PART 16

606 49 231
                                    

Shalini was stood in front of everyone with held her phone in her hand nervously.

Rajveer: doc ap itna kya soch rehi ho. Apko sirf ek simple sa message karna he.

Naveen: ha shalu itna nervous kyu ho rahi ho. Dad he vo tumhare unse bat karne me itna kya sochna.

Shalini: ap log samaj nahi rahe ho, itne salo se mene unse bat nahi kari upar se meri hi galti, to kese ab achanak se me bat kar lu. Vo kitna naraz honge mujse.

Udi: shalini esa kuchh nahi he, apke dad he vo or koi bhi parents apne bachho se jyada time tak naraz nahi reh sakte so don't worry.

Naina: or apko kaha abhi bat karni he sirf message karna he that "dad i want to meet you".

With that shalini just sent message to her dad with lots of nervousness. After some time Shalini checked her phone with confusion.

Abhimanyu: kya hua shalini, ap ese kya dekh rahi ho phone me.

Shalini: dad ka reply aya he ke vo jante he ke me unse milna chahti hu or unhe pata he ke me abhi kaha hu or keh rahe he ke bohot jald milenge. Lekin unhe kese pata.

Naveen: vo sab ham unse hi puchh lenge jab vo hamse milenge.

Gunny: ha Naveen sahi keh raha he. Abhi ke lie jyada mat socho or muje tum logo se kuchh bat karni he lekin ye Rummy kaha he.

Sherry: pata nahi kisi ka call aya or bahar chala gaya.

Then Rummy just entered and directly going towards Gunny.

Gunny:(looking towards Rummy) tum kaha gaye the. Or esa chehra kyu bana ke rakha he.

Rummy: (with anger) ap ki vajah se ye sab ho raha he.

Gunny: mene kya kia ab and hua kya he. Or kiska call tha.

Rummy: dad ka call tha or aj apki vajah se muje dad se daant padi he.

Gunny: meri vajah se kese. Tumne hi kuchh kia hoga hamesha ki tarah.

Rummy: oh please, is bar na apki hi galti he. Mene mana kia tha na apko ke dad ke mail account ko hack mat karna unhe pata chal jayega. Or upar se unhe esa lagta he ke mene hack kia he. Jab ki muje hacking ati bhi nahi he.

Gunny: dad muje unki medical report dikha nahi rahe the to muje unka mail account hack karna pada.

Rummy: ek to pata nahi kis angle se ap sidhe or shant type dikhate ho dad ko. Or fir isi vajahse unhe lagta he ke ese sab kam sirf me hi kar sakta hu.

Gunny: dad ko agar esa lagta he to usme me kya kar sakta hu. Or Tum bhi thoda serious ho jao.

Rummy: (with crying face) bhai please is mamle me majak nahi apko pata he mene kitni mushkil se dad ko manaya tha meri dream bike ke lie, or apki vajah se dad ne muje mana kar dia.

Gunny: ok fine me dad se bat karunga. Ab apni shakal thik karo.

All the other were confused except Abhimanyu and Shalini.

Vidhya: Rummy ye sab kya ho raha he. Or tum sir se ese kese bat kar sakte ho.

Rajveer: Gunny ye sab kya ho raha he. Or agar Rummy tumhe bhai bol raha he matlab tum MGG ke bete ho.

Gunny: ha me MGG ka hi beta hu or Rummy mera chhota bhai he.

Naveen: Gunny puri bat bata kyuki jaha tak ham jante he tum apni mom ke sath rehte the or tumhare dad alag ho chuke the.

Gunny: ha me apni mom ke sath hi rehta tha. Actually mom or dad ke bich bohot sari problem ho gayi thi to unhone alag hone ka socha to jab ham chhote the tabhi vo alag ho chuke the. Tab Rummy dad ke sath or me mom ke sath rehne lage. Sirf weekend pe hi milna hota tha tab me dad ke sath or Rummy mom ke sath vakht bita te the. Fir jab muje pata chala ke dad ne Rummy ko esa kaha he ke mom mar chuki he to muje unse nafrat ho gayi or tab se hi mene dad se bat karna bandh kar dia or mom ko bhi nahi karne di. Ese hi salo bit gaye fir meri posting KMA me hui or usi sal Rummy ne bhi vaha admission lia tha. Muje Rummy ke bare me pata tha lekin vo muje nahi janta tha. Or mene bhi nahi bataya tha use academy me lekin eagle ke network ko jab ham pakadne gaye tab Rummy ko mere wallet se meri Rummy ki or dad ki tasvir mil gayi or use sab pata chal gaya. Fir usne jab pehli bar muje bhaiya keh ke bulaya to mujse bhi raha nahi gaya or mene use gale lagaya. Rummy chahta tha ke me dad ko ek moka du to mene bhi sab bhula ke nayi suruat karneka socha fir dhire dhire mom dad ke bich bhi sab clear ho gaya or aj ham sab sath he.

TOGETHER FOREVERWhere stories live. Discover now