PART 28

147 23 42
                                    

Next morning at 9'o clock in meeting room,

Naveen: to a gaye sab log.

Huda: ha sir itne pyar se order dia tha apne to kese nai ate.

Naveen: kya kaha apne cap Huda.

Huda: kuchh nahi sir ji me to bas ese hi. Ap bataie abhi hame kya karna he.

Alekh: notanki kahi ka marne vale kaam kar raha he.

Pooja: ha aj to Rajveer sir bhi serious dikh rahe he.

Naina: kal jo hua uske bad serious hi hoge na.

Udi: guys idhar dhyan do varna sb ki left right left ho jaegi morning me hi.

Rajveer: ok so kal jo bhi kuchh hua uske bad sab se pehle hame function ke lie security plan karni he.

Naveen: function ke time security ki zimmedari ham sab ki rahegi. Jise divide kar dia he. jese ki main gate se leke function ke under ki security Gunny, Alekh and Naina tum logo ki rahegi.

Function ke under or bahar sab guest ki security Abhimanyu, Rummy and Sameera ki rahegi. Sb guest ko hotel se function and function se hotel tak ache se pohchane ki zimmeari bhi tum sab ki.

Kal jo camera install kie he uske through pure taritery me nazar Rajveer and Udi ki zimmedari rahegi.

Or function ka baki ka saman or un sab ki checking ki zimmedari meri , Huda and Vidhya ki rahegi. Bahar se ane vala har saman ham log check karege. Or guest ke alava event management se jitne bhi log ayege un sab pe bhi hame hi najar rakhni he.

Rajveer: kyuki baki sab to family vale he is lie hame unsse khatra nahi he lekin event management me sab bahar ke workers and management team hongi jin pe khas najar rakhni he.

Shalini: Shivangi tum or me hamesha dadi, Naveen ke parents and Pooja ke parents ke sath rahege. Unki safety ki zimmedari hamari or unhe koi bhi help chahie function related to vo ham unhe karege. Taki ye sab apna apna kaam ache se sambhal sake.

So they divide in team according to their work.

Gunny: so sab se pehle ham tino ko gust ki list mangva ke use prepare kar leni he. jis guest ka naam nahi he unhe bina puchhe under nahi ane dena. Main gate ke bahar metal detector already he hi to vaha sab guards sambhalege. Hame bas najar rakhni he ke unse koi galti na ho. Ham me se koi na koi hamesha gate pe hi rahega. Or sab guest ke a jane ke bad under ki security sambhalege. Sabhi guards ko command ham tin hi karege. Understood.

Naiana/ Alekh: yes sir

Naveen: parso engagement he is lie kal hi sab saman a jaega decoration catering and all, so hame kal se hi kaam pe lagna he. yaha event management se kitne or kon kon log ane vale he uski list ham tak aj sham tak pohoch jaegi is lie us list me jitne log he use jyada log under nahi ane chahie.

Huda/Vidhya: yes sir.

Abhimanyu: sare guest ke list jese hi ham tak ati he un sab ko ache se hotel se yaha transport ham karege. Kuchh guards hamare sath hi honge jin ko command ham karege. Bhale hi sare guest family ke hi kyu na ho lekin fir bhi sab pe najar hame rakhni hogi. Lekin kisi ko bhi pata nahi chalna chahie ke ham un sab pe najar rakhe hue he. ye unki safety ke lie bhi achha hoga. hotel ke room ki bhi checking hame personaly karni he or kuchh hamare guards vaha bhi rahenge. Is lie hotel ka pura access hamare pas rahega. All clear.

Rummy/Sameera: yes sir

Rajveer: ok so jese Pooja ne sab ke mobile me camera ka access de hi dia he lekin Udi ye tumhari or meri zimmedari he ke function ke time us pe hamari najar rahe. Me nahi chahta ke jese kal sab boundary se under aye the vese fir se koi aye. So uspe najar hame har pal rakhni padegi. Kuchh guards mene boundary pe bhi laga die he is lie agar kuchh bhi hota he vo muje or tumhe contact karege is lie hamesha alert rehna.

TOGETHER FOREVERWhere stories live. Discover now