first meet 2

331 18 14
                                    

-----------------------"""""""----------""""""--------

Constables took the theif and the man went after thanking hm and sb

Hm to sb - beta aapne ye kaise kiya ,matlab apko darr nahi laga usne aaper chaku tane khada tha (astonishment)
Sb - umm madam sach kahu to Darr laga tha per Hame papa ki kahi baat yaad agayi ki..jab aisi paristhithi apke samakhs aye ki mujrim apke nikat apna ashtra taan ke khade hoyejaye to apko sabse pehle ye dekhna hai ke mujrim ke dasha kya hai , wohi apko apke agle kadam ka haal batyenge ,hamara kaam jurm khatam karna hai jurm ke khayalo ko khatam karna hai admi ko nahi isiliye asi paristhithi apko apke sujh bujh se kaam Lena hoga aur samne wale vyakti agar koi apke madad ke liye hai to uspe biswas karna hoga to jeet apki hogi .....aur wo ye bhi kehte hai ki asisi koi mushkil nahi jiska haal baatchit se na kijay aur agar na kijay to mere pass aur bhi kayi upay hai (winks naughitly)
Hm - (shocked) (drowned in thoughts ) iski batein hame bilkul unki yaad dilati hai "agar samasya ka samadhan vartalab ya (negotiation) se hall hojati hai to khoon kharaba kyu karna hai na haseenaji"
Sb - (snapping fingers near hm face) madam aap kaha kho gayi
Hm - (came out of thought) nahi kahi nahi wo apke batein hame kisiki yaad dilarahi hai
Sb - kiski ?
Hm - kuch nai wo choriye aapko pata hai aapne ye kaise kiya
Sb - kya
Hm - apne ye sach kaise pata lagaya ki unhone purse kaha chupaya
Sb - waise to secret hai hum kisiko nahi batate per aap acchi ho to apko batadete hai
Hm - accha , shukriya hame iss qabil samajne keliye (smiles )
Sb - wo humne unhe tab hi dekhliya tha purse chori karte huye aur papa kehte hai jab v apke nazro mein ke samne asa koi gunah ho to aap dekhle ki gunah kya hai kya aap unhe rok sakte ho ya aap isse bhi bada jaal fenk sakte ho taaki kabutar khud jaal mein fass jaye , isliye humne unper nazar rakhe tha per kyuki purse unke pass nhi thi iska mtlb unhone kahi fenka hoga to bas wohi humne jhuth bola taki wo sach batade (smiles proudly)
Hm - (amazed ) wah bacche aap to sachme kafi hoshiyar aur samajdar ho aur bahadur bhi
Sb - (smiles ) thank you aunty sorry madam
Hm - koi baat nahi beta aap hame aunty kehsakte ho
Sb - (smiles ) ok aunty aap bht acchi ho
Hm - shukriya , aur wakai apke ammi aur abbu ko appar bht garv hota hoga kyuki aap itne bahadur aur samajdar jo ho (he just smiles ) waise aap apne abbu ke bareme kehrahe the wo koi officer hai mtlb
Sb - ji hamari mummy aur papa dono Ib department mein hai aur hamare papa sp hai kashmir ke oops sorry the
Hm - accha  ye to bht acchi baat hai hum bhi apki ammi se milna chahte hai jinhone apko yaha laya
Sb - (his faces fell and down his head ) aap unse nahi milsakti
Hm - kyu wo yaha nahi hai ,koi baat nahi hum unse baadme millenge
Sb - aap unse kabhi nahi milsakti kyu wo ab iss duniye mein nhai hai

******************
*Hm realise that she made him sad by saying this and she felt sad that in this age he lost his mother but still he smiles like he is the happiest and he is so mature then his age *

*******************
Hm - am sorry beta woo (interrupted by sb )
Sb - it's ok aunty apki galati nahi hai dadajaan kehte hai ki harr  insan ke zindagi jeene ka ya uske sharir mein rehne ka ek specific time hota hai aur iss waqt ke khatam hone ke baad unhe Jana hi hota hai isme hum ya bhagwan kuch nahi karsakte it's life circle hum bass unke sath guzare lamho ko yaad karsakte hai (smiles remembering his mother)

______________________________________

His thinking his matured nature in making haseena astonished and amazed again and again and sliding her in deep thought that how this small child is saying about the circle of life it's even so hard for many elders to understand this but he in this age understood it's meaning and though Knowing his mother won't return ever he isn't keeping any hope whereas many people give children fake hopes

