Chapter-44 Dar

791 82 7
                                    

Nandini aur mukti studies mein busy thi. Kuch time ke baad dono ko neend aa gyi. Next day dono college gyi aur jaise hi nandini class mein apni table par gyi woh shocked ho gyi.
Uski table par red colour se likha tha - Dar kya hota hai yeh tumhe ab pata chalega.
Nandini ne sath baki students ne bhi woh dekha . Nandini ko scared dekhkar teacher uske paas ayi aur use shant kiya . Phir teacher ne woh desk badal di.
dusri table lagne ke baad nandini ne badi mushkil se apna exam diya aur bahar aa gyi.
Bahar use mukti aur ragini mili . Mukti ne use pareshan dekha aur kaha - Kya hua Nandini.
Kuch nhi ghar chale - nandini ne kaha.
Chalte hai na pehle kuch khane chalte hai - Ragini ne kaha.
Phir teeno ne  canteen mein jakar pizza aur juice khaya . Mukti aur ragini payment karne chali gayi. Tabhi ek waiter aaya aur ek paper nandini ko dekar chala gaya. Nandini ne paper khol kar dekha toh phir se dar gyi. Usme big letters mein nandini ka naam likha tha aur use bich se cut kiya hua tha.
Nandini ne woh paper phaad diya aur mukti se sath ghar aa gyi. Nandini abhi bhi scared thi lekin usne yeh baat kisi ko nhi batayi.
Nandini apne room main aayi aur pareshan hote hue kaha - Jaldi se wapas aa jaiye manik ji . Humein bahut akelapan lag rha hai . Humein kuch samajh nhi aa rha hai ki yeh sab kyun ho rha hai humare sath. Agar aap sath honge to hum kisi se bhi lad lenge . Jaldi wapas aa jaiye na.

Manik aur nandini dono ek dusre ko miss kar rhe the lekin apni studies ki wajah se jyada baat nhi kar paa rhe the. Second week bhi nikal gya . Nandini ke ab sirf do exam aur baki the lekin suddenly uska exam center change ho gya . Uska new center mumbai se 7 kilometres dur tha.
Mukti ke exam khatam ho chuke the aur nandini ko akele hi jaana tha.
Sanskar nandini ko chodne uske exam center gya.
Gate ke bahar sanskar ne kaha - Tum aaram se exam do main yahi tumhara wait karta hoon.
Nandini college ke ander chali gayi. Nandini ne apna exam finish kiya aur bahar aayi. Bahar aakar usne dekha waha sanskar ya uski car nhi thi. Nandini pareshan ho gyi.
Nandini ne ek shop wale se pucha - bhaiya apne yaha ek red colour ki car ko dekha hai.
Ha ek car thi toh uska shyad tyre punctor ho gya tha toh usme jo aadmi tha woh use le gya shayad thodi dur par woh apko mil jaye - shop wale ne kaha.
Thank you bhaiya - nandini ne kaha aur waha se chali gayi.
Shop wale ne pocket se phone nikala aur kaha - Aapka kaam ho gya.

Nandini kuch dur aayi lekin waha koi bhi garage ya puncture ki shop nhi thi. Usne sanskar ko awaz di - Sanskar ji sanskar ji kaha hai aap.
Nandini ne jaise hi turn kiya kisi ne uske face par hanky rakha aur agle hi pal Nandini behosh ho gyi.

Kitni Mohabbat haiWhere stories live. Discover now