mazi ki jhalak

20 3 2
                                    

8 saal pehlay
Subha say hi os ki chingharti howi awaz mahool ko khubsorat bana rehi thi
"Abbii yr kya kar raha hain choti bana raha hain ya mojhy ganja karna ka plan" amarah nay azlan sayshikayat ki jo bara maza say os ki choti bananay meinmasroof tha
"Allah larki kitna chikhti ho tum ahista bola karo warna mein zamin bhai ko bola laonga" azlan nay os ko dhamki di
"Han to shook say batain..... w...wooo...." abhi wo hissab barabar karna hi vali thi kay azlan nay os kay baat zor say khincha darasal poni nicha gir gai thi wo othanay kay liya jhoka to os kay baal bhi khinch gaya
"Abbi yr kya hai chorain mera baal aj khol kar hi chali jati hn weasa b sari larkiyan baal khool kar hi ati hain"
Amarah nay kaha to Azlan foran bola
"Nan......Nae nazar lag jaya gi itna khubsorat baal hain tumhara jao zamin bhai bana dain gay "
"Allah bhai ap kay ander ek pora dadi ma ghusi bethi hai"
"Guriya yaad hai na me maa hi hn tumhara bachpan me tum mera sath soti thin or zamin bhai abu hain na tumharay" azlan nay mazak kiya jis ko amarah nay osay takiya mar kay khatam kiya or brush or poni lay kar zamin kay kamray mein chali gai

Nae nazar lag jaya gi itna khubsorat baal hain tumhara jao zamin bhai bana dain gay ""Allah bhai ap kay ander ek pora dadi ma ghusi bethi hai" "Guriya yaad hai na me maa hi hn tumhara bachpan me tum mera sath soti thin or zamin bhai abu hain na tu...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

.............................
Zaaaaaaaaaaa.............mminnnnn bhaaaaaaaaiiiiiii os nay zor say awaz lagai wo jo study mebetha ek case study kar raha tha dar kay study say bahir aya jo kay os kay bed pr khari chikh rehi thi
"Kya howa guriya....." zamin nay osay khofzida dekh kar poucha wo jo chikh rehi thi zameen ki taraf ishara karti boli
"Lizarrrrrrrrdddd........ aaaaaaaa bhaaaaaiiiii bachaooooo" os nay phir zor say chikh mari
"Allah larki mojhy dara diya laga koi bhoot dekh liya tum nay offlizard say bhi koi darta hai bhala"
"Allah isi say to dara jata hai bhai"
Jub zamin nay lizard ka safaya kar liya to phir os say poucha
"Yahan q aain thin koi kam tha kya"
"Han azlan bhai ko poni banana nae ati or mojhy bhi nae ap bana dain na mojhy phir college bhi jana hai"
"Acha aao zara dekhtay hain"wo brush or poni leta bola
Khushiyon ka gehvara yeh ghar kisi ki nafrat ki ek nigha me tha is khushiyon kay mehaal ko kisi ki nafrat ki aag nay bard bhi to karna tha
.....................
Wo ek dam mazi say wapis aai
"Kahan chalay gaya ap bhai ap ki guriya bht akeli ho gai hai ab koi mojhy ganja karna ki planing nae karta.... wapis aa jain na"
Os nay ansoon kay darmiyan kaha
Tabhi os kay kamray kay darvazay pr dastak hoi
"Mein ander aa jaon amo......"
Zamin nay darvazay say jhanktay howa kaha
"Ap ko pouchnay ki zarorat nae hai bhai ap aa jayen ya nae"
Amara nay apnay bhegay chehray ko saaf kiya or phir zamin ki taraf moo moor kar beth gai.... zamin kadam kadam chalta os kay bed tk aya or os ki painti kay pass beth gaya
"Roo rehin thin......"
"N...nn..nae to......"
"Roya na karo amo..... jo guzar gaya wo mazi tha jo hai wo baqi hai os me jiya karo"
"Bhai... mazi nae chorta na picha..... mazi dard ban kar hamesha sath rehta hai"
"Han nae chorta picha pr...... amo meri jan zindagi bht choti hai.... humari soch say bhi ziyada choti.... is mein khushiyan jama kiya karo dukhon ko ek bari socha or agla din bhool jaya karo......"
"Bhai ab jena ka dil nae karta...... han shayeed jee lon.... jub RAID HAQAN mar jaye......"
Zamin nay ek por soch nigha os pr dali or phir wo wo sawal pouch hi betha jo wo kitna salon say pouchna chahta tha
"Tum aj bhi mohobbat karti ho na os say....."
"Nae bhai.... yeh dil ab koi jazba mehsos nae karta... pather ho chuka hai yeh.... itni zor say band kiya hai is kay darvazay ko kay ap is mein khud mera liya bhi koi jagha nae hai bs is mein mera watan ki mohobaat rehti hai"
"To nafrat karti ho os say....."
"Haha.... bhai jo mohobbat ki hurmat ko pamal karain na phir on say na mohobbat hoti hai na nafrat..... blkay wo is kabil hi nae rehtay kay on kay liya kuch mehsos kiya jaye....."
"To phir yeh ansoo q rehtay hain tumhari ankhon me...." zamin nay aisa poucha jeasa janta ho phir bhi pouch raha ho
"Bhai yeh guilt hai..... kay meri waja say mera bhai mar gaya..... wo sirf bhai nae tha meri maa bhi tha or maa jub roth kar is dunya say rukhsat ho jati hai na to...... phir zindagi jahanum ban jati hai...."
"Bhai dua karain me shaheed ho jaon azlan bhai kay pass jaon....sur khoro ho kar😥😥..."
Zamin nay kuch nae kaha or os ko rota chor kar wahan say nikal aya kya batata os ko kay wo apni bhi shahadat ki dua mangata hai os say pehla kay wo mar jaye takay osay amarah ki shahadat ka gum na manana paray
Aisa hi guzarti thi on dono ki raatain azlan sher khan kay bagair