______________________________________

Hm - (trying to divert the topic) waise apne itni bahadur ka kaam kiya aur mane iss bahadur bacche ka name hi nhi pucha very bad , apka name kya hai bacche
Sb - hamara name hai shilbhav singh (shinde )
Hm -      (she remembers about shilpa by seeing him ) bracket mein shinde kyu
Sb - wo meri mummy ka surname hai to ye lagane se unka name bhi humse judta hai
Hm - wah bete aap jaise bacche hi ane wale waqt mein hamare desh ka name roshan karenge , apki ammi Jahan bhi hongi appar garv karrahi hongi
Sb - (teary eyed) kya sachme mummy ko humpe garv hoga
Hm - bilkul hoga akhir aapne itna bada kaam jo kiya hai aur aap itne samajdar bhi ho appar to apke parivar ko bhi garv hoga , waise aap idhar akele aye ho aur aap kaha rehte ho
Sb - (wiping his tear) hum Lucknow pehli baar aye hai aur abtak ghar nahi gaye hai aur hum idhar rishab uncle ke sath ayevhai
Hm - accha rishab uncle kon hai aur wo hai kaha
Sb - rishab uncle mere papa ke dost hai aur wo phone pe baat karne ko gaye the ( he hit his head and bit his tongue) aree hum to bhul hi gaye the rishab uncle ne hame wahi baithne ko kaha tha aur hum yaha agaye wo hame dhundrahe honge , agar unhone papa ko kehdiua hoga to ( fearing ) papa hame bht datenge
Hm - shant hojao bacche kuch nhi hoga apke papa apko nahi datenge hum hai na hum baat karenge apke uncle se chaliye
Sb - aap chalengi
Hm - kyu nai akhir apne itni bahaduri ka kaam kiya hai hum apki itni madad nahi karsakte

______________________________________

They both reach near the park gates and suddenly haseena gets a call and it's urgent case sb saw that Rs was still not there so he asked haseena to go haseena at first was not ready but ab assured her that he will manage his uncle and even his khadoos papa (not used to be before ) listening which haseena chuckled and by biding bye to shilbhav ,she went to her respective workplace .
Shilbhav went and sat in the bench rishab returned again

Rs - oy chotu kidhar tha tu
Sb - hum hum to idhar hi hai apko dikh nhi raha ( sarcastically)
Rs -Mera mtlb  idhar to tu abhi hai pehle kidhar tha
Sb - pehel to hum train mein the usse pehle kashmir mein
Rs - aree yrr mera matlab hai jab main phn pe baat karraha tab  kidhar tha
Sb - aree aap Jab phone pe baat karrahe the tab bhi hum yahi the
Rs - jhuth mat bol tu idhar nahi tha
Sb - kisne kaha apki hum yaha nahi the hum yahi the aap to phn pe baat karrahe the apne kaise dekha
Rs - wo...wo mane dekha tha tu idhar nahi tha phir main tujhe dhundne gaya udhar
Sb - aree wo to aap wapas nahi arahe the to hum apko dhundne gaya tav aap idhar aye phir humne apko dekha aur apse Milne idhar aye aur aap wapas udhar chale gaye phir hum udhar arahe the ki aap hi idhar agaye
Rs - (confused) hein ? Ye kya idhar udhar laga rakha hai
Sb - rukiye hum batate hai (interrupted by RS)
Rs - ruk ja chotu (joining hands, dramatically) main samajh gaya tu Anubhav ka beta hai , chakariya admi jo kisi bhi acche khase admi ka bhi dimag ghuma de uska beta to uske jaisa hi hoga na. ( Sb chuckled)
Sb - aree uncle I am sorry hum mazak karrahe the hum actually (tells him the whole incident RS became shocked)
RS - bacche tu...tu thik to hai na tujhe kahi chot to nahi ayi
Sb - aree uncle hum thik hai dekhiye kuch nhi hu hame
Rs - aree kya jarurt thi tujhe udhar Jake hero banne ki agar wo chor tujhe kuch kardeta to main kya jawab deta tere papa ko (worriedly)
Sb - per kuch hua to nai na
Rs - haa per (took a deep breath and calmed himself) dekh beta tu janta hai na tere papa ke pass tere sivai koi nahi hai ha janta hu wo thora gussa aur rude hogaya hai per iski wajah v to aap jante ho na papa apse bht pyar karte hai bacche
Sb - hum jante hai uncle papa humse bohot pyar karte hai aur hum bhi unse sabse jyda pyar karte hai per hum ase uss chor ko v to jane nahi desakte the na usko v saza dilwani jarurat thi agar hum aam nagrik police ki madad nahi karenge to kaise desh age badhega
Rs - tum aur tumhara papa desh ke age kuch dikhta hi nahi , per promise ki age se tum asa kuch nhi karoge
Sb - (thinking) nhi uncle main age se kuch bhi asa karne se pehle saabko bata dunga (smiles and run from there )
Rs - aree chotu ruk ja (but he already went from ther ) (in mind) akalmandi aur baton mein bilkul Anubhav pe gaya hai per sanskar aur bachpana bilkul shilpa per hai (remembering sm) kash shilpa tum aaj yaha hoti to apne bete per garv karrahi hoti (smiles and run behind him )

_______
(Shilpa was like a sister to Rishab , he used to pamper her and she tied rakhu every year and he too loved her and vice versa)

____________________________________________________________________________

Are you liking the shilbhav and Rishab jodi 😜

Precap- griha pravesh

Teri meri prem kahaniWhere stories live. Discover now