arjun:- pata nahi achanak behosh ho gayi
Sahir:- maya...maya..aankhe kholo
Noor:- maya mam uthiye plz..
Sahir:- tum dono jaipur k liye niklo main maya ko hospital le kar jata hu..
Noor:- par sir..
Sahir:- tum tension mat lo kuch nhi hoga arjun jao tum dono
Arjun:- okay chalo noor..
(arnoor leaves)
Sahir:- maya...maya plz aankhe kholo (put some water on her face)
(maya slowly opens her eyes)
Sahir hugs her..
Sahir:- thank god tum thik ho main kitna dar gaya tha kya hua achanak tumhe..
(maya push him away)
Maya:- tumhari himmat kaise huiujhe chhune ki tumhara koi haq nhi hai mujh pe samjhe tum
Sahir:- maya tum behosh
Maya:- behosh ho gyi thi yahi na...mari nahi thi aur tumhe meri fiqr karne ki koi zarurat nahi hai noor kaha hai aur arjun..
Sahir:- woh dono chale gye hai ab hume bhi chalna chahiye
Maya:- thik hai
They both sit in car
Sahir:- tum thik ho ab?
Maya:- hmm
Sahir:- kyu itni narazgi hai tumhe...
(maya got angry)
Maya:- yeh sawal mujhse puch rhe ho tum uss raat jo tumne kiya agar main karti toh tum bohat khush hote mujhse tumhare hath khun se range hai mujhe ghin aati hai tumse aur afsos hota hai yeh soch k tum jaise insan se kabhi maine pyar kiya tha gussa aata hai khud pe k maine tum jaise insan k sath shadi ki thi tumne sab barbad kar diya sahir tumhari wajah se hi woh hasti khelti maya mar gayi
Sahir:- maya plz ek baar...
Suddenly maya shouts
Sahir.....
Later...
Maya:- sahir...sahir ohh no she call noor..
Maya:- Hello noor sahir ka accident ho gaya hai
Noor:- what kaise..
Arjun:- noor kya hua hai
Noor:- woh sahir sir ka accident
Arjun snatch the phone
Arjun:- hello maya kaha ho tum hello..
(call disconnect)
Ends
Precap
Maya:- plz meri madad kijiye woh waha ek accident hua hai bohat khun beh raha hai plz..
Man:- kon hai yeh aap ke..
Maya:- yeh..woh mere..
Lady:- arey pati hi honge tabhi toh pareshan ho rhi hai

REHNUMAWhere stories live. Discover now