"Chap 6"

459 25 0
                                    

(Usdin k baad se Malik taqreeban rooz aata tha Aarzoo k paas thori der bethta aur Chala jaata....aaj bhi wo aana Wala tha....)

                        Aarzoo POV

Mujeh ye aadmi samajh nhi aata rooz aata hai aur Chala jaata hai... Akhir ye hai Kon Jo mujh par Itne pese kharch karta hai par ek nazar dekhta bhi nhi.....
   ..........................

                Third Person POV
Aarzoo apni hi dhun men Sochi jarahi thi tabhi uski nazar Couch k neeche pari kisi cheez pe gai...

Aarzoo: ye Kiya hai.....shayad Malik ka hoga....ye to koi card hai....

(Jese hi wo card nikal Kar dekhti hai usko parhte hi uske hosh urh jaate hain)

Aarzoo: Mmm....Majjor.. Ahmed.... Yani ye Malik koi dealer nhi bulke ek Army officer Hain..... Allah!!!ye Kiya maajra hai....

(Raat men jaab Malik Aarzoo k room men aata hai too Aarzoo uska hath zoor se pakarti hai aur door k bahar ek nazar dekh Kar door andar se lock kardeti hai....Malik usse sawalia nigahon see dekhta....)

Malik: Kiya???
Aarzoo: Kya men aap se kuch poch sakti hon???
Malik: Nhii!!!!...aur ye Kiya harqat hai..hath chohro Mera...
Aarzoo: aap sirf mujhe ye btain aap mere uper itna pesa kiyon waste karte hain.....
Malik: Tum chahti ho k men tumhare sath kuch karon...
Aarzoo: Mm..mene esa too kuch nhi kaha....aap Kon hain??? Btain please..
Malik: men tumhe btana zarori nhi samajhta....
Aarzoo: theek hai too pher men Saab ko btadeti hon k aap ek..Army officer Hain......

(Iss baat pe Malik usse herat se dekhta hai...jese hi Aarzoo door kholti hai..Malik uspe hath rakh k pher band kardeta hai..)

Malik: khabardar.... khabardar Jo tumne Meri mehnat pe pani phera hai too.....
Aarzoo: Kiya karlenge aap haan??? Mujh Sach sunna hai...basss!!!!...

(Malik usse ghusse men door see lagata hai aur uske qareeb hota hai)

Malik: Sach suna hai tumhe too suno...haan hon men ek Army officer...agar tumne ye kisi ko bhi btaya too mujh se Bora koi nhi hoga...

(Malik bolte we kuch Zyada hi qareeb hogaya tha Aarzoo se usse saans Lena bhi Mushkil hogaya tha)

Aarzoo: pleas. please...dd..ooor.. haten...m.mm..

(Malik ko bhi realize hota hai k kuch zyada horaha isiliye wo Couch pe jaake Beth jaata hai.... Aarzoo thori der apni saans bahal karti hai phir Malik k samne akar Beth jaati hai)

Aarzoo: Aap yahan kiyon aate Hain...I swear men kisi ko nhi btaongi..mujh too khud yahan kidnap karke laya gaya hai... please...
Malik: tumhe yahan kese kidnap karke Lai ye loog...
Aarzoo: men apne ghar se bhag Kar Islamabad aai thi....
Malik: kiyon bhagi thi tum???pta nhi aaj Kal ki larkiyon ko bhaagne ka kiyon shooq hai dekho...phas gai na..
Aarzoo: woo men aap ko nhi bta sakti.....wese aap ka real name Kiya hai... Malik, Ahmed ya phir....???
Malik: Men bhi tumhe nhi bta sakta..

(Malik Aarzoo ki hi line ussi par de Marta hai)

Aarzoo: theek hai phir men Tai se poch leti hon....
Malik: Arre...betho yaar har baat pe dhamki na diya karo....bta raha hon...Mera naam Major Ahmed...aur men yahan par ek mission k silsile men aaya hon..
Aarzoo: Kiya aap mujeh yahan se nikal sakte Hain Ahmed... please!!!...
Ahmed: zahir hai men yahan isi liye aaya hon....

(Dono k beech men thori der khamoshi rehti hai)

Ahmed: accha suno....
Aarzoo: jee!!!!...
Ahmed: ek kaam karogi mera???
Aarzoo: kesa kaam...???
Ahmed: dekho men tumhari madad tab Tak nhi karsakta jab Tak tum apni madad khud na karsako...ye microphone aur ye camera lelo aur kisi tarhan Tai k room men laga do...
Aarzoo: isse kiya hoga???
Ahmed: Hume pta chal jaiga k ye loog larkiyon ko kaab smuggle karenge... Aur phir hum unki shifment se pehle hi larkiyon ko yahan se nikal lenge.... Aur aab mujh se kuch na pochna...
Aarzoo: ek last question.... please!!...
Ahmed: Pochooo!!!!...
Aarzoo: Kiya unki shifment men bhi shamil hon....

(Ahmed ko Aarzoo ka ye masomana andaaz boht accha laga)

Ahmed: pta nhi shayad....lekin fikar mat karo men tumhe yahan se nikalonga.... bharosa rakho....

(Ahmed ki baat pe Aarzoo ko na chahte we bhi usper bharosa hogaya)

(Ahmed jaane lagta hai too Aarzoo usse awaz deti hai)

Aarzoo: Sunee!!!!
Ahmed: G..Sunaiye..aab Kiya??
Aarzoo: aab ki ek cheez hai mere pass..

(Aarzoo apni pocket se Ahmed ka ID card nikalti hai aur usse de deti hai)

Ahmed thinking, accha to madam ko isse mere bare men pta chala....

Ahmed: Thanks..!!!....

(Aarzoo usse smile pass karti hai aur wo bhi zabardasti muskurate we Chala jaata hai)

"My Unknown Man"(Mera Fojji)(Complete Short Story)Où les histoires vivent. Découvrez maintenant