NEW BEGINNINGS

1.1K 70 18
                                    

[KEHTE HAIN AGAR ANTH ACHA NA HO TO WO ANTH HAI HI NAHI EK NAYI SHURUAT HAI. ANGREZI ME KAHEN TO ITS NOT ENDING IF ITS NOT HAPPY! 

AISE HI NAYI SHURUAT KARNE JA RAHE HAIN AAJ HUM. US EK DIN NE HUMSE HAMARA SAB KUCH CHEEN LIYA. HAMARA NAAM, HAMARA GHAR, ATMSAMMAN AUR SABSE KEEMTI CHEEZ HAMARI ZINDAGI KI WAJAH "HAMARI WARDI". PAR HUMARE ABBU NE SIKHAYA HAI KI ZINDAGI GIR KE UTHNE KA NAAM HAI AUR AAJ HUM APNE PAPA KE NAAM KE SATH EK NAYI SHURUAT KARNE JA RAHE HAIN . AJ HAMARI JOB KA PEHLA DIN HAI.......SAALO PEHLE PSYCHOLOGY LI THI BAS APNI RUCHI KE LIYE  LEKIN AAJ APNI MASTERS COMPLETE KARKE FINALLY HUM YAHA KE BEST COLLEGE KO AS A PROFESSOR JOIN KARNE JA RAHE HAIN AUR SAATHN HI PHD BHI. HAAN JANTE HAIN YE WO LIFE NAHI JO HUMNE PLAN KI THI , PAR WO LIFE HAI JO UPARWALE NE PLAN KI HAI AUR UNKI PLANNING FULL PROOF HOTI HAI.]

"Haseena beta agar tera aur teri diary ka aaj ka baato ka quota pura hogya ho to aaja nashta karle fir college jana hai. agar teacher hi late hogi to bachcho ko kya sikhayegi?"

"offo ammi aaye hum" She kept her diary in her almirah, took her bags and a final look at herself in the mirror . She missed her wardi but the black suit she wore too looked good. She attached the badge "Haseena Singh". Her phone rang, she looked at the caller id and smiled " Namaste Papa,kese hain aap aur Mansi kesi hai? 

"Hum theek hai beta, maaf karna hum aaj aa nahi paaye. par aaj us prathmik vidyalay ka utghatan hai jo humne tumhare naam se khola hai . chahte the ki ye tum karo par jante hain tumhara yaha aana aur media coverage sahi nahi hai. par salma didi ko kehna samay pe ajaye."

"Ji Papa! aap kitna karenge hamare liye..... apka naam bahut hai hamare liye. "

"chinta mat karo, abhi kuch din me tumse mangenge kuch tab tum ye hisab kitab kar lena abhi jao ."

"ji papa, bye ,dhyan rakhiyega apna .

---------------------------------------------------------------------------------------------------

"Hum us college me jaayen admission ke liye? Kya Shreeman, hamari umra me kon hume vidyarthi samjhega ? "

" Vese Anubhav Sir aap bas apni moustache hata lijiye, aap 12th class tak ke student lag sakte hain"

"Mira tum Samar ki kami puri kar rahi ho? Ek kaam karo tum chali jaao, vese bhi itna padhne ka koi to fayda ho tumhe...."

"good Anubhav, sahi kaha as student nahi balki as teacher jana sahi rahega aur wo bhi Mira ko! Jao Mira aaj hi tumhari joining hai ST. XAVIER COLLEGE me aur waha dosti karni hai Dr Riya se, waha ki vice principal, unke husband Ashok hi mastermind hain is smuggling buisness ke aur sure to nahin par Riya is too involved in this. Go and ek ek pal ki khabar deni hai Riya ki Anubhav ko . "

" okay sir ! " she said and glared at Anubhav. " Pehle Samar ko 1 hafte ke liye bheja aur ab mujhe bhi. huhh....I will see you!" She went from there leaving Anubhav who only smiled in response.

------------------------------------------------------------------------------------------------

ST. XAVIER COLLLEGE

"ST. Xavier's welcomes you all the new joinees to the family. We aim to make the future of India bright, brighter and brightest.

" Chal jhuthi....kamal hai ye insaan kitna fake kar lete hain." Mira was talking to herself but was heard by someone.

"Kyu tum insaan nahi ho?" (yes it was Haseena)

" wahi to unfortunately insaan hu, kash Robot hoti....fake Humans huhh"

Haseena was looking at her wondering what she just said . Mira looked and both burst into laughing.

"Mira Awasthy, Literature Professor, aaj hi join kiya hai."

"Haseena m...SIngh, Psychology Professor, humne bhi aaj hi join kiya hai."

They both chit chat a bit and left for their respective classes.

------------------------------------------------------------------------------------------------

One month passed in which Haseena , Mira and Riya became good friends. Mira who did friendship with Riya just for the sake of mission became genuinely close with Haseena . 

"haseena, mene kabhi pucha nahi na tumne kabhi bataya nahin par itna jaan gayi hu ki kuch gto hai jo tumhe andar hi andar se kha raha hai"

" bahut kuch hai Mira par samay ane pe hum tumhe sab batayenge." Mira just nodded.

five more months passed and Mira sucessfully collected all the proofs against Riya and her husband . It was the time when she had to leave the college but the thing that hurted her was leaving Haseena , a genuine bond in between this mission. 

"Koi baat nahi, tum job hi to chhod ri ho sheher thodi, milte rahenge"

both bid each other goodbye.

----------------------------------------------------------------------------------------------

"Haseena beta humne kaha tha na hum tumse kuch mangenge, kya hum mange?"

"are papa aap ye kesi baat kar rahe hain, aap bas order dijiye..."

" ab shaadi karlo beta..."

"par papa, hamara past janne ke bad kon karega humse shadi, kon ek aisi ladki se judna chahega jo police force se nikali h agar aapko koi aisa mile to hum taiyar hain...."

"hum hamari beti ke liye best insaan dhundenge."

-----------------------------------------------***------------------------------------------


Precap- Their first meet and Rishta for Haseena.

WITH YOU FOREVER!!Where stories live. Discover now