2

458 49 2
                                    

Next day...

Rainy day

Neil office ke liy ready hota h..
Sweta- beta breakfast to krta ja..
Neil- mom late ho rha h abhi ni m office m hi kuch kha lunga.

( Bahut barish ho rahi hoti h neil jaldi m hota h kafi)
Red light..

Neil- ki car red light pe khadi hoti hai..neil jaldi mai hone ki wajha se idhar udhar dekhne lgta hai..
Bhar barish ho rahi hoti hai..

Phir uski nazar car pe padhti hai..car mai ek ladki window khol ke barish ki bundo ka ahsas le rahi hoti hai..
Mano neil ke liye duniya Ruk si gayi ho..ab wo bhul chuka hota hai ki wo office ke liy late ho rha hai..
Wo bs us ladhki ko hi dekhta rhta hai.
Itne green light ho jati h or wo car chali jati hai..neil khoshish krta h follow krne ki lkin use yaad ata h office bhi pahuchana h..

In the office..

Neil's cabin
Neil ka kam mai man ni lag rha hota hai..lkin kya kre kam to krna hi padhta hai..
( Neil's mind- agar hum dono ka koi connection h to tum mujhe phir milogi,pta ni ku tumko dekh ke ek alag sa connect mehsus hua aj mujhe, sach m yr I lovvv......)
Neil apne ap se
Neil tu ye kya soch rha h..aise ek baar dekhte hi pyar thodi hota hai..focus neil focus on work..

Evening...

Sweta- prakashji maine ek ladhki dekhi neil ke liye..

Prakash- acha swetaji to bataiye kon h kaha rehte h wo log..

Sweta- prakashji family to achi hai lkin thode purane khayalat ki hai..

Prakash- swetaji mai kuch smjha nahi..

Sweta- are unke yaha ladhka ladhki shadi se pehle ek dusre ko ni dekh skte hai..are prakashji apne Mehta's ka name to suna hoga..

Prakash- ha ha swetaji sun rakha hai hmare samaj mai bhot achi family mai ata hai unka name..

Sweta- hanji wo to hai lakin kya neil bina ladhki dekhe shadi ke liye manega..

Prakash- swetaji ap tension mt lo Mehta's bhot ache log hai ladhki bhi achi hi hogi..ap chinta mt kro neil ki shadi to isi ladhki se hogi..

Both are happy..

Neil office se aa jata hai..

Sweta- beta tu aa gya tu fresh hoke aa mai khana lgati hu..

Neil- ok mom

At dinning table..

Prakash- neil beta tumse kuch baat krni thi..

Neil- ha papa boliye..

Prakash- neil tumne Mehta's ka name to suna hoga..

Neil- ha papa bhot logo se suna hai..

Prakash- ha to beta unki ladki ko hum apne ghar ki bahu banana chahte the..

Neil-mom dad yeh kya baat hai..maine kal kaha or apne aj ladhki bhi dekh li..

Sweta- beta family achi hai ladhki bhi achi hai..

Neil- mom apki khushi ke liy kuch bhi kr dunga..apko psnd hai na..mai tyar hu..( neil bhot sad hai lkin apni mom ko dhukhi ni krna chahta isliy aisa bol rha hai)

Prakash- beta ek problem hai..

Neil- problem kaise problem dad.

Prakash- beta wo log thode purane khayalat ke h to wo ni chahte ki ladhka ladhki shadi se pehle ek dusre ko dekhe.

Neil in his mind..( dekhna bhi kon chahta hai dad.mai shadi bhi ni krna chahta.jo ladhki mujhe aalchi lgti hai uske bare m mujhe kuch pta bhi to nahi. ni to Kasam se m yeh shadi kbhi ni krta)

Prakash- neil kaha kho gya beta..
Neil- kuch ni dad ap tension mt lo mom ki khushi ke liy yeh bhi sahi..

Sweta- thanku beta ...mai bhot khush hu .

Mehta's

In dinner table..

Neela- ma wo Khanna's ke yaha se rishta aya hai Avni ke liy ek hi ladhka hai unke or family bhi achi hai..

Dayavanti- yeh to bhot achi baat hai..Ashish tumne kya socha hai..

Ashish- maa socha kya..mai to khush hu itne ache logo ke yha se rishta aya hai..ab to bs apko psnd aa jaye to hum baat krke pakka kr denge rishta..

Neela- ji mai mujhe bhi pasnd hai..lakin ap ghar ki badhi hai to jo bhi decision hoga wo apka hi hoga..

Daya- lkin Ashish neela tumne btaya unko ki humre yha ladhka ladhki shadi se pehle ni milte..

Neela- maa maine sab chiz bta di unko koi problem ni hai..

Daya- to mujhe bhi koi problem ni hai..or mai chati hu ki ajkl his hisab ki bimari chal rahi hai..uske hisab se hame jyada get together ni krna chahiye.
Mai chahti hu ki bs sidha shadi ho pandit se kehke mahurat nikalwalo shadi ka..

Neela- maa lakin hame is bare mai ek baar un logo se bhi puchna chahiye na..

Daya- ha ha bilkul tum abhi phone milayo mai baat krti hu unse..

Neela- ji maa..

Phone ringing..
Sweta- hello..

Neela- hello sweta ji mai neela Mehta bol ri hu..wo rishte ki baat chal ri h na hmare bacho ki.

Sweta- hanji hanji neelaji mai pehchan gyi.

Neela- lijiye ap ek baar maa se baat kijiye..

Sweta - namaste maa ji.
Daya- namsatey..ji dekhiye hmari taraf se pakka smjho yeh rishta..

Sweta- are wahh maa ji hmari taraf se bhi pakka hi hai..

Daya- lakin ek baat krni thi apse,.

Sweta- hanji boliye

Daya- dekhiye mai chahti hu jyada logo ko na bhulaya jaye kyoki bimari aise chal ri h..aise koi problem na ho jaye isliy mai yeh hi soch ri ki hum jayada function wgera na kere bs ek baar shadi hi kr dete hai bacho ki..

Sweta- ji thik hai ap baat bhi jaisa apko thik lge..ap Panditji se baat krke mahurat nikalwa lijiye...

Daya- are aise kaise ap kl aa jaiye yaha pe sab sath mai baithke Panditji se baat krnege..

Sweta- are wahhh ise acha kya hoga..

Daya- thik hai to kal milte hai..

Sweta - ji thik hai..

Cut the call ...

Sweta- prakashji hme kl Mehta's ke jana h..

Prakash- thik h ji chal denge..

anjana anjaniOù les histoires vivent. Découvrez maintenant