mazi ki ek jhalak

238 15 13
                                    

We cannot be what we are without our past. So always rember the past , live in present and think of future.
           ______________________

Author's pov:

Halki hakli se nami bos hawa her taraf haryale or sabza pharoon ke wast mein khare woh alishan haweli jo keh kisi mehl se kam na thi mamol ke motabek bilkul veran pari thi . 5 sal guzar gae the lekin koi us jaga se jore buri yadoon ko na mita paya tha sahayd is alishan mehal ke mokadar mein he khushi dena na likha tha.

        ______________________

Zyan or Aaris gari se saman nikalne mein masroof the or Durrat un ko tanz karne mein lekin wahan khari Amal toh shayad kisi or hi dunya mein thi. Durrat ke nazar jab jammi hoe Amal per pari toh usne us ko mokhatab karte hoe kaha

"Madam sahiba! Kis ashiq ke khayaloon mein gum hein! Humein bhi itna sharaf nawazeen ke hum apke ashiq sahab ke bare mein thora sa jan lein akhir kar usne humari Amal ke dil o dimag per kabza kiya hoa hai! Kuon Aaris?"

"Hmm...! Kya! Yar sara din apna star plus drama lagae rakhte ho uff mujhey tog dar lagta hai ke humare bache tum per chale gae toh kya hoga?"

Aaris yeh keh ke kehka laga ker hasa or dekht he dekhte charoon hasne lag gae lekin yeh woh sab jante the ke koi bhi dil se nahi hans raha bas apne apko mazboot dekhnae ke lea dekhawa ker rahe Hein.

Amal's pov:

Is jagah se kitni yadeen joreein hein har ek dewar ne humare sachi muskurahat , humarein sharatoon or chekhoon ke gawahi de hai. Waqt kitne zalim cheez hai sahi kehte hein

Time is the biggest pain and time is the biggest healer.

Lekin kuch zakham nasoor ban jate hein woh bhulae nahi bhulte. Kash bhai aj ap hote toh mein apse sawal karpate keh waqt itna beraham kuon hai? Lekin waqt ne toh apko bhi mujhse cheen lia? yahan se sare khaniyan shorow hoe or yahan he un ka ikhtamam hoga. Mein wada karte hoon apse mein ye prove ker ke rahoon ge ke ap begunah the , us raat joh hoa woh apke galte nahi thi apne un ka katal nahi kiya tha! .Mere khaboon ka tasalsul mere kandhe pe de gae ek halke se thapke se tuta tha wahan khara woh shuks jo kisi magzine se nikle model se kam nahi lagta tha apne chehre per halke udass muskurahat lea khara tha  lekin mathe per pereshane ke lakereen bhi wazhee thi jese ke woh janta tha keh mein kya sooch rahe hoon .Zayan ko tasale dete hoe mein hawelli ke shandar lounge mein dakhil hoe , dakhyel hote he sab se pehle nazer meri us bare tasweer per joh ke har kisi ke ankh ko bha jate jo usko dekhta tasweer mein dadi janam kisi shezade se kam na lag rahe the or sath mein khare Dada ja  kisi shehzade se kam na lag rahe the

"Yar aj bhi yeh tasweer dekhta hoon toh wallahi dada jan ki ruh ko dua dena ka dil kerta hai haee! Pata nahi unhoon apne sare zindagi humari hitler jaise dadi ke sath kese guzare!"

Ladies and gentlemen yeh rahe humare one and only aaris khan jis din yeh larka serious hojae ga wallahi duniya ke adhe masle khatam hojae gein.

Apne ankhoon se us ko sab ek ghoori dete hoe apne apne kamroon fresh hone ke lea serhoon ke taraf chalne lage.

Fresh hone ke bad mein jab dinning room mein dakhil hoe toh sab khana shorrow kar chuke the mein Zayan ke samne wali seat per ja bethe or khamoshi se apna khana khatam kia or apne kamre ka rukh kar lea. Aj wakae ek bohat lamba din.

________________

Sneak peak

"Oye gadhe apne ghore gadhe bad mein bechna abhi uth or mere sath chal larkiyan apne kamreein mein nahi Hein"  aaris ne Zayan ko zoor se jenjhorte hoe bola.

*********

"Hello! Koi hei"

"Aaaaaaaaa!"

"AAAAAAAA! amal ke bache yeh kya mazaq tha yar tumhein pata hei na ke ashaqm ne yahan ane se mana kia hoa pher kuon ae "

Durrat ne khafghe ka izhar karte hoe kaha jis per amal ne use ek sharminda se mukurahat dei.

**********

A short updatd for you guys i know you all were asking for update but seriously i was suffering from writers blog but now i finally got some motivation to write so from next chapter ill try to qukien and longer the updates until them take care
~sherry

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jun 17, 2020 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

haqeqet-e-zindagiWhere stories live. Discover now