Ab kaha kisi pe itna yaken laaaya jaaye with explanation

361 12 2
                                    



"Ab kaha kisi pe itna yakeen laayaa jaaye kaha kisi ko,Haal-e-pareshaan sunaya jaaye"Duniya ne is kadar khaamosh aur shakeen kr diya ke ab kisi par yakeen nahi hota,jo log kehte hai humara yakeen karo sab ek jese nahi sbse phle wohi badal jaate ha...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Ab kaha kisi pe itna yakeen laayaa jaaye
kaha kisi ko,Haal-e-pareshaan sunaya jaaye"

Duniya ne is kadar khaamosh aur shakeen kr diya ke ab kisi par yakeen nahi hota,jo log kehte hai humara yakeen karo sab ek jese nahi sbse phle wohi badal jaate hai,yaha mishra is baat ko saaf btata hai ke humey kisi par yakeen nahi ke apna haal aur musibate btaau 


 ___"Koi kaabil nahi iske ke nibhaa sakey khuch,woh aaya jaaye,ya phir be-wajah jaaya jaaye"


Yahaa yeh baat saaf tarike se kehdi gayi ke koi kaabil nahi kisi chiz ke nibhaane k liye har koi har kaam m bhala dhundta h apna chaaye woh pyaar hi kyu na ho,agla mishra iska hi jawaab h ke,har insaan aataa hai aur be-wajah chala jaata hai hum kis kis par yakeen kare aur intezaar kare
_______ "Kese waade-kesi umar bhar ki tamaam minatte
Socha kisi ko sunaakar usey hasaaya jaaye"

Logo ke jhuthey waade aur rasam se pareshaan ho kar yahan yeh kaha gya ke sabhi waade sabhi kasme jhoothi hoti hai,aur koi karta hai toh hasi aati hai,isi par dusre mishre mein kaha gaya hai,ke koi aur bhi kar raha hai umar bhar saath rehne ke waade aur phuch raha h haal kyu na puraane yaar ke waade sunaakar usey hi hasaa du, ke dekh tu jin waado ki baat kar raha hai,humne unke anjaam dekhakr ab bhool rahe h aur tum phir umar bhar ka waada liye aagye

________ "Aaye woh bhi mehfil mein gham baatne,jaane do ab jaane waalo ko na bulaaaya jaaye"

Hum jese tese sambhle zindagi ke makaam m aur phir khuch log humeu sambhaalne ka daawa karne aaye,unhone toh humey nhi sambhlaa aur hum unhe sambhaalne lage aur woh sambhle toh chaley gaye,iska dusra mishra yahi hai,ke ab kya roke usko jaane do jaane waalo ka na bulaaaya jaaye,kyuki jo ek baar jaa skta h dubaara bhi jaane se sochega nahi
________

Waakif hai logo se kya soch hai unki
Dil bhi rakho toh thukraaya jaaye

Insaan ko jo chiz asaani se milti hai uski kadar nhi ayr Jisme muskil ho uske liye rota hai,yaha zindagi aur logo ki soch ka aaina rakha gya hai,iska agla mishra yeh btalaata h ke phir chaaye khuch bhi krdo kisi k liye caahae taaj rkho sar ka,unhe kisi baat ka asar nhi hoga wajid koi aadmi nhi sudhrega tum apna hi udhaarahan lelo 

HER NAME IS MOON(Nonfiction Stories of Wajid Shaikh)Where stories live. Discover now