Chapter-11-Hang over

601 49 16
                                    

Shaurya tries to pat Anokhi to consciousness. Anokhi opens eyes in a few seconds and her eyes are glassy. Woh puchti hai sab meri taraf kyun dekh rhe hai. They say Anokhi are you feeling ok. Anokhi says haan bas tired. And weirdly cold. They say Anokhi tumhe bukhar hai. Ab doctor kahan se. Anokhi says nhi ab zaroorat nhi. Shaurya for once agrees. He says kal ek baar check up karane waise bhi jana hai tab dekhenge. They help Anokhi to the room and check her stitches and wounds. As all of those are fine. They say it could be due to exhaustion.  As soon as Anokhi is on the bed she is asleep.
Shaurya ko bohot fikar hoti hai uski. Uska mann nhi manta ki wahan se jaaye. Usse pata hai Babli hai magar fir bhi. Ultimately woh bolta hai mein thodi der ke liye ruk jaoon Anokhi ke paas. Babli kehti hai theekh hai. Shaurya ek chair lekar Anokhi ke paas bait jata hai. Uske sar pe apna hath pherta hai.

Babli thodi der ke liye bahar aa jati hai. Woh lobby mein hoti hai. Sab kuch ke baare mein sochti hai. Kanchan kehti hai don't worry Anokhi kal subah tak theekh ho jayegi. In logon ko jaldi ghar aa jana chahiye tha. Babli kehti hai nhi woh Anokhi ke bukhar ke baare mein nhi soch rhi. Kanchan thoda shocked hoti hai. Woh kehti hai fir kya soch rhi ho. Babli kehti hai itne kam din mein sab badal gya. Vineet....  Apne maa baap se kya kahungi. Kanchan kehti hai sach and tumne kuch galat nhi kia. Agar woh tumhe accept nhi kar sakte toh woh itni pyari beti deserve hi nhi karte. I know maa baap, maa baap hi hote hai but you have an extended family now. Hum sab hai naa. Tum kabhi bhi mujhse milne aa sakti ho. Anokhi ke bina bhi. Devi piche se sab sunti hai. Aur kehti hai haan. Tum kabhi bhi aa sakti ho. Tum Anokhi ki behen ho. Isliye do baar socho bhi nhi jab mann chahe aa jana. Babli kehti hai theekh hai. Par aap soyi nhi. Devi kehti hai mein bohot buri maa hoon jo Shaurya ko itna hurt kia but maa toh hoon. Toh dekhne gayi thi Shaurya tum log aaye ho yaa nhi. Tab dekha tum yahan baithe ho. Shaurya aur Anokhi? Kanchan unhe sab batati hai. Devi kehti hai kal ek baar doctor ko dikha denge. Kanchan kehti hai aap so jayiye. Hum bhi thodi der mein kamre mein jaa hi rhe hai. Ek ghanta ho gya hai. Bhaiya ko bhi kahenge jaakar so jaye. Devi kehti hai mein bhi aati hoon. Ek baar dekh lungi Anokhi kaisi hai.

Woh kamre mein jaate hai toh dekhte hai Shaurya chair se uthkar bed par baitha hai. Aur usne Anokhi ka hath apne hath mein rakhar so gya hai. Devi kehti hai kya disturb kare inhe. Waise bhi Babli kehti hai yeh jaise hai naa yahan se uthakar bheja toh sari raat kamre mein chakar ki katte rahenge. Yehi ruk jaaye woh. Aap meri taraf dekh kya rhi hai. Itna mujhe bhi pata chal gya hai. Mein bohot khush hoon ki Nikki ko koi aisa mila hai jo usse itna pyar karta hai. Anokhi bhi kam pyar nhi karti unse. Kanchan kehti hai. Saari raat baithkar pati ki unki jab Shaurya bhaiya ko bukhar tha. And she tells the hostel incident. Babli kehti so toh hai. But ab mein kahan jaaoon sone. Kanchan kehti hai ek kaam karo aap. Mere sath so jao. Yash Shaurya bhaiya ke kamre mein so jaayega. Babli kehti hai mein takleef.... Kanchan kehti hai koi takleef nhi. Aap sone aa jao. And that's what they do.

Raat ko Anokhi has a fever dream. She starts shouting PS aap kahan ho. Shaurya wakes up. He says Anokhi mein yahi hoon. Anokhi ki aankhen khulti hai woh jhatke se uthti hai. And she just hugs him. Kehti hai aap please mujhe kabhi chod kar mat jana. Aapko pata hai meri kya halat hui. Aise kyu gayab hote ho aap. Mein marr hi gyi thi. Shaurya says aage bhi gayab ho jaunga. And then in her ears he says tumhare sath. Anokhi hits Shaurya on the shoulder as she cries. Mazak mat karo PS. Shaurya says Aaah ... Anokhi starts getting panicky. Kahan lagi hai aapko. Dikhaiye. Sorry PS. Sorry. Mein doobara nhi karungi. She is sobbing badly. Shaurya kehta hai tum keh rhi beach pe mein humesha tumse puchta rehta hoon tum theekh ho yaa nhi. Tumhe dekho. Itna ro rhi ho jab kuch hua hi nhi. Ab ro mat aaram karo. Pehle se hi bukhar hai. Aapke ankhon mein aansoon hai PS. Arre nhi yeh toh bas... Tumhare pyar ka natija hai. She wipes the tears. Shaurya kehta hai mein bahar dekhta hoon. Babli bahar wait kar rhi hogi and sees no one. He sees a message on his phone from Babli. Which says she is in other room and if Nikki needs her to call her asap. And she thanks Shaurya.

Shaurya shares this with Anokhi. He says if I sleep here you will be ok naa. Anokhi says yeah. Shaurya takes his place on chair. Anokhi says don't. Just lie beside me. Lock the door no one will come to know. I know you want to be close to me so you can keep a check on me. And  you will pretend to sleep on other bed. As soon as I sleep you will again come and sit on that chair. And you need rest too. It's ok. Shaurya says are you sure. Anokhi says yeah. Shaurya goes and sleeps beside her. Keeping some distance but holding her hand.  So that he can keep a check on her. She in her head says I am glad you respect my space PS. I couldn't have found anyone better than you for myself.

Very delayed FF. But I hope maza aaye. Comments mein mujhe yaad rakhna😂😂. Aur votes mein bhi....

Goa DiariesWhere stories live. Discover now