Meri mohabat

96 9 8
                                    

Mein aik lrki.. jee haan aik lrki hun... aur aap achi trha jaantay hain k lrki kya hota hai.. aik aisi makhlook jo bus khawabon ki dunia mein hi rehti hai... khair!

Mein aaj aap ko apni mohabat ki kahaani sunaani chahti hun jo k shuruh honay se pehlay hi khatum ho gai.. 
Yah! Kbhi shuruh hi nhi hoi thi..

Ab aap apna zaida dimaag istimal naah krain toh acha hai...

Ooopss!! Sorry!!

Ok!

Then!

Mein sunaati hun aap ko aik lrki ki aisi mohabat ki kahaani... jo k khawabon mein rehna zaida pasand krti thi.. jee hain woh lrki mein hi hun..

Mjy hamesha se hi novels prhnay ka shok tha aur mein hr novel ko prhtay waqt khud ko uss novel ki hereon smjhnay lgti thi.. yaqeenun aap bhi novel prhtay howay khud ko hereon hi smjhti hon gi (aur mard hazrat.. oh i mean lrkay hazrat khud ko jahan sikandar aur umer jahngeer se kum nhi smjhtay).. lol!!

Toh mein jub bhi koi novel prhti thi toh mjy lgta jaisay dunia ki ikloti, sub se haseen, aur masoom lrki mein hi hun.. mjy waisay shuruh shuruh mein iss mohabat, pyaar wagaira pe koi aitbaar nhi tha.. laikin mein aik din agr koi novel prhti toh agla poora hafta uss k character ko hi sochti rehti( theek samjhay aap😉😉) ..haan woh alag baat hai k mjy ghar walon se khasoosun apni amma hazoor se bht baatain sunni prti thin... khair ab kya kya btaoon?? Kis had tuk jaaoon?? Aur kisay staaon??

Oh!! Waoww!! Yeh toh shair hi bun gya...

Daikha bus novels prh prh k meray dimag pr asar ho gya hai....
Yeh meri amma hazoor k dialogues hain meray nhi....

Ok.. phir mene socha k q naah yeh mohabat ki jayay.. i mean try maarnay mein kya harj?? (Ab aap hi btayain koi harj hai bhala? Haan nai toh😒) ...

Phir mene sub se pehla try jo maara.. bus naah hi poochiyay( magr aap sunna chahtay hain toh koi baat nhi.. dil pr pathar rakh k suna hi daiti hun) mene pehla try apnay mamo k baitay pe maara.. jee hain woh aik handsome aadmi tha( jahan sikander se kum hi tha) mjy yaad hai jub phupho ki baiti ki shadi pr mein khasoosun uss k liyay tyaar hoi thi.. ab yrr kya btaoon.. mein tyaar ho kr uss k saamnay gai aur poori qowat se uss se takrai thi (jee haan jaan boojh kr)

Oh sorry! Woh galti se..

Mene bht masoom se shakal bna kr kha tha...

Jub aankhon pe 10 tahain bithao gi toh nazar kesay aayay ga?

Woh khoon kawar nazron se mjy daikh rha tha.. aur aap ko toh pta hai k mein kitni masoom hun issi liyay uss ki awaz pr dur gai... Bunda poochay ab makeup aankhon k ooper kiya jaata hai yah under jo dikhai nah dai.. haan nhi toh..

Khair! Mein munh bna kr chal pri...
K...
Achanak!
Uss ne!
Haan usi ne!
Aray haan bhai ussi ne!
Mjy awaz di.. mein dil hi dil mein bht khush hoi k bus ab woh mjh se maafi maangay ga..aur agr maafi naah bhi maangay toh kum-uz-kum koi mohabat bhara jumla toh keh hi dai ga.. mein dil hi dil mein soch rhi thi k ab nakhray shuruh kr dun.. q k mein itni jaldi maanay waali toh nai..

Magr aap jaantay hain khawabon ka khoon kesay kehtay hain??

Yaqeenun nhi! Mein btaati hun..

Mein aisay muri k meray khoobsurat haseen baal meray munh pr aayay.. mene haath se unhain peechay kiya..

G..

Mene poocha...

Jao meray jootay lai kr aao.. phupho k paas hain... aur haan aik baar polish kr laina..

Aur meray khawabon ka qatal ho gya.. mein aap ko bta nhi sakti k mein kitna roi thi uss din... ahh!! Aap kya jaanayin...

Mein ne bura sa munh bnaya... ab zahir hai mein khush toh nhi ho sakti thi.. ab bnda poochay k shadi k din bhi koi jootay polish krwata hai.. woh bhi apni itni haseen aur masoom cousin se?? Haan nhi toh..

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Mar 21, 2020 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Meri Mohabat Where stories live. Discover now