Mukhtasir II

0 0 0
                                    

Kindly read the author note at the end
Thankyou:-)

Uski qurbat mein tezi se kate mah-o saal
Woh bichra toh dheemi hui waqt ki chaal

******

Dil ko toh pehle hi dard ki deemak chaat gyi thi
Rooh ko bhi ab khata jaye tanhai ka zang

******

Warq warq pe teri ibarat,tera fasana,teri haqayat....
Kitabe hasti jahan se kholi teri mohabat ka hi baab nikla

******

Sab se nazar bacha kar woh mujh ko aise dekhta hai
Aik dafa toh rukk gyi jese gardushe maho saal bhi

*******

Abhi na jao keh taron ka dil dharakta hai
Abhi raat parhi hai zara  thehr jao

******

Jo uljhi soch rakhta ho ulajhna us se bemani hai
Mjhe toh suljhi si ik tehreer ka unwaan hina hai

*******

Koi selaab-e mohabat ko kahan takk roke ga?
Dil mn jo baat ho woh ankhon se ayaan hoti hai..

*******

Tabdeeli jab bhi aati hai mausam ki adaoun mein
Uska youn badal jana bara yaad aata hai

******

Utar bhi jao kabhi asmaan ke zeene se!
Tumhe khuda ne mere liye hi banaya hai

*******

Junoon na ho toh mohabat bekaar hai
Pyaar toh loug khudse bhi bht krte hain

*******

Woh bachpan tha jab shaam hua karti thi
Ab toh subha ke baad seedhi raat hoti hai

********

Tanhai bhi katt jaye gi itni bhi kamzor nhi mein
Dohra kar teri baaton ko...
Hans lun gi..
Kabhi ro lun gi..

*******

Usse mein yaad aati hun gi..
Magar furasat ke lamhon mein..!
Magar yeh baat bhi sach hai keh,...
Usse fursat nhi milti.....

*******

Utha kar phool ki patti,
Nazakat se masal daali....
Ishaare se kaha hum dil ka,
Aisa haal karte hain......

*******

Sabar ka paimana yun labraiz na kar ae humsafar!
Kachi dour toot'te hue dayr nhi lagti hai.....

*******

Faqat itna kaha tha tha naa!
Mjhe tumse mohabat hai,
Meri jaan lo ge kya?
zara si baat ke peeche,...

******
Ab toh shayad hi mohabat kare mjhse koi
Meri ankhon mein tum saaf nazar aate ho


Assalam-oAlaikum pyaare dosto!Kese hain sab?
Firstly iss book mein shamil koi bhi shayr mera apna nhi,yeh sab mein bht salon se apni diaries mein likh rhi thi toh tareef ke mustahiq original poets hain.
Toh sab se acha shayr konsa lga?
Apna favourite shayr zaroor Comment krein aur agar aap chahte hain ke apka favorite koi dusra shayr bhi iss book mein add kiya jaye toh aap mjhe private message kr skte hain,Aur secodly merà writting style theak hai ya change krne ki zarurat hai?I mean are you okay with it?plz zarur bataein!

Ab mjhe dijiye ijazat,
Hanste rahein muskuratein rahen aur mjhe apni duaoun mein yaad rakheintill we meet next time!
Sabko bht saara pyaar
FeAmanAllah:-)

Lafz Unkahe-~The Unsaid WordsOnde histórias criam vida. Descubra agora