Chapter-67 Celebration

746 79 5
                                    

Manik ko sula kar nandini room se bahar aayi toh sanskar use mil gya . Nandini ko dekh kar sanskar ne pucha - Sab thik hai na nandini.
Nandini ne kuch nhi kaha aur aage badhkar use hug kar liya . Nandini ko khush dekhkar sanskar ne pucha - Kya baat hai nandini aaj tum bahut khush dikh rhi ho .
Nandini manik se dur hui aur kaha - Sanskar ji manik ji humse pyar karte hai .
Lo yeh tumhe aaj pata chala mujhe toh pehle din se pata tha - Sanskar ne kaha .
Toh phir apne humein kyun nhi bataya - Nandini ne hairani se pucha.
Batata toh tumhare face par yeh khushi dekhne ko kaisi milti . Manik tumse bahut pyar karta hai nandini aur tum uske liye best ho - sanskar ne kaha .
Lekin unhone toh humse kabhi nhi kaha aur aaj kaha bhi toh nashe main - nandini ne kaha .
Woh hosh mein bhi kahega aur mujhe nhi lgta ki tum dono ek dusre ko kehne ki zarurat hai kyunki sab ko pata hai tum dono ek dusre ko kitna pasand karte ho - Sanskar ne kaha .
Kya pata hai sabko - nandini ne hairani se kaha.
Papa ko nhi pata hai baki sab ko pata hai - Sankar ne kaha .
Nandini ne Sharma ke palke jhuka li aur kaha - Humne kabhi nhi socha tha ki humein unse pyar ho jayega lekin jab unke sath hote hai toh sab kuch accha lagta hai .

Yahi toh pyar hai nandini . Tumhare aane ke baad manik mein joh changes aaye hai woh sabne dekhe hai - Sanskar ne kaha.
Hum bahut lucky hai joh humein aap sab mile - nandini ne kaha .
Nhi nandini manik lucky hai joh use tum mili - Sanskar ne kaha .
Thank you sanskar ji - Nandini ne kaha .
Sanskar ji nhi ab bhaiya bulana shuru kar do Manhotra family ki hone wali choti Bahu hai aap ms. Nandini Rajput - Sanskar ne kaha .
Nandini ek baar phir Sharma gyi toh sanskar ne kaha - Chalo chal kar celebrate karte hai aaj toh double celebrated banta hai.
Sanskar aur nandini bahar chale aaye . Baki sab bhi waha the . Sabne party bahut enjoy ki . Late night sab ghar aa gye. Manik waha akela tha toh jiju ko rukna pada.

Next morning jab manik utha toh khud ko anjan room main pakar hairan ho gya. Usse bhi jyada hairani use tab hui jab apne bagal main jiju ko sote dekha . Manik ne jiju ko uthaya aur kaha - Aap yaha kya kar rhe ho woh bhi mere sath.
So rha hoon - jiju ne kaha .
Baki sab kaha hai - Manik ne pucha .
Baki sab toh ghar hai - jiju ne kaha .
Toh phir hum yaha kya kar rahe hai - manik ne pucha .
Wah wah sale sahab kal rat apne jo kiya na usi ki wajah se hum yaha hai - jiju ne kaha.
Kal raat kya hua tha - Manik ne pucha .
Lo ab tumhe yeh bhi yaad nhi hai . Kal raat sharab pikar jo kiya na tumne pucho mat aur uski saza mili mujhe tumhare sath yaha rukna pada - jiju ne kaha .
Sharab aur maine kab - Manik ne kaha .
Lagta hai tumhari memory chali gayi hai - Jiju ne taunt marte hue kaha.
Manik ne apna sir pakad liya toh jiju ne uske paas aakar kaha - Headache ho rha hai .
Nhi aur apna door raho mujhse apke irade kuch thik nhi lag rhe hai mujhe - manik ne kaha .
Tu mujh par Doubt kar raha hai apne girl friend jaise jiju par doubt kar rha hai - jiju ne drama karte hue kaha .
Manik utha aur kaha - jiju chaliye ghar jana hai aur abhi toh face bhi karna hai.
Don't worry kuch nhi hua hai nandini ne tumhe sambhal liya tha - jiju ne kaha .
Nandini mujhe yaha lekar aayi thi - manik ne kaha .
Ji ha sale sahab - jiju ne kaha .
Nashe main maine kuch keh toh nhi diya use - manik ne kaha.
Woh toh ghar jakar hi pata chalega chalo - jiju ne uthte hue kaha.

Kuch time ke dono ghar aa gye . Manik apne room main aaya aur ready ho kar niche aaya. Manik nandini ke samne nhi aa rha tha kyunki use guilty feel ho rha tha ki nandini ke samne nashe main tha . Nandini bhi kaam main busy thi isliye manik par dhyan nhi diya .
Evening main sab log ready hokar neeche aaye . Sanskar ki baarat ka time ho gya tha.
Nandini ne dekha ki manik kahi nhi hai toh woh use dhundne ander aayi . Usne dekha manik kitchen ki taraf hai . Nandini ko dekh kar manik waha se jane laga toh nandini ne uska hath pakad liya aur kaha -  ap humein ignore kar rhe hai .
Main nhi toh main toh bahar hi ja rha tha - manik ne kaha .
Kal jo hua use lekar pareshan hai aap - nandini ne kaha .
Hoon - manik ne kaha .
Waise humein pata nahi tha - nandini ne kaha .
Kya - manik ne kaha .
Ki aap duniya ke sabse romantic person hai - kehkar nandini waha se chali gayi lekin jate jate manik ke face par ek pyari si smile chod gyi.

Ki aap duniya ke sabse romantic person hai - kehkar nandini waha se chali gayi lekin jate jate manik ke face par ek pyari si smile chod gyi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Kitni Mohabbat haiWhere stories live. Discover now