Part-5

564 53 21
                                    

Shaan-We need some music.
He goes and switches on the music system. Song that plays is Sawrne Lage check it out.
Now some drinks. Mein welcome drinks lata hoon.
Tej and Shaan get drinks.
All the drinks are in different glasses and completely different.
Shaan-I thought sab alag alag type ke hai, hum sab thodese perfect hai, thodese imperfect hai, magar alag alag interesting personalities hai. Toh iss difference ko celebrate karne ke liye aaj alag alag drinks.
Shaan-Please all of you chill. Task sab radh hai filhaal no tashan only food, music and fun.
Shaurya-Dad mein help karta hoon starters lane mein.
Shaan-Bilkul nhi. Ek din let me be the gentleman and enjoy the credit.
Khana mein banoo aur parso tum.
Shaurya-Dad.
Shaan-Shaurya. Please yaar mein atmosphere banane  ki koshish kar rha hoon aur tum. Dekh tujhe kuch karna hi hai toh Yash ko bol apna guitar laye aur please apna alas chode aur ek gana bajaye atleast Kanchan ke liye.
Shaurya-Haan naa Yash.
Yash-Shaurya tujhe pata toh hai practice toh nhi rhi.
Kanchan-Arre please naa.
Yash-Ab Kanchan tum bhi.
Kanchan-Mujhe bhi pata hai tumhara practice chala gya hai isliye bola nhi tum aise hi react karte ho bolke fayda kya but aaj sab keh rhe hai.
Yash-Achaa bajaunga but sirf tumhare liye. And mujhe private mein bajane ke liye problem nhi hai if you know what I mean.
He gets his guitar.
Yash-Ok so this song is dedicated to the love of my life. Kanchan. He plays the song Hawaiyein from Harry Met Sejal on guitar.
Yash-Kanchan pasand aaya?
Kanchan-Haan. Thank you!
Devi-Humse bhi puchlo.
Yash-Badi maa aap bhi bolo.
Devi-Bohot acha baja lete ho. Bas alasi ho jo ki aaj shayd maine door ki thodi? Toh guitar iss baar bajate rehna hai.
Yash-Dekhte hai.
Shaan-Ok starters aa gye hai...
He gets paneer tikka, chicken satay with peanut sauce, raw papaya salad.
They enjoy the starters chatting away. Then he gets the main course. Its paneer paratha with a dip and some khumb palak ki sabzi.
Seeing Paneer Paratha Anokhi gets emotional.
Shaurya-Kya hua?
Anokhi-Woh yeh maa banati thi. Unki hath ki meri favourite dish hai.
Shaan-Jab maine har kisi ke fav dishes ka dhyaan rakha toh tumhara bhi toh rakhunga. Tum bhi family ho. Babli di ko bhi miss kar rhi ho naa.
Anokhi-Haan bohot.
Shaan-Toh unhe bhi bula lete hai.
He video calls Babli.
She goes in a corner and they both get emotional.
Shaurya-Aap meri girlfriend ko rula rhi ab. Not fair.
Babli-Meri behen hai woh pehle.
Shaurya-Bata do apni di ko mein zyada favourite hoon naa tumhara?
Babli-Bol de mein hoon favourite.
Shaurya-Anokhi meri hai.
Babli-Arre meri hai.
Anokhi-Arre yeh bhi koi topic hai.
Shaurya-Bilkul valid topic hai. Batana hi hoga. Bolo.
Shaan-Wahan pe kya private conference chal rha hai? Khana thanda ho rha hai.
Shaurya-Dad aap inko bolo dono behene jab roti hai aur baat karti hai tab band hi nhi karti. Katar mein ek insaan khada hua hai samjhao koi.
Devi-Insaan ko khada rehna padega pehle khana.
Shaurya-Not fair. Achaa mein khila deta hoon. Khane ka khana. Pyaar ka pyaar. Aao baitho. Bye Babli. Aur haan tumhare aam ke achar ke sathaa paneer parathe khane mein maza aane wala hai. Khatam hone wala hai. Aur bana dena. Lockdown khulte hi lene aaunga.
Babli-Waah achar banoo mein khaye koi aur.
Devi-Shaurya itna toh bol achar leke aa jaye ghar.
Shaurya-Naa naa itna stupid nhi hoon. Dono behene baith jaiyengi baat karne ke liye tab toh kuch hoga hi nhi mera.
Anokhi-Haaawww. Apni behen se mili nhi hu kabse mein.
Shaurya-Achaa ab rona mat start karo waise bhi doosra achar jo Babli ne bheja hai woh khake roogi hi.
Babli-Kyu?
Shaurya-Itna teekha hai bhai.
Babli-Toh tumhare liye nhi hai Kanchan ke liye hai. Kanchan tumhe pasand hai naa?
Kanchan-Haan bilkul. Bohot.
Yash-Please mat bhejiye pura bottle khali kar degi woh iss rate pe khayegi toh.
Devi-Magar mujhe chahiye.
Tej-Teekhi toh ho hi achar ki kya zaroorat.
Devi-Teekhe hoke na rulao toh roz mil rhe kheer ka maza lena bhul jate hai log. Toh Babli achar bhej do mein kheer bhej dungi. Aaj kal thoda kheer kam karna padega inka. Toh bhej dungi.
Shaan-Bhabhi aaj kheer nhi hai. Aapka favourite bana hai.
