PART 19

199 28 15
                                    

Next day
Evening
Oberoi mansion
Sanyu is in Oberoi mansion because they insisted her to come there for dinner and for stay.
(Sanyu is in washroom)

Shivaay:- arey me aap logo ko batana hi bhul gaya.

Shakti:- kya hua shivaay?

Shivaay:- dad, bade papa. Mene aaj randhir ko invite kiya hai dinner par.

Dadi:- kon randhir?

Tej:- maa woh new project hai na. Woh randhir lead kar raha hai.

Shakti:- bilkul humare shivaay ki tarah hai woh.

Pinky:- arey lekin pehle kyu nahi bataya. Pehli baar woh iss ghar me aayega aur humne koi tayari bhi nahi kari.

Jhanvi:- haan shivaay. Pehle bataya hota toh hum thodi tyari kar lete. Uski pasand ka khana banwa lete.

Shivaay:- sorry. Lekin aap log itni tension mat lijiye. Randhir is a nice guy.

Om:- haan maa. Hum bhi mil chuke hein. He is really good.

Rudra:- aap log tension na lo.

Meanwhile sanyu come there.
Sanyu:- kya hua?

Pinky:- woh shivaay ne aaj ek guest ko invite kiya tha aur hume bataya bhi nahi.
And glares at him.

Shivaay:- sorry na maa.

Sanyu:- kon aa raha hai?

Shivaay:- randhir.

Listening the name sanyu gets shocked. Shivaay is just observing her expressions.

Shivaay(in mind):- me janta hu sanyu. Tumhara koi toh connection hai randhir se. Aur woh me pata laga kar rahunga. Isliye aaj mene randhir ko bulaya aur tumhe bhi aane ke liye manaya.

Om and rudra are looking at shivaay and then sanyu.
Rudra:- om. Aap bhi wahi soch rahe ho joh me soch raha hu.

Om:- haan. Matlab yeh sab shivaay ne plan kiya hai.

Sanyu(in mind):- randhir. Nahi nahi. Randhir kaise ho sakta hai?

Jhanvi:- arey sanyu kya hua? Kis soch me pad gayi?

Sanyu:- haan, kahi nahi aunty.

Dadi:- haan toh aao. Baitho.
Sanyu nods and sits.

Sanyu(in mind):- nahi sanyu. Yeh randhir nahi ho sakta. Jaruri thodi hai ki puri duniya me sirf ek hi randhir hai. Koi aur bhi toh ho sakta hai.

Shivaay took his seat.
Om(whispers):- tu kya karna chah raha hai shivaay?

Shivaay:- jald hi pata chal jayega.
And looks at sanyu.

Sanyu(in mind):- nahi agar yeh randhir hi hua toh. Nahi nahi, aisa nwhi ho sakta. 2 saal ho gaye hein. Kuch soch sanyu. Kuch soch.

Shivaay(whisper):- sanyu ko dekho.

Om and rudra looks at sanyu.
Rudra(whisper):- yeh sanyu ko kya hua hai?

Om(whisper):- haan aisa lag raha hai jaise kuch soch rahi hai.

Shivaay(whisper):- aur yeh tab se hua jab mene randhir ka name liya.

Om and rudra look at shivaay.
Om(whisper):- iska matlab -

Rudra(whisper):- aap sahi keh rahe the. Sanyu aur randhir ka koi toh connection hai.
Shivaay nods.

Dadi:- tum teeno kya khusar pusar kar rahe ho?

Rudra:- haan, kuch nahi dadi.

Just then sanyu's phone ring.
Sanyu:- hello. Yes. Ohkyy. I am coming now.

Love ✅Where stories live. Discover now