A Plan!

780 50 69
                                    

.... daya's home....

( In the morning , Shreya and Daya just woke up by the rays of sun falling on them through the window , Shreya was waking up just like a child , rubbing her eyes , stretching her arms , with a cute pouting face , Daya was smiling by seeing her like this)

Shreya: good morning sir

Daya: good morning , magar Shreya , Maine tumhe pehle bi Kaha hai , tum mujhe sirf Daya bula Sakti ho , yeh Ghar par bi sir

Shreya: sir , lekin

Daya: fir sir

Shreya: Mai aapko shuru se Daya sir kehti hu

Daya: tumhara sir sir , mere sir mei dard kardega

( They both laughed )

Daya: Achi lagti ho , muskurate hue

( She blushed )

Shreya: aapse kch puchna tha

Daya: Han bolo

Shreya: aapko bharosa toh haina , meri Purvi Vali baat par , Maine sach mei dekha tha , Purvi ko

( Daya didn't let her complete the sentence , he came towards her , he keeps his hand on her cheek)

Daya: pyaar ki toh neev he bharosa Hoti haina , mujhe tum par Pura bharosa hai .

Shreya: aapko Lagta hai Purvi eye gang se Mili hui hai

Daya: pata Nahi Shreya , aakhri Baar meri usse baat 6 Saal pehle bureau mei hui thi

Shreya: hmmm

Daya: kya tum bhi subah subah aisi baaton mei lag gayi , bureau chalna haina , taiyaar ho jaao .

Shreya: ( yawning) hannnn chaliye

( They ate the breakfast together , and reached the bureau , when Shreya opened the car door , daya said)

Daya: I love you Shreya , tum par Pura bharosa hai .

Shreya: I love you too sir , thank you

( They both smiled )

......at the bureau

Shreya: good morning sir

ACP sir: good morning

Shreya: kya Baat hai sir , aap itna pareshaan lag rahe hai

ACP sir: kch Nahi Shreya bas vo case ko lekar

Daya: kya hua sir

ACP sir: kch Nahi hua hai Daya , Mai bas yeh Soch Raha tha , kya Barmoza aur Siddharth abhi tak Mumbai mei he honge

( And Abhijeet , Freddy , Sachin entered the bureau they all greeted each other )

Daya: sir , magar , hamne toh railways , airports har jagah in dono Ka naam aur photo bhej dia , agar yeh shehar choar Kar jaayege toh hame pata chal jaayega

ACP sir: Daya , 2 hafte ho chuke hai aur ham abhi tak Kuch pata Nahi Kar paaye

Abhijeet: sir , ham log apni Puri koshish Kar rahe

( ACP sir interrupted in a concerned tone)

ACP sir: Nahi abhijeet , ham apni Puri koshish Nahi Kar rahe hai , Kisi bhi haal mei hame jitna jaldi ho sake , utna jaldi yeh sab khatam Karna hai

Shreya: sir , Kuch hua hai kya , aaj aap bohot pareshaan lag rahe hai

ACP sir: Mera ek khabri tha , vo mujhe kal Raat ko Barmoza ke baare mei Kuch information dene vala tha , magar ...

Sachin: magar?

ACP sir: Mai jab vaha paucha , usse goli Lagi hui thi , isse pehle Mai Kuch bhi Kar paaya , uski maut hogyi

Abhijeet: sir , Aapne Kisi ko dekha bhaagte hue

ACP sir: nahiii , Mai isliye keh Raha hu , ham apni Puri koshish Nahi Kar rahe hai , vo Barmoza har Baar , har Baar Hamse ek kadam aage hota hai , ham kya Karne vale hai , kaise krne vale hai , yeh sab usko pehle se pata hota hai

Daya: magar sir , ham shuru Kaha se Kare ab , hamare pass Jo BHI clues the vo Sab hamne Dekh liye hai aur Kuch pata Nahi Chala

Shreya: sir , Purvi .

ACP sir: exactly ! Shreya , ab hame aage kya Karna hai vo Purvi se he pata chalega

Abhijeet: magar sir , vo hame Kuch kyun batayegi , usse yeh bi Nahi pata ki ham usse Puch taach krne kyunn gaye the

Shreya: sir usse pata hai , trust me , Maine kal dekha tha Purvi ko window par vo ham sab par nazar rakhe hui thi

Freddy: magar Shreya , mujhe ek Baat Nahi samajh aayi , vo gunde toh ussi ki Jaan Lena chahte the na , toh

Sachin: Nahi Freddy , us gunde ne Purvi ko bohot Halke haath se pakda tha , Mai jab usko bachane Gaya toh mujhe mehnat he Nahi Karni padi thi

Freddy: iska matlab , yeh Purvi , Sab naatak Kar Rahi hai

ACP sir: iska jawab toh ab Purvi he De Sakti hai

Abhijeet: magar kaise

ACP sir: Daya ko uski Zindagi mei vapas Jaana Hoga

( Daya , Shreya and abhijeet , were damn shocked )

Daya: sir,.... Mai ..... Nahi sir , Mai Nahi.....

ACP sir: hamare pass koi aur raasta hai? Agar hai toh batao

( He was quiet , he looked at Shreya , while Shreya looked at ACP sir , her eyes were moist by tears , there was a strange fear and tension visible on her face )

ACP sir: Daya ! Mai Tumhe sach mei uski Zindagi mei vapas jaane ko Nahi bol Raha hu , tumhe naatak Karna Hoga

Daya: magar sir , yeh galat hai , Mai Nahi Kar paaunga

ACP sir: tum chahte ho ? Siddharth aur Barmoza Ka pata hame Kabhi na chale ?

Daya: sir , Maine aisa kab Kaha

Abhijeet: Daya , sir thik keh rahe hai

Daya: Abhijeet ab tum bhi, tumhe Sab pata haina

Abhijeet: Daya , hamare pass iske alava koi aur raasta Nahi hai

Shreya: Han sir , abhijeet sir , aur ACP sir thik keh rahe hai

( Daya was shocked )

Daya: tum bhi ???

Abhijeet: ( whispered to Daya ) tumhe yeh sab Shreya ke liye Karna hai Daya , siddharth ko Uske kiye ki saza deni haina , toh maan jaao baat

( Daya reluctantly agreed to this , he looked at shreya and she faked smiled , she was acting everything is normal for her ,but though she knew it was going to be an act but she was afraid , she was afraid of losing him to his first love , because she was well aware of the fact that Insaan Ke pehle pyaar ki jagah Kuch aur Hoti hai )

Daya: kya Karna Hoga mujhe

( ACP sir narrated his plan to him )

Daya: magar , vo eye gang Ka hissa hai , Siddharth ke touch mei hai toh zaahir si baat hai , Uske Ghar se ya phone se koi bhi information nikaalna asaan kaam Nahi Hoga

Abhijeet: tumhare liye kabse koi kaam mushkil hogya

ACP sir: Daya , jaao tum abhi Purvi ke Ghar .

Shreya: ( in a low voice ) all the best sir

Daya: apna khyaal rakhna

.....Ab milte hai agle part mei...










CID Vs the eye gang Where stories live. Discover now