After a week.... Sunday ki wajah se kavin aaj beauru nhi gya hota tabhi door bell bejti hai aur vo door open karta hai. Person. Heyy baby😊... Kavin. Hello 😮tum kab àyi landon se aur aayi bhi toh mujhe bataya kyu nhi aur tumm...tabhi vo aage se bolti hai. She. O plzz shant ho jau yaar saans toh lelo sidha swalo ki train..... Kavin. Tum na pagal ho😑. She. Aur tum sabse bade gadhe 😠ho aur usse bhi bada gadha hai tumhara vo dost dushyant😠. Kavin. Sana vo pagal nhi hai na hi gadha hai vo toh ollu hai😆
Oops! Bu görüntü içerik kurallarımıza uymuyor. Yayımlamaya devam etmek için görüntüyü kaldırmayı ya da başka bir görüntü yüklemeyi deneyin.
Thats sana..... Tabhi firse door bell bajti hai kavin door open karta hai. Dushyant aur purvi hote hai. Kavin. Arre tum dono😊. Dushyant. Haan yaar vo bas aise hi😊. Purvi. Kavin ye kaun hai. Dushyant. Chudail hai😒. Sana. Chup raho tum😬. Dushyant. Kyu main kyu chup rahu sach kaha toh chub gya haan😆. Sana. O plzz shut your mouth ok😑. Dushyant. You shut your mouth😡. Pehle main London gya toh vaha bhi aa gyi aur ab yahan bhi. Sana. O main kyu tumhara picha karugi🙅. Kavin. Shutttttt upppppp😣😣 plzz tum dono apna ye jagda band karo hum log 3 saal baad mile hai. Dushyant. Ye humari dost hai purvi sana😑. Purvi. Oh i am purvi😊. Sana. Oh nice to meeting you purvi😊. Purvi. Nice meeting you too😄. Kavin. Purvi vo mujhe tumse kuch baat karni hai☺. Dushyant. Ohk chalo chudail 👿hum zara bahar chalte hai. Sana. You... dafa 😣ho tum. Sana aur dushaynt bahar jaate hai. Purvi. Kya baat hai kavin😊. Kavin. Vo baat ye hai ki😮.. Purvi. Anything serious😯. Kavin. Vo mujhe kuch ho gya hai😕. Purvi. Kya matlab kuch ho gya hai😯. Kavin. Vo mujhe pyar❤ ho gya hai😃. Purvi. Kya aap bhi😂 mujhe laga pata nhi kya ho gya aapko. Kavin. Arre yaar main toh mazak 😀kar raha tha waise ek baat batau. Purvi. Hmm bataye😊. Kavin. Chalo na shadi👰kar lete hai. Purvi. What shadi👰? Kavin. Kyu tumhe shadi nhi karni 😕time pass kar rahi ho kya😐. Purvi. Nhi kavin par😕.. Kavin. Dekho par var kuch nhi samjhi main acp sir se baat karne wala hoon😊. Purvi. Ok jaisa aap ko theek lage😊. Kavin. Thats like good girl😊. Purvi smiles😊.
NEXT DAY AT BEAURU🏢.
Acp on phone. Haan haan theek😊 hai mujhe yaad hai theek hai bye. Acp sir apne cabin main jaate hai. Kuch der baad kavin bhi ander jaata hai aur vo acp sir se kuch baat karne lagta hai bahar sabhi log acp sir ki cabin ki taraf dekh rahe hote hai kavin bahar aata hai usske kuch der baad acp sir bhi bahar aatian hai. Acp. Suno aaj 😕kavin mujhe ek aisi baat batayi hai jo main tum sabko batana chahta hoon. Abhijit. Kya hua sir aisa😮 kya bata diya kavin ne aapko. Acp. Chalo sab log shopping karne jao. Daya. Shopping😮? Acp. Haan bhai cid main tesri shadi jo hone wali hai😊. Pankaj. Kya matlab 😲sir aap iss umar main. Acp look at pankaj. O really pankaj tumhe aisa lagta hai😡 bevkoof main kavin aur purvi ki shadi ki baat kar raha hoon. Pankaj. Sorry sir😔.
