8

522 31 19
                                    

MORNING
5 AM
Guddan comes outside Parv's room and does something and goes from there smirking evilly.

7 AM
Parv wakes up and comes outside but slips very badly on his back screaming loudly.
Parv(screams):- Aaaaaaaaaaaaa...

IN HALL
Everyone hears parv's screams and laughs silently.
Parv:- hey bhagwan. Subha subha. Ye kya musibat hai.
And screams holding his back and tries to sit up but again fall on his back.

Parv(shouts):- behana.
 And again tries to get up tries to get up but fails miserably. So he decided to just lie down there only huffing tiredly.

Saru comes there running and gets shocked seeing him like this.
Saru:- bhai! Ye kya, aise jameen par kyu lete hue ho aap? Aur woh bhi room ke bahar!

Parv:- arey meri pyaari behna. Me leta hua nhi hu, gira hua hu. Dikh nhi raha kya tujhe?

Saru:- wo toh pata hai mujhe bhai ki aap gire hue ho. Usme kaunsi nayi baat hai.

Parv look at her like she has grown two heads and thought to strangle her.
Parv:- arey meri maa. Mera matlab hai ki me gir gya hu yaha par, naa ki me gira hua hu. Kya ho gya hai tujhe aaj. Meri madad kar aur utha mujhe.

Saru realises and mutters a sorry.
Saru:- accha haan. uthati hu. Aao.
And comes to him.

Parv:- arey dhyan se. Dekh toh le behna. Kahi mujhe uthane ke chakkar me tum khud na gir jao.

Saru:- haan haan.
She goes carefully to him and helps him to get up.

Saru:- kitne mote ho gya ho aap bhai. Thoda kam khana shuru karo.

Parv:- mere khaane ke baare me baad me bolna, abhi please mujhe utha.

Saru with difficulty make him stand up and lie him on bed carefully.

Saru:- ab batao, aise kaise gir gye aap?

Parv:- kya pata. Me toh bahar aa rha tha tabhi mera per slip ho gya. Shayad kuch gira hua hai bahar.
And turns on his side but cries out in pain.

Parv:- haaye meri kamar. Bahut dard ho rha hai behna.

Saru:- kuch gira hua hai?  Me dekhti hu, ruko.
She goes outside to check but finds nothing.

Saru:- bhai, aapka dimag kharab ho gya hai. Kuch nhi h bahar.

Parv:- arey aise kaise kuch nhi hai. Me gira kaise fir?

Saru:- neendo me.

Parv:- huh?

Saru:- mujhe kya pata bhai ki aap kaise gire. Lekin jaisa aap bol rhe ho waisa kuch nhi hai bahar.

Parv:- ruk me dekhta hu.
And tries to get up while saru crosses her arms and looks at him daringly.

When he tries to sit up, he screams due to pain.
Parv:- aaaaa.. Hey bhagwan, ab toh utha bhi nhi ja rha hai.

Saru:- toh kyu uthna hai aapko. Bhari jawani me budhape ke laxan aa rhe hai bhai aapke.

Parv:- behna Tu naa-
And again tries to get up to grab her for teasing him but again screams holding his back.

Saru closes her eyes and closes her ears.
Saru:- chup chap lete nhi reh sakte kya aap bhai. Aur kitna chilla rhe ho aap. Mere kaan fat jayenge aise toh.

Parv:- yaha mera dard se haal behaal ho rha hai aur tujhe apne kaano ko padi hai. Arey bahut dard ho rha hai tabhi toh chilla rha hu na. Mujhe bhi koi shauk nhi hai bin faltu iss tarah chillane ka. Haaye meri kamar.

Parivaar Ka Sath✅ Where stories live. Discover now