Heyy guyzz Sorry for the delay hope everyone is safe and sound!!
So let's begin...
Next day...
*In MPT*Pushpa ji is on two day leave..
Ks entered and saw santu and Cheeta doing timepass with billu
Ks: Ka baketi chal rahi hai ye roz aap logo ko kyu batna padta hai ki kaam karo aur baketi band karo...amma ek din batya to samaj mai nai aata hai tum logo ko!!
Cc: sorry maddam sorry (in his style)
Ks: jao jaa ke kaam karo..santu tum mere saath aao
Ss: ji maddam bulaya?
Ks: Haa to suno kal tumne jo bhi dekha wo tum kisi ko nai bataogi samaj mai aaya?
Ss: konsi baat maddam? Aapke aur vyom bhai wali?
Ks: ha ha wahi ab samaj aaya tumko?
Ss: haa maddam koshish karungi
Ks: koshish nai warna aisa bhaukaal dikhayenge ki muh se ekoi baat niklegi darogaji dekhe to bohot magar tumsa na dekha! Samaj aai baat
Ss(scared): ji..ji maddam
Ks: chalo jao ab kaam par lago
*After sometime hm enters*
Hm: jai hind
Everyone: jai hind maddam sir
Kya baat hai aaj itni shaanti se kaam kar rahe hai sabSs: wo maddam sir Pushpa ji nai hai na aaj to Karishma maddam ke saath jagadne waala koi nai hai isiliye aaj shanti hai..
Km: ka boli tum santu hum humesha jhagadte hai sabke saath?
Ss: nai nai maddam mere kehne ka ye matlab nai tha
Ks: sab jaante hai hum tumhaare kehne ka matlab jubaan ko control mai karo warna ek minute nai lagega hume line haazir karne mai samji?
Ss: ji maddam
Hm: ho gaya aap logo ka?
*Hm noticies marks on ks's neck and thought to tease her*
Hm: Karishma Singh ye lijiye pest control wale ka number
Ks: maddam sir ye aap hume kyu de rahi hai?
Hm: nai muje laga aapke ghar mai macchar bohot jyaada badh gaye hai isiliye
Ks: nai maddam sir aisa kuch nai hai aapko aisa kyu laga?
Hm: nai bus aise hi jara humaare cabin mai aaiye
Ks: ji maddam sir aate hai
*Hm see's santu holding her stomach*
Hm: santosh Sharma pet pakad ke kyu rakha hai?
Ss: wo..wo...wo maddam sir wo raat ko khatta dahi kha liya tha na isiliye
Hm: jhoot bol rahi hai aap poora sheher jaanta hai ki aap jab kuch chupa rahi hoti hai tab aapka pet dukhta hai... sacch sacch bataiye kya chupa rahi ho
*Ss looks at ks and she gets back an angry look*
Ss(scared): maddam sir mai sacch bol rahi hu
Hm: salary chaiye to sacch bataiye
Ss (in one breath): wo maddam sir kal raat ko jab mai aur cheeta field duty se aaye tabhi humne dekha ki store room mai Karishma maddam desk par leti hui thi aur vyom bhai bhi waha par the....uff
Km ( embarrassed to hell): amma ek baat tumhare pet mai nai tikti kya?
Ss: sorry maddam pet dard kar raha tha aur baat salary pe aa gai thi
YOU ARE READING
The Accidental love
FanfictionThis is a story on our very beloved Anuseena ❤️😘 Also I will try to include vyoshma and cheetosh moments🥰 Happy reading ✨