Devi-Mera favourite
Tej-Haan gulkand rasmalai.
Devi-Aapko yaad tha?
Tej-Nhi magar abhi note kar liya hai.
Tej and Shaan get the deserts. Tej places the desert plate in front of Devi which has a sorry on it in cherry sauce.
Devi-Tej yeh.
Tej-Isse zyada sorry bolna nhi aata. Magar phulke ki zaroorat nhi chawal se kaam chal jayega. Ek aad din magar banana phulke.
Devi-Tej
Tej-Abhi awkwardness mat badhao. Chup chap khake bolo theekh bana hai yaa nhi.
Devi-Haan Tej bohot acha hai.
Tej-Yeh kaise isme toh cheeni kam hai.
Devi-Magar aapke sorry ki mithas ne balance kar diya.
Tej-Achaa magar mein apna kaise balance karun.
Shaan-Simple hai Devi bhabhi ke pyar se. Jisse hum sab ka khana har din balance hota hai. Bas balance ko dekhna padega. Aap aaj balance ko dekh lo ho jayega.
Devi takes a bit in spoon and feeds Tej.
All clap.
Meanwhile Shaurya and Anokhi have started playing footsies beneath the table.
Kanchan-Yash mujhe pasand nhi.
Yash-Desert bade papa ne banaya hai aisa mat bolo.
Kanchan-Woh nhi jo tum table ke neeche kar rhe ho.
Yash-Kya?
Kanchan-Matlab tumhe khud ke pairon ka nhi pata.
Yash-Kya bol rhi ho.
He looks under the table. Shaurya and Anokhi are playing. He wants to have some fun. So he decides to stamp Shaurya's feet and not allow it to move.
Without seeing instead of Shaurya he places his foot on Anokhi.
Anokhi-Ab pair chodo mera dard ho rha hai.
Shaurya-Arre maina kahana, kuch nhi kar rha hai mein. Tumhara pair hi nhi milra.
Shaurya checks down.
Shaurya-Yash apni wali ke sath khel naa meri wali ko kyu pareshan kar rha hai?
Yash sees under the table and mutters a sorry.
Kanchan-Tum bhi naa Yash.
Devi-Thanks a lot sabko iss task ko success banane ke liye. Khas kar Shaan. Maine kabhi yeh nhi socha. Yeh mere life ka best surprise hai. Tumne itna achaa organize kia sab. Yeh Sabarwaal mansion mein hui aaj tak ki sabse best lunch party hai. Mere dil ko chu gye tum. Khana itna swadisht. Decor itna badhiya.
Shaan-Bhabhi aap sharminda kar rhi hai. Aap saal bhar humare liye itna kuch karti hai. Toh atleast ek special day aap sabhi aurte deserve karti hai. And Tej bhai sahab ne bhi bohot help ki.
Devi-I know Tej ne bhi bohot help ki magar idea bas tumhara hi ho sakta hai. Tej jisne kabhi kitchen mein pair nhi rakha aaj usne yeh desert banaya. I am so so truly honoured. Yash tumne bhi try kia magar agli baar thoda dhyaan se please. Magar very good attempt. Shaurya tumne koshish ki train karne ki magar student hi shayd kamzor hai. Jo point aaj mein dikhana chahti thi, jo sabk sikhana chahti thi woh sab seekh gye excluding Alok. Alok ko sikhane ka zimma mein Tej tumpe chod doon?
Tej-Alok woh naa aaj kal mein zyada kaam nhi kar rha college ka. College ki yaad zyada aa rhi hai. Tumhare hisse ka kaam mein dekh lunga. Devi Jo bole woh kar dena. Suna hai tumhe bohot aasan lagta hai. Toh help kardo inki theekh hai.
Alok-Magar.
Tej-Ok done Devi. Sath hi sath humare room ka kaam mein dekh lunga. Bas har Sunday ke phulke tum sambhal lo.
And all break into a laughter.

That's the end of Juice hope you all loved it.
Please do leave comments it encourages me a lot.
I will be continuing my fanfic writing journey till a long time from now because I do want to hold onto to this.
I hope some of you do hold onto my fanfictions. I want to explore all the possibilities that could not be explored, take all the roads that were not taken(Robert Frost inspo). I want to hold Shaurya and Anokhi and all of the amazing characters in my memories. And your comments will do something to add some more value to already present value of holding on to it. So please do continue to read and comment on my fanfics.....
Please do connect through comments or dm on any fun ideas that you would want me to explore with respect to only Saakk in the future. May take some time since I have an errand list handed to my by the readers that I want to do justice to.
Like Prajkta Koli doesn't say bye I will not say bye to the show. I will say Love, Love Saakk. Love, Love Anokhi and Love, Love Shaurya........Love, Love Ahir, Love, Love Babli, Love, Love to everyone on Saakk!!!!

JuiceWhere stories live. Discover now