Ussi din se kavi ki shadi ki tyarian shuru hoti hai pehle sangeet hota hai fir mehndi aur fir sagai aur shadi kavi ki shadi ko 1 mahina ho chuka tha unki life bilkul normal chal rahi kavin purvi se bohat pyar❤ karta hai aur uski har iccha puri karta hai . One day at kavi home. Subah ke 3:30 baj rahe the aur kavi ke ghar 🏠ki door bell bajti hai purvi gehri😴 neend main hoti hai aur kavin ki neend khulti hai. Kavin thinking. Iss waqt kaun hoga vo bhi sade teen baje🕞. Kavin bed se uthta hai aur cupboard se apni gun🔫 nikalta hai aur apne room ke door ki taraf jaata hai par room main andere ki wajah se usska pair tabel se takrata hai . Kavin. Ahh ahh oooo😫😫. Purvi uski awaz se uth jaati hai. Purvi. Kaun hai yahan😕. Kavin. Main hoon purvi😦. Purvi. Aap adhi raat ko kyu chillah rahe hai😞. Kavin. Arre yaar darwaze pe koi hai aur main😐😐 darwaza kholne hi ja raha tha. Purvi. Oh main kholti hoon. Purvi darwaza kholti hai aur dekhti hai unki ek neighbour👵 hoti hai. Purvi. Arre kaki 👵app itni subah kya baat hai sab theek toh hai na😕. Kaki. Haan beta sab theek😊 hai vo beta aaj😊😊 karvachauth hai iss liye main tumhe sargi dene aayi thi. Purvi thori emotional ho jaati hai😢. Purvi. Thank you kaki👵aap nhi batati toh mera first karvachauth😯 hi miss ho jaata. Kaki. Koi baat nhi beta ye loo ab main chalti hoon😊. Purvi kaki ke hath se sargi ki thali lekar ander aati hai. Kavin. Kaun tha😕. Purvi. Vo kaki👵 thi aaj karvachauth haina toh mujhe sargi dene aayi thi. Kavin. Oh toh tum😐 karvachauth ka vart rakhogi. Purvi. Yaar ye kaisa sawal😑 hua matlab aapko kya lagta hai main vart nhi rakh sakti. Kavin. Arre maine aisa kab kaha😕. Purvi. Haan toh aapke kehne ka matlab kya hai😡. Kavin. Arre kuch nhi tum khaana khao ok mujhe sone do😥. Kavin sofe se uthta hai aur bed par jaakar so jaata hai😴. Purvi.(just like kavin). MUJHE SONE DO😡... kavin hear her words and smile😁. Purvi washroom jaati hai aur 15 min main fresh hoker bahar aati hai. Purvi jaisi hi washroom se bahar aati hai vo shocked😲 hoti hai kavin sofe pe baitha hota hai aur khaane ki plate🍝🍜 saza raha hota hai. Purvi. Ye aap kya kar rahe hai😮. Kavin. Kya matlab kya kar raha hoon tumhare liye khaana laga raha hoon jaan😃. Purvi. Oh accha ji lekin abhi abhi kissi ko neend😴 aa rahi thi. Kavin. Arre vo toh main aise hi keh raha😃tha agar tum mere liye vart rakh sakti ho saara din bina kuch khaaye reh sakti ho toh kya main tumhare😊 liye itna nhi kar sakta. Purvi bohat khush hoti hai vo bhaag ke kavin ke pass jati hai aur hug karti😊😀 hai. Purvi. You are soo cute kavin😘. Kavin. Acha main tumhe cute lagta hoon hahaha😂 but not more than you jaan❤. Purvi separated from hug. Kavin usse khaana khilata hai. Kavin study room main chala jaata hai. Purvi.