Part 2

0 0 0
                                    

Jab aage badhne ki taqat na rahe

Jab manzil tak jane ki chahat na rahe

Jab har mod par sirf taqleefein mile

Jab khud se ho jaye sare shikwe gile

Tab ek bar ruk kr peeche mudna

Tab ek bar fir apne aap se judna

Khushnaseeb samjhna ki is mushkil ke usne tumhe chuna

Yun hi nhi kisi ne aaj tak apne sapno ko bina hare buna

Kamyabi ke liye chahe bar bar girna pade tum girna

Jeetne ke liye chahe bar bar harna pade tum harna

Kyuki is bar tumhare pas khone ke liye kuch nhi hoga

Kyuki is bar tumhare hosle ke siwaye koi sath nhi hoga

Umeed kho jayegi bas junoon kam mat hone dena

Takleef sehni pade par khud ko mat khone dena


Bojh lage jab sapne to aur badi udan bharna

Is bar khwabo ke liye dugni mehnat Krna


Ek din jab ruk kr peeche mudoge to khud pe naaz hoga

Ek din tumhari yahi koshishe duniya ke liye gehra raaz hoga

Tab un adheri rato ki bilkul yad nhi satayegi

Tab chehre pe sirf badi si muskurahat chayegi.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jan 13, 2021 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

InspirationalWhere stories live. Discover now