Chapter-4-Wait

1K 58 17
                                    

Slightly before my promised time posting here's the next chapter!!!!!

Anokhi behosh hoti hai. Shaurya uske taraf aakhnen jamaye baitha hai. Anokhi thoda sa bhi hilti hai Shaurya ko lagta hai usse hosh aaya.
Babli Anokhi ke paas baithi hai. Aur Shaurya ke paas Shaan baitha hai. Woh Shaurya se kehta hai Anokhi abhi theekh hai ghabraye nhi. Shaurya apni dawai le lo. Pichle das minute se lekar baitha hoon. Shaurya dawai leta hai. Aur poochta hai isse neend toh nhi aayegi naa. Jab Anokhi ko hosh aayega mujhe hosh mein rehna hai. Shaan kehta hai tum dono better ho jao. Fir you can resolve issues. I know its hard to wait. But kar lo. Shaurya ek baat yaad rakhna agli baar se doosre ke point of view ke baare mein sochna. Tumhara gussa Badi Maa se jayaz tha. Sab kuch tumhare maa ke sath ek din mein resolve nhi hoga. Waqt lagega. Magar fir bhi. Anokhi par kyu chilaya. Shaurya kehta hai mujhe nhi karna chahiye tha. Mein agli baar se sochkar hi kuch karunga.

Shaan dekhta hai dopahar ho rhi hai. Babli subah se baithi hai. Woh khud bhi puri tarah se theekh nhi. Tab woh kehta hai Babli aaram kar le. Koi aur rook jayega. Babli kehti hai kaun. Shaan kehta hai Kitty, Bebo, Kanchan mein se koi rukega. Babli kehti hai woh kaha jayegi. Uska ghar hi nhi rha. Shaurya usse puchta hai kya hua. Woh rone lagti hai. Shaurya ko Shaan sab bata hai. Shaurya kehta hai aap resort mein ruk jaiye. Hum manage karenge. Shaurya kehta hai dad. Shaan kehta hai ho jayega. Alok se ....
Usse Alok ke baare mein yaad aata hai. Woh Babli se kehta hai woh aa rha hai. Woh Alok se milne jata hai. Alok thoda better hai. Usse hosh aagya hota hai. Sab usse sab kuch batate hai. Alok sab process kar rha hota hai. Shaan ke aankhon mein uske liye fikar hai. It's a brothers bonding time. They don't know what to say. Because they have never known each other truly but in the eyes there is a promise to strengthen the bond. And be there for each other.

Shaurya Babli ko baaton se distract karne ki koshish karta hai. It's a bit awkward but he has to try. It's Anokhis sister after all. He talks a bit about fest. And how she got interest in all these things. How did she find Goa and anything she wants to do in Goa once Anokhi is better. Maybe they should go to a beach and chill. He starts recommending beaches and places to eat. Both try to bridge the gap. Babli tries to pull his leg by
asking how many ppl u came to Goa with. Shaurya freaks out. Babli says I was kidding. Shaurya says I came with friends twice if u must know. But from now I will come only with Anokhi. Babli says ok but too much info. Shaurya says not much lost you atleast smiled. Don't worry Anokhi and you will be my responsibility. Babli says thanks. Magar mujhe bas thoda time chahiye. Mein aur Anokhi rasta dhoond lenge. Shaurya says pata hai. Magar mein rahoonga har raste par uske sath. Babli kehti hai Uska dil mat todiyega. Mere sath jo hua so hua. Magar Anokhi. Shaurya kehta hai Anokhi meri jaan hai. Usse kabhi koi takleef hone nhi doonga.

Shaan Kanchan ko lata hai. Babli nikalti hai. Shukriya keh kar. Shaan se Shaurya kehta hai aagar Aastha I mean mom Anokhi se milna chahti hai toh aa sakti hai. Mujhe dekhne aa sakti hai. But baat naa kare zyada. Give me some space. But woh mil sakti hai. Shaan smiles. He calls Aastha. Aastha and Shaurya have an eye lock. But Phir nazare pher lete hai. Immediately Shaurya says I know you want to know if I feel better. I do. Aastha khush hoti hai. Shaurya let jata hai. Doosri taraf mooh karke. Aastha  Kanchan se baat karti hai.  Alok and Anokhi ke baare mein puchti hai. Woh Anokhi ke sar pe hath pherti hai. Shaurya nazre ghumata hai. Uske aankhon mein aansoon hai. Aastha Shaurya se puchti hai mein aaon tumhare paas. Tumhe chahiye toh. Usse hi pehle hi Shaurya sir hilakar haan kehta hai. Kanchan bahar chali jati hai. She thinks unhe akele rehne dena better hoga. Aastha aur Shaurya dono chup chap rote hai. Shaurya ke sir par Aastha hath pherti hai. Shaurya rote rote hi so jata hai. Jab aankhen kholta hai tab bhi Aastha wahi hoti hai. Usse awkward bhi lagta hai aur accha bhi. Usse apni baat yaad aati hai. Ki usse apne life partner mein aisa koi chahiye tha jiske sath uncomfortable situation mein bhi comfort hai. Shayd usse maa ki parchai hi chahiye thi. I am feeling ok Shaurya kehta hai. Aapko kaam hai toh aap ja sakti hai. Anokhi ke sath hoon mein. Aastha ko bura lagta hai. Shaurya kehta hai mera woh matlab nhi tha. Aap rukna chahe to rukiye. Sab kuch theekh hone ki umeed dono ko dikhta hai.

ANOKHI KO HOSH AAYEGA AGLE PART KE FIRST LINE MEIN HI AND THAT IS GOING TO PUT UP AROUND 8PM !!!!!!

Hope you are liking this FF.
Plz vote and comment. U can criticize and say what u didn't like too. Or 
# which parts u specifically liked a lot or what u related too. I would really value that.#

Prayers for the safety of cast. Responsibly step out. Do what you can to help others. Try to take a breather from all the stress. Sending positivity to all.

Goa DiariesWhere stories live. Discover now