MISUNDERSTANDING (1)

2.7K 117 8
                                    


Let's continue after dr mahajan accused karan and monami heard only what karan said 

***********************************************

Monu - karan yeh tum kaise baat kar rahe ho papa se ?

karan - monami mein to bas ........

monu - hum tabhi baat karenge jab tum papa se sorry bologe     

karan - monami meri baat to suno 

monu - kya sunu mein karan ..... meine sab suna tumne papa ko kya bola tumhe ho kya jata hai karan ? itna gussa kyon ? papa meri khushi ke liye tumhe bhi accept karne ko ready ho gaye aur tum ho ki unhe yeh sab bol rahe ho ....... this was not expected from you 

karan - okay great tumhe meri baat nahi sunni na mat suno mein bhi kuch nahi bolunga 

And he started leaving 

monu - kar..karan karan !! 

But he did not listen and left 

dr mahajan - i am sorry beta meri wajah se 

monu - nahi papa apki wajah se kuch bhi nahi hua hai pata nahi karan ko kya hojata hai 

dr mahajan - ( in mind ) mera kaam hogaya bada aya tha meri beti se pyaar karne wala 

dr mahajan - monami beta chalo ab bahut raat hogayi hai mein tumhe academy chod deta hoon

Monu - theek hai papa

Dr mahajan - tum yahin baitho mein washroom hoke atta hoon phir hum chalenge ...

Monu - hmm....

Dr mahajan left from there to washroom and after he left a boy came to monami ..... The waiter of the restaurant

Waiter - didi !!

Monu - haan

Waiter - yeh apne sahi nahi kiya

Monu - matlab ?!

Waiter - apne karan bhai ke sath sahi nahi kiya

Monu - tun hote kaun ho yeh bolne wale ?

Waiter - janta hoon koi nahi hoon bolne wala lekin ap jab washroom mein thi tab meine sub dekha tha kya hua ...... Aur mein karan bhai ko bahut acche se janta bhi hoon

Monu - kaise jante hoo tum usse ?

Waiter - jab meri maa hospital mein thi aur unke ilaaj ke liye paise nahi the tab karan bhai hi mere liye farishta bankar aye the unhone mujhe maa ke operation ke liye paise bhi diye aur meri yahan pe naukri bhi lagwayi taki agli baar mein mehnat karke paise kamaun .......

Monu - oh yeh to bahut acchi baat hai ... Lekin tum mujhe aise kyon bol rahe ho ki meine galat kiya ?

Waiter - kyonki di meine dekha karan bhai ki koi galti nahi thi galti to woh uncle ki thi

Monu - kaise ?

Waiter - bhaiya to chup khade the un uncle ne bolna start kiya jab aap bathroom gaye

Monu - haan kya bola ?

Waiter - unho ne kaha ki tumne to apni aukat bahut jaldi dikha di mujhe laga tha ki aur time loge

Monu - matlab ? Aur yeh aukat kaise aya ?

Waiter - didi puri baat to suniye

Monu - haan bolo

Waiter - unhone kaha ki paise chahiye the to aise bol dete bheekh samajh ke de deta meri beti ko pyaar ke jhoothe jaal mein fasa ke uski zindigi barbaad karne pe kyon tule huye ho tum !!

Monu - what ??!!!

Waiter - phir bhi bahi chup rahe unhone kuch nahi kaha lekin woh uncle to bolte hi jaa rahe the

Monu - unhone aur bhi kuch bola ?

Waiter - didi bahut kuch bola ... Unhone kaha ki tum usko academy wapas laye yeh kehkar ki tumhe uske dreams ki chinta hai lekin nahi tumhe to uska paisa daulat rutba dikh raha tha tumhe laga ki usse pata liya to life to set hai.... Phir bhaiya bole ki apko usse yani apko apni jaydaat se nikalna hai nikaliye jo karna hai kijiye kyonki naa to unhe farak padta hai aur naa hi apko

Monu had tears in her eyes 

Waiter - bhaiya ne yeh bhi kaha ki meine apki beti se nahi balki us ladki se pyaar kiya hai jo apni maa ki tarha desh ke liye kuch karan chahti hai ..... Lekin phir bhi woh uncle paise paise hi kare jaa rahe the ....... bahut kuch bola unhone bhai ko lekin bhai aram se hi baat kar rahe the phir last mein jo bola woh sunke bhai ka dimaag ghoom gaya aur phir woh chilaye 

monu - kya bola ?

waiter - unhone bola ki tumhare jaise bahut commandos dekhe hai tum to paise ke liye apni wardi to kya desh ko bhi bech khao 

monu - what the heck !! woh aise kaise bol sakte hai mein karan ko acche se janti hoon woh ek bahut imaandar officer hai aur apne desh ke liye jaan dene ko bhi hamesha taiyaar hai 

waiter - ab kya fayada didi ? apne to unki baat bhi nahi suni aur kya kya keh diya unhe ...... khair mein ab chalta hoon 

monu nodded 

Monu - ( in mind ) matlab papa abhi bhi waise hi hai ekdam sudhre nahi ... ek to unhone karan ko kitna kuch keh diya aur meine bhi nahi suni uski baat ........ i am so stupid ..... bechara karan abhi kitna hurt hoga ........ ( with tears in her eyes ) 

suddenly her phone rang 

___________________________________________

To be continued ............

hope you liked it 

give me some suggestion 

do vote & comment 

Thanks For Reading !! 

_____________________________________

Vote Target - 70 +

Word Count - 1000

ZIDDI DIL MANENA WORLD |SHORT STORIES|Where stories live. Discover now