PART 4

1.4K 95 6
                                    


Meanwhile

Y/n abhi bhi bhaag rhi thi. Vo apne peeche dekhti h toh use vo uncle ek jeep me apne aadmiyon ke saath dekhayi dete h.

Ek din pehle hi use pta chala ki vo uncle ek mafia h. Unhone use kal hi pakkad liya tha pr vo kisi tarah vahan se bach nikli. Usne apne pariwar waalo ko batane ke baareme socha tha pr Un uncle ne use threaten kiya ki agar usne kisi ko bhi bataya toh vo sabko maar dega.isliye y/n chup rhi. Magar vo apne aap ko uske haath me bhi nhi sop skti. Uski life uske hi liye nhi magar uski family ke liye bhi jaruri h.

Meanwhile, Tahir bhi y/n aur us uncle ka chupke chupke peecha kr rha tha
Vo apna phone open karta h aur jaldi se police ko inform krdeta h. Police kahti h ki use situation ko thodi der sambhaalna hoga jb tk vo vahan nhi aa jaate.

Tahir phone kaat ta h aur unka peeche krte rehta h. Vo dekta h ki y/n ek sunsaan area me enter krti h.

Y/n bhaagne me itni busy thi ki vo notice hi nhi krti ki vo ek sunsaan area me enter kr rhi h.

Vo jaati h aur achanak ruk jaati h kyuki uske saamne ek dewaal aa jaati.

Vo peeche turn krti h aur dekhti h ki vo uncle vahan apni jeep se apne aadmiyon ke saath utar rhe h.

Y/n peeche chalne lagti h. Laken un uncle ke aadmi use baalo se pakkad lete h aur uske forehead pe gun point krte h.

Y/n apni aankhein dar me band kr leti h jab vo dekhti h ki vo aadmi gun ka trigger pull krta h aur shoot krne hi waala hota h.

Laken achanak se use feel hota h ki kisi ne use apne paas kheecha.

Vo ankhein kholti h aur shock ho jaati h. Tahir wahan use uski waist se pakde hue khada tha. Vo y/n ko jhukne ke liye kahta h. Y/n jaldi se jhukti h aur tabir usi samay us aadmi ki ankhon me mitti jhok deta h.

Phir un uncle ke baaki aadmi uske paaas aate h.

Laken Tahir y/n ka haath pakkadta h aur vahan se use kheech le jaata h.

Tahir aur y/n vahan se bhaag jaate h. Un uncle ke log jaldi se apni jeep me baith te h aur use start krte h.

Tahir aur y/n daudte daudte ek mandir me enter krte h. Vahan vo dekhte h ki ek samuhik vivaah chal rha h.

(Samuhik vivah me bahot saari jodiyan vivah krti h)

Vo log daudte daudte ek room me chip jaate h.

Thodi der tk koi awaaz nhi aati pr phir unhe un uncle ke aadmiyon ki awaaz aati h jo unhe sab jagah dhund rhe the.

Tahir aur y/n ek dusre ko dar me dekhte h. Laken achanak se Tahir ko shaadi ke kapde dekhayi dete h. Vo y/n ko kahta h ki jaldi se un kapdo me change krle.

Y/n jaldi se un kapdo me change kr keti h (in a bathroom) aur Tahir bhi dulhe ki dress pehen leta h. Tahir apna sahra neeche krleta h aur y/n ka ghungat bhi neeche kr deta h.

You- Tahir ji, vo hame ab toh pakdenge na?

Tahir- filhaal ke liye hum log safe h. Jab tk hum ye sahra aur ghungat daale rahenge tb tk koi hame nhi pehchaan paayega. Hame bas is kamre me rahke chupe rehna h jb tk vo log yahan se chale nhi jaate.

You- ok, Tahir ji.

Usi waqt darwaaza kholta h aur vahan kuch log aate h.

???: Arey, tum dono yahan kya kar rhe ho? Tumlog ko shaadi nhi krni kya?

Tahir aur y/n kuch nhi bolte h. Unhe samaj hi nhi aata ki kya bole.

Achanak se vo log unhe pakkadte h aur mandap pe kheech ke le jaate h.

Y/n aur Tahir ek dusre ko dekhte h aur sochte h ki vo inhe sab kuch bata dete h pr usi waqt , vo dono un uncle ko aur uske aadmiyon ko vahan dekhte h.

Y/n aur Tahir chup rehte h .
Y/n ki aankhon se aansu khud hi nikal na start ho jaate h jb vo dekhti h ki use aur Tahir ko log mandap pe baitha rhe h.

Vo dua krti h ki isse pehle kuch galat ho , vo uncle aur unke aadmi vahan se chale jaaye.

Tahir bhi yhi sochta h aur police ka wait krta h. Tahir apni pocket me check krta h aone phone ke liye laken use achanak se realize hota h ki usne phone room me hi chod diya dress change krte samay.

Vo apne aap ko mentally thappad maarta h aur y/n ki taraf dekhta h. Vo chup chap baithi thi.

Tabhi pandit ji rasme shuru krte h. Tahir aas paas dekhta h laken jaise hi vo un uncle ke aadmiyon ko dekhta h vo jaldi se neeche dekhne lgta h.

Dar ke vajah se y/n aur Tahir vo sab Krna start kr dete h jo pandit ji unse kahte h kyunki vo nhi chhate ki kisi ko bhi unpe shaq ho.

Pandit : ab aap log firo ke liye khade hoye

Y/n aur Tahir khade hote h.
Tahir y/n ka haath pakadta h. Laken y/n ko is waqt sirf apne pariwar ki chinta ho rhi thi.

Kya pta ki vo uncle apne dusre aadmi uske ghar bhej de uski khoj me aur phir unhe nuksaan pahuchaye.

Y/n Tahir ki taraf dekhti h aur silently rona start kr deti h . Use nhi samaj aa rha ye kya ho rha h. Aur dusri taraf Tahir ki bhi aankhon me aansu aa jaate h

Vo ye shaadi nhi Krna chata laken uske haalat use itna majbur kr rhe h ki vo kuch nhi kr skta.

Firo ke baad vo dono baith the h.

Pandit ji: ab aap inke gale me mangalsutra baadhiye aur maan me sindoor daaliye.

Tahir ek minute ke liye kuch nhi krta. Laken jaise hi vo us uncle ko y/n ki taraf aur phir uski taraf dekhte hue dekhta h, vo jldi se mangalsutra leta h aur y/n ke gale me baand deta h aur phir bina ghoongat uthaye , uski maang me sindoor bhar deta h.

Y/n froze ho jaati h. Use samaj nhi aa rha ye kya hua.

Pandit ji: ab , ye vivaah sampan hua . Ab aap dono pati patni h.

Ye sunkar y/n aur Tahir apni place pe froze ho jaate h. Na chakar bhi vo dodno ek ese rishte me band jaate h jiski unhone kabhi kalpana bhi nhi ki thi.

FIRST MARRIAGE THEN LOVEWhere stories live. Discover now