( thinking). Thank you sooo much 🙇bhagwan ji aapne kavin ko meri kismat main likha suna hai ki vart rakhne se saat janam tak wahi pati milta hai hey bhagwan mujhe agle har janam main kavin hi mile chahe 7 janam ho yaa 700. AT MORNING 8:00 AM Kavin. Arre purvi ye kya kar rahi ho tum. Purvi. Aap jaiye beauru mujhe nhi jaana aur waise bhi mera pehla karvachauth hai toh aaj main ghar par hi rahugi aur tarika aur shreya ki abhi chutti hai iss liye maine unhe bhi ghar par bhulaya hai. Kavin. Ohk madam bye apna dhyan rakhna aur haan agar koi bhi problem aaye toh mujhe call karna ok. Purvi. Ok baba ab aap jaiye. Kavin. Ok bye. Purvi. Bye. Kavin bahar aata hai aur beauru ke liye nikal jaata hai. Kuch der baad vo beauru pahunchta hai.. Daya. Yaar abhijit please baat karo na sir se. Abhijit. Har baar main hi kyu haan main hi kyu. Kavin ko kuch samjh main nhi aata aur vo dushyant ke pass jata hai. Kavin. Kya hua inhe. Dushyant. Pata nhi main toh khud abhi aaya hoon. Kavin abhijit aur daya ke pass jata hai. Kavin. Kya hua sir aap dono ko. Daya. Accha hua kavin tum aa gye tum meri baat jaroor samjhoge. Kavin. Haan haan kyu nhi bataye. Daya. Theek hai phir mujhe tumhari help chaiye bolo karoge meri help. Kavin. Haan sir jaroor karuga. Daya. Dekho phir palti mat marna. Kavin. Arre sir baat kya hai. Daya. Vo aaj karvachauth haina toh hum soch rage the jaldi chutti le ke ghar chale jaiye bas. Kavin. Kya sir itni si baat. Daya. Wow you are soo brave toh jao jakar Acp sir se puch ke aao. Kavin. Kya sir abhi jaata hoon.. ( aur vo thora sa aage jaata hai then he realised what attcullay daya said) kyaaaaa........ Ma..i.n b..a.at kar..u. Nhi sir mujh se nhi hoga. Daya. Dekho tumne kaha tha tum palti nhi maroge. Kavin. Sir aap toh mujhe sher ke muh main hath daalne ko bol rahe hai. Daya. Kavin i am your senior and its an order jaake baat karo Acp sir se jao. Kavin. Theek hai sir. Kavin na chahte hue bhi acp sir ke cabin main chala jaata hai. Acp. Kya hua kya baat hai. Kavin. Sir vo main... keh raha tha ki main.. matlab hum sab soch rahe the ki.. Acp. Kya soch rahe the saaf saaf bolo kya vo main hum sab laga rakha hai. Kavin. Sir attcullay sab ye soch rahe the ki hume chutti de dijiye kyunki aaj karvachauth hai aur hume ghar jaana hai plzz sir hume chutti de dijiye. Acp. Oh toh tum logo ko chutti chaiye theek magar hàan agar koi case aaya toh main foran bula lunga sab ko. Kavin. Done sir thank you sir😊. Kavin bahar aata hai. Kavin rukta nhi hai vo beauru ke gate tak jaata hai. Daya. Kya hua? Kavin. Kya sir chutti mil gyi hai toh ghar jaa raha hoon. Daya. Kya chutti mil gyi. Abhijit. Kya baat hai kavin chalo ghar jaate hai. At parking......... Kavin. Sir aapko aaj humare ghar aayega. Abhijit. Par kyu? Kavin. Sir kabse koi get together nhi hui humari. So aaj milte hai mere ghar par. Abhijit. Theek hai done deal. Sabhi log apne apne ghar jate hai. At unknown place. A girl standing in the balcony with a picture in her hand. Girl. Aaj mera bhi karvachauth hai maine tumhare liye wart rakha hai main bohat jalad tumse milugi bohat jalad aaj main mumbai vapis aa rahi hoon phir main tumhe humesha ke liye paa lungi tum mere ho sirf mere i love you........... . . . . Sooo who's she? And whose photo is this? Any guess?? Plzz comment and vote 🙏🙏 Plzz comment karke jarur bataye ki main aage story continue karu ya nhi. #stayhappyalways