Subha GHQ kay liya nikaltay howa os nay azlan kay kamray ka dora kiya Os ki hanci to os kamray mein hi kahin kho gsi thi Jub wo nicha aai to sitting room say osay kisi kay hansnay ki awaiazain aain ek to zamin bhai thay pr yeh dosra kn tha Wo hair...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Subha GHQ kay liya nikaltay howa os nay azlan kay kamray ka dora kiya
Os ki hanci to os kamray mein hi kahin kho gsi thi
Jub wo nicha aai to sitting room say osay kisi kay hansnay ki awaiazain aain ek to zamin bhai thay pr yeh dosra kn tha
Wo hairat me mobtala ander dakhil hoi to dekha major duran bara maza say tang pr tang rakhy betha kisi baat pr kehkay laga raha tha
"Aao amo hum tumhara hi intezar kar raha thay"
Zamin nay os ko dekhtay hi kaha
"Major sher ap zamin sir ki behn hain..... its a big surprise 🙂"
"Bhai mein ghq ja rehi hn aj wahan say orders aya hain shayeed team ky bara mein batana hai"
Os nay duram ko bilkul ignore kiya jeasa wo kamray mein moojood hi na ho amarah kay bahir jatay hi duram zamin say pouch hi betha jo kub say osay pareshan kar raha tha
"Zamin sir.... with due respect... ap ki behn major amarah itni pather dil itni rude or sarial q hain.... aisa lagta hai jeasa muskurana on ki nazar mein gunah ho"
Zamin nay osay dekha or deheray say muskuraya
"Wo aisi nae thi.... kanta chubh jana pr phoolon say larti thi... dil ki bht naram thi.... koi lavaris bili ka bacha bhi mil jaye to utha kar ghar lay ati thi..." duram ko laga wo kahin bht picha ja chukay hain
" to phir wo aisi q ho gai"
RAID HAQAN KI WAJA SAY
"Weasa zamin sir ek baat bolon me chahta hn ap meri shadi major amarah say kar va dain......."
"Matlab......" zamin nay na samjhi say osay dekha
"Matlab mein hath maang raha on on ka ap say weasa bhi mera baba bhi yehi chahtay hain.... "
Zamin nay osay dekha or bola
"Mohobbat to nae ho gai... kahin amarah say...."
"Pata nae.... shayeed han" yeh keh kar wo wahan roka nae or chala gaya or zamin ko gehri herat mein chor gaya....
_______________________
Baki ka In Shaa Allah agli dafa I hope pasand aya ga ap ko

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Sep 22, 2020 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

DASHT E ZINDAGIWhere stories live. Discover now