Mishti and Abir start walking. They want to talk to each other, but are unable to decide where to start..
Abir- Mishti
Mishti- AbirThey call each other at the same time and smile.
Mishti- Tum boloAbir- Mishti voh, kal raat maine jo kahan, I didn't mean all that. Mai bas bahaut tension mai tha aur maine apna saara gussa tumpe nikal diya. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha. I'm sorry.. please mujhe maaf kar do
Mishti- Nahi Abir, galti sirf tumhari nahi thi. Kal itne tension ke beech mujhe Kuhu ke topic ko drag nahi karna chahiye tha. Kuhu ka topic toh endless hai, hum uske baare mai kitni bhi baat kare, kuch bhi decide kare, kuch na kuch toh hota hi rahega.. mujhe usse let go karna chahiye tha.
Abir- nahi Mishti. Kuhu ne tumse bahaut buri tarah se baat ki, tumhari insult ki, tumpe bewajah ke ilsam lagaye, aur mai kuch karr bhi nahi paaya. Mai jaanta hoon ki tum sahi ho Mishti. But mujhe ek darr hai jiski vajah se mai Kuhu ki baat ko lekar aise behave karr raha hoon.
Mishti- Kaisa darr Abir?
Abir- Mishti, pata hai, jab maine tumse breakup kiya tha, tab mai bahaut disturbed tha, baba ki asli roop ko dekhkar mujhe ek dhakka laga tha.. mai unpe itna vishwas karna chahata tha aur voh kaise insan nikle.. phirNanko aur Masi ki sachai bhi mere liye ek bahaut bara shock tha. Mai jaanta hoon, ki agar maine thoda time liya hota, saari baatein consider ki hoti, toh mai ye kabhi nahi karta. Mai tumse baat karta.. tumhe sab kuch batata.
Lekin voh baat alag thi. Tumhari koi galti nahi thi aur na hi Nanko galat tha.. voh choice tumhare liye unfair thi, humare liye unfair thi. Lekin uss mai Maa ko oppose nahi karr paya.. mai kamzor tha.. baba ke dhoke ne mujhe kamzor karr diya tha.. maine tumhe hurt kiya, humara rishta toda, but mai uss waqt itna hurt tha ki maine tumhara hurt dekh kar bhi andekha karr diya. Tum mujhse baat karne aayi aur maine tumhe aur hurt kiya.. mere har ek action ke baare mai maine bahaut socha Mishti.. Voh do mahine maine ek half life jee raha tha, aur mai roz sochta rehta ki maine tumhe kitna hurt kiya... Galti meri thi, but saza tumhe mili.. maine Nanko ke liye, meri family ke liye, tumhe chod diya.. aur tumne phir bhi mera saath nahi choda. But mai nahi chata hoon jo mere saath hua voh Kunal ke saath hoon..Mishti- Matlab?
Abir- Aaj agar tumhara aur Kuhu ka fight hota hai agar aisa hota hai ki tum dono ek dusre ke saath bhi na rehna chaho, toh jo choice meri thi, voh Nanko ki ho jaayegi. Usko bhi apne Bhai aur pyar mai choose karna hoga. Aur mai usko uss position mai nahi dalna chahta Mishti.
Mishti mai jaanta hoon ki Kuhu jiss tarah se tumhare saath behave karti hai voh tum nahi deserve karti lekin agar ye baat aage bhadhi toh jo hoga voh na Nanko na ghar mai koi aur deserve karta hai.. tum meri baat samaj rahi ho na Mishti?Mishti- Mai tumhari baat samaj rahi hoon Abir. But..
Abir- haan.. mai jaanta hoon...kuhu ko stop karna bhi zaroori hai. Toh mai tumse promise karta hoon. Jo bhi karna hoon, hum milke karenge, but ghar mai jhagra kiye bina..
Mishti, breakup ke waqt bhi aur aaj bhi, jo mai tumse expect karr raha hoon voh fair nahi hai. Tumhe iss sab ko jhelna pade ye mai nahi chahta, but Mishti, mai tumhare sivah aur kisise aise kuch maang bhi nahi sakta.. tum bahaut strong ho Mishti, tum meri strength ho.. aur mai jaanta hoon, iss unfair situation mai bhi, agar hum saath hai, toh hum sab theek karr sakte hai.. tumhare sivah ye baat na mai kisi se karr sakta hoon, na koi aur mera isme saath de sakta hai.. tum dogi na mera saath Mishti? Please.. I know mai ye deserve nahi karta, but please...Mishti places her hand on Abir's mouth
Mishti- Abir bas! Bas karo. Mai tumhara saath humesha dungi.Abir and Mishti share a moment of staring into each other's eyes. There is some thunder and lightning.
Abir- lagta hai baarish hone wali hai. Resort toh kaafi dur hai aur hum raasta bhi bhatak chuke hai. Tumhare phone mai network bhi nahi hai. Yehi aas paas koi jagah dhund lete hai, kal subah resort chale jaayenge.
Mishti- okay. But yaha toh mujhe kuch bhi nahi nazar aa raha.Abir spots a light far away, pointing at it he says, " voh dekho, lagta hai vaha kuch hai. Ho sakta hai kuch log mil jaaye jo humari help karr de.."
Mishti and Abir walk towards the light. After a while they reach a small cottage. The light is coming from the front poach. Abir knocks and rings the bell. There is no response. Mishti and Abir call out but find no response. Mishti peeks in through a window and sees that the place looks abandoned with sheets covering the furniture, sofa, etc.
Mishti- Abir, lagta hai yahan abhi koi nahi rehta. Kisine light on chod di hogi.Abir- hmm.. you are right. But ab kya kare?
It starts to rain... Mishti pushes the window and is surprised to find it unlocked. She climbs in. Abir looks at her in shock.
Mishti- "Pehli baar ek ghar dekha hai?"
Abir nods his head in a no.
"Tumhe chashme aa gaye hai?"
Abir again nods his head in a no.
"Koi bhoot dekh liya hai?"
Abir again nods his head in a no.
"Toh phir aise aakhe phad ke kyun dekh rahe ho?"Abir- But Mishti, kisi aur ka ghar hai. Agar koi aa gaya toh.
Mishti- agar koi aa gaya toh hum unse maafi maang lenge. Ab jaldi aao baarish teez ho rahi hai.
YOU ARE READING
MishBir: The Fight Ends
FanfictionContinued from the storyline as per lastest episode before Coronavirus break. For anyone else going crazy because the pause came in the middle of MishBir's fight. Mishti and Abir are trying to call each other. Abir is not near the resort yet. And...