Os Ki Boond ❤

32 8 2
                                    

A poem I have written for those lovely little dew drops. The wallpaper used is a photograph clicked by me☘

Poem - Os Ki Boond

Ek nanhi si os ki boond thi , asmaan se thi barsi , zameen par girte hi apna astitva thi dhundti.

Patte patte , daali daali par wo thi bhatakti , kahi mil jaaye basera , aisa khwaab thi dekhti.

Hawayon ne achanak rukh badla , tufaani si hawa huyi , Lehraane lagi shaakho ke sath , wo  bhi dar si gayi.

Os ki boond thi nazuk si , na sambhaal paayi khud ko girne se , akhir aa hi gayi zameen par , daaliyon ke tootne se.

Zameen nahi wo mitti thi jaha jake giri thi wo boond ,
Shayaad ab mil gaya use uska astitva jise wo kab se rahi thi dhund.

Mitti mein mila use uske zindagi ka maksat
Nanhi si os ki boond ko mili nayi taakat.

Seencha mitti mei kaid beejo ko pyar se usne
dhoop ki madad se ek mazboot pedh banaya usne.

Pedh raha khada us mitti par hamesha magar
woh os ki boond bhi ho gayi uske sath hi amar.



Thank you for reading.
Drop your votes and comments below❤

Keep loving
keep supporting
lots of love
Ashi❤

The words from my soul❤Donde viven las historias. Descúbrelo ahora