48. Mann ko daant dapat ke rakho..

9 3 1
                                    

Mann ko daant dapat kar rakho..
Aisa karna Sarasar Sahi hai..

Hai ye Chanchal, yeh niyati iski
Isme iski kya galti hai..

Bhaage uss ore jaha lage apno sa shor...
Khudki na sun ke kheeche jaye bina kisi door..

Behtar rahega isko sambhal kar rakho..
Na maane toh daant ke rakho...

Nadaan se yeh kaafi massum hai..
Kafir nahi fir bhi besakoon hai..

Asoolon se bandta nahi hai yeh kabhi bechara...
Mann agar gaya Mann se kaboo mein na aaye dobara..

Thoda bhola thoda ziddi hai...
Mann kare apne mann ki na sunta kisiki hai...

Jorr chalao fir bhi ispe koi jorr chalta nahi...
Yeh Mann hai Sanam koi control kar sakta nahi...

Mann rakhna sambhal ke yeh khudgarzi nahi kamzoori hai....
Ik baar jo tute Jude na yeh iska gamm bhi fitoori sa junooni hai...

Mann ko iss liye bhi jara kboo mein rakho..
Kabhi pyaar se samjha kar kabhi daant ke rakho..

-Sital Upadhyay

___________________________________
We are at the end of the verse...

hope you enjoyed reading it...

Drop a comment to give your feedbacks..would love to hear form you guys...

Don't forget to vote and comment...

See you all in the next update...

Till then keep smiling and falling in love...

This is me
Signing out..

Bye...


Love Diaries...{Ehsas Humare ...}Wo Geschichten leben. Entdecke jetzt