16. Ek Pal Pehle

93 21 14
                                    

Kitne khwaab sajaye the usne us andheri raat se pehle,
Kitne chaman sajaye the usne us patjhad ke aane se pehle.....

Zindagi ne bhi to khub aazmaya tha use har tarah se,
Us se sab kuch chheen liya tha, uske paane se pehle.

Apne hi kafan ka intezaar kar rahi thi woh betaabi ke sath,
Khushiyon ka intezaar tha use marne se pehle.

Use Kya hua, kese hua yeh baat koi samjhaye to zara,
Aesa sang-dil to na tha woh bichhadne se pehle.

Sara din jal raha tha uske Saamne wo charaag,
Magar achanak bujh gya gurub-e-aftab se pehle.

Kitna zaalim hai ye Zamana kya ab bhi tujhe koi shak hai Naaz!
Aakhiri khwahish puchhte hai maarne se bas ek pal pehle....

(chaman=garden
Patjhad= autumn
Aazmana= to test
Charag= Lamp/ candle 🕯
Gurub-e-aftab=Sunset
Sang-dil= Pathar dil/heartless)

_Naaz Jamal
17.07. 2020

Dil Ki Qalam Se... Where stories live. Discover now