One shot :)

181 21 29
                                    

Ek aur shaam us khirki kay pas kharayy ho kar wo ye soch rahi thi ke zindagi kitni "unpredictable" hai. Ye zindagi jiski har koi chaah karta hai, kitni ghair mehfooz hai. shaam ki chai aur kuch dimaghi khalishein har waqt uske sath rehtien thien. soch ka safar roz usko kahein le jaata tha.

"sardiyoon ke shamein apne andar ajeeb si khamoshi rakhti hain, jo sirf kuch logon ko sunai diya karti hai. aur kuch log sun kar bhi usko mehsoos hi nahi karna chahtey."

Table par chai ka cup wapis rakh kar wo phir khirki ki taraf mutawajja hui

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Table par chai ka cup wapis rakh kar wo phir khirki ki taraf mutawajja hui. Barish ho rahi thi, usko barishein bilkul pasand nahien thi. iski bohat sari wajoohat mai se ek, us se juri wo ab yaadein thein jinko wo yaad nahi karna chahti. Porey ghar mai uska akela wajood bolti nazroon ke sath, aankhon mai aansu liye us khirki ke samne khara hua kuch sawaal kar raha tha.

ab uski zindagi mai aaney wali tamaam khushiyaan usko khoofzada kar deti thein. Usey khushiyaan raas nahi aati thein. us ke mutabiq khushiyaan itmenaan nahien hotein, ek saraab hoti hain jo thori dair ke liye zindagi ko aasan banane aati hain aur jaaty jaaty wohi akela pan chor jaati hain. Is se behtar hai wo na hi aien. taakey insan un hi halaaat mai jeeney ka aadi rahey. koi umeed na lagaye. usey kisi tahaffuz ka ehsaas na ho. usey bas ye pata ho ke zindagi yun hi constant rahe gi. takey wo kabhi to stable ho sakey.

aur yahan kharey ho kar usko apne abbu ke kahi hui wo baat usko rooz yad aati thi,

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

aur yahan kharey ho kar usko apne abbu ke kahi hui wo baat usko rooz yad aati thi,

"Zindagi kabhi kisi ke chale jane se nahi ruka karti. Insaan marne wale ke gham mai do aanso bahaa leta hai aur phir apne aap ko aesy kaamo mai masroof karleta hai jo usey marne wale ki yaadon se door rakhein. Uske haq mai saal mai 2 3 martaba dua e maghfirat. aur bas. Allah ne insaan ko bohat mazboot banaya hai. Insaan faraar ikhtiar karleta hai, apni soch se, apne aap se. aur shaed yehi uske haq mai behtar bhi hai. aur jo log aagey nahi barhh paatey, duniya unhein apne pairoon ki dhuul bana kar uraa deti hai, yahan chaah kar bhi koi umar bhar ke roug bardash nahi kar sakta."

Ankhoon se anso saaf karke wo qareeb ek table par beth gai, shelf se randomly ek kitaab nikaali aur marked page ko parhne lag gai, "DUNIYA KA KOI DARWAZA NAHI HOTA, JISE KHOL KAR HUM BAHIR NIKAL JAIEN, DUNIYA KI SIRF KHIRKIYAAN HOTI HAIN, JIN SE H...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Ankhoon se anso saaf karke wo qareeb ek table par beth gai, shelf se randomly ek kitaab nikaali aur marked page ko parhne lag gai,
"DUNIYA KA KOI DARWAZA NAHI HOTA, JISE KHOL KAR HUM BAHIR NIKAL JAIEN, DUNIYA KI SIRF KHIRKIYAAN HOTI HAIN, JIN SE HUM BAHIR JHANK SAKTY HAIN. BAA'Z DAFA YE KHIRKIYAAN DUNIYA SE BAHIR KE MANZIR DIKHATI HAIN. BAA'Z DAFA YE APNE ANDER KE MANAZIR DIKHANE LAGTI HAIN, MAGAR RIHAAI AUR FARAAR MAI KABHI MADAD NAHIEN DETEIN."
(AMMAR BAIL)

usne kitaabb band kardi. in alfaaz ne uske andar ek toofan khara kardia tha, aur uski aankhon se aansu wazih hone lagey thay. wo zaar o kataar rone lag gai. aur phir us khirki se barish ko dekhne lagi. usey apne upar ikhtiar nahi tha. usey wo sab waqiyaat yaad aane lagey jo pichle 4 saal mai uske sath pesh ayy.

Badkismati se zindagi mai aane wale tamaam dukhon aur takleefon ki khabar usko is khirki ke samne hi mili thii, chahey wo uske dada ke intekaal ki khabar ho, ya us haadsey ke waqt kiya jane wala telephone, ya kuch aur, har mauqey par barish ka maujood hona hi usko barish se khof zada kardeta tha.

aur har baar uska us khirki ke mai se aasmaan ki taraf dekhna, aur ye sawaal karna ke kash ye sab kuch ek bohat bura khwaab ho....  wo tama'am manaazir uske dil o dimagh mai aj bhi taazaa thay.
lekin us ne apne aap ke elawa kabhi kisi se shikayat nahi ki. roz shaam ko yahan a kar wo apne aap se larane wali us jang ko mazeed barhaa rahi thi. uski zindagi ki dor ab kis rukh murey gi, wo na jaanti thi.
"Khirkiyaan bhi ek museum ki tarha hoti hai na. Khirkiyaan duniya aur hamari zindagi, dono ka har mosam dekhti hain. aur khamosh rehti hain. kia bahir ke ache mosam ka asar zindagi ke mosam par nahi par sakta? shaeed. meri ghalti hai. mainy is khamoshi mai chupey sukoon ko takash karne ki kabhi koshish hi nahi ki."

US KI SAB SE BARI JANG APNEY SATH THI

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

US KI SAB SE BARI JANG APNEY SATH THI... WO JAANTI THI.

HEY THERE EVERYONE, (HONESTLY I DIDN'T WANTED TO POST IT, BUT I THOUGHT TO GIVE THIS A TRY ATLEAST.)  WELL I AM NOT A WRITER AND I NEVER INTENDED TO WRITE THIS ONE LEKIN IT HAPPENED ALL OF A SUDDEN SO LET ME KNOW HOW YOU GUYS LIKED READING IT OR NOT? Press the VOTE on the left corner if you did. Lots of love.💛

SARA.
 

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Feb 04, 2019 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

"Khirkiyaan"Where stories live. Discover now