The mysterious Case of Urmila ft. ANUSHMA

1.3K 91 44
                                    

(A normal day in MPT , Urmila urf Haseena has solved the case of veg MIL and non veg DIL successfully! The whole mpt including Karishma Singh praised her.  )

"Kya bolti public! Kar diya na mene ye case bhi solve ek dum tumhari haseen dilruba ki mafik.  Boli thi apun, aise tension vension nahi lene ka , santulan banake rakhne ka. " Urmila said in full excitement after solving the case . 

" Haan theek hai , hum bhi kar hi lete , ab tum zyada udo mat samjhi? Chalo ab ghar chalne ka time ho gaya hai. Cheetah aur Santu Night duty hai tumhari,  koi gadbad nahi honi chahiye. " KS said picking her stuff from her desk . " Aur Urmila chalo aaj hum tumhare sath chalte hain , vese bhi Pushpaji aud patidev hain nahin to hum waha Jake maddam sir ke ghar pe thoda rehna chahte hain, unka ehsaas hai us ghar me"

HM felt something piercing her heart seeing her best friend in this conditions but still she collected her strength and said " aye chatak chandni tu chalegi par rahegi kaha , waha vese hi Tera wo item bhai aur teri haseen dilruba ki ammi hai" 

The land slipped under karishma's feet . " Kya Ammi aayi hain? Aur tum hume ye Kab batane Wali thi? Tumhe pata bhi hai wo dil ki mareez hain aur Anu bhaiya ne bhi nahi bataya" " batayega kya Tera Anu bhaiyaaa , usine bulaya hai unhe sach batane ke liye " 

"Kaa..? Anu bhaiya ne bulaya hai ....nahi hume unhe rokna hoga , khask kar jab tak maddam sir ke hathiyare nahi pakde jate tab tak ammi ko kuch nahi bata sakte" KS said .

"Hum jante the Karishma Singh aap ammi ko sach ka pata nahi lage dengi, isliye to humne aapko btaya ab aap hi hamari madad karengi " hm thought in her mind.

--------------------------------------——————

At Haseena's home

Ammi opened the door and was surprised and happy to see her second daughter Karishma!  She hugged her , karishma too took blessings from Ammi.

"Kesi hai Karishma tu? Aur Haseena to Haseena , tu bhi kitni dubli ho gayi hai. Milne de Pushpa ji se, unki khabar leti hu meri bachi ka dhyan nahi rakhti"

" Nahi Ammi , bas ye to kasrat ka nateeja hai ..." cutting her words "tu apni Ammi se jhuth nahi bol sakti, koi baat hai jo tuje khaye Jari hai" ammi told

"Ammi bat chhodiye ye khan ki lazeej khushboo jo rasoi se arahi hai...kya bnaya hai aapne?"

"Ammi ye to hamara favorite Shahi paneer lag raha hai , aapne Shahi paneer banaya hai " Haseena said in a child like excitement. 

"Humne to Urmila ko bataya bhi nahi kabhi ki Shahi Paneer MS ka  favorite hai " breaking her chain of thoughts,  Anubhav came wearing an apron.  

"Are aap dono aagyi? Chaliye fresh hoke aaiye, ratri bhojan ka samay hogya hai. "

"Aap? Aap the kitchen me?" Haseena asked annoyed. 

"Haan Mera beta tha , aaj apni ammi ke sath milke Tera manpasand bhojan bana raha tha, Anubhav beta tune Haseena ko abhi dekha nahi, Shahi Paneer ki khushboo matra se bache ki Tarah khush ho gayi" 

Listening to Ammi , Anubav smirked , went near Haseena and holding her shouder and said " Wo to hona hi tha Ammi , hum inki pasand kese bhul sakte hain "  seeing them Ammi smiled and took their balaye "kisi ki nazar na lage mere bacho ko !"

All have dinner afterwards.  Ammi and Haseena went to sleep while Karishma was figuring out the happenings which took place few hours back. She knew only one person could answer her. 

------------------------------------------------------------------

" Ka challah hai aapke dimage me bhaiya? Aapne Ammi ko kahe bulaya ? Aap ke dimag me kuch to bahut bada chal raha hai"

"Nahi Behna , humne to unhe bas satya se ujagar karne ke liye bulaya hai . Unka haq hai Janna "

"Apko hum topa lagte hain ? Hum jante hain aap Ammi ka Kitna samman karte hain, aisa kuch nahi karenge jisse unhe Haani ho , aur rahi unhe sach batane ki bat to wo Maddam sir ke hathiyaron take pahuchne ke baad hi hoga,  fir kahe bulaya aapne"

"Sahi kaha Behna aapne , hum Ammi ko kabhi bhi koi dukh nahi pahucha sakte, hamare liye Ammi aur Maa saman hai . Darasal baat ye hai ki hume lagta hai , ya yu kaho ki yakeen hai ki Urmila hi Haseena Mallik hai. "

"Ye aap ka keh rahe hain bhaiya ...aisa kese ho sakta hai...MS...."

" Behna aap sochiye na ek Maa apni bachi ko kese ni pehchan payegai? Aur Haseena ji ka ehsaas humse behtr kon janega ? Wo Ham sabki Haseena hi hai ."

"Bhaiya sach kahe to Mann aaj bhi nahi manta ki Maddam sir ab nahi rahi. Bahut bar dil ne kaha ki wo Urmila nahi hamari Maddam sir hain par aankho dekhi kese jhutlaye..apne in hatho se unhe pakda tha ...hamare paas thi wo....apni aakho se unhe us khai  me girte hue dekha hai ...." She was on verge of crying , Anubhav consoled her "Sambhaliye Behna "

"Par bhaiya aap itne yakeen se kese keh sakte hain ki wo Urmila nahi....."

"Behna do insaano ki shakal ek ho sakti hai , awaaz ek ho sakti hai , sochne ka tareeka bhi shayad par nazariya? Har case ko jazbaat se sirf Haseena Mallik karti thi. Aur aapko wo hard disk yaad hai? Wo Khali thi aur abhi kuch din pehle humne sajan ke pas pendrive dekhi jo usne Urmila se li thi...waha locker room me sirf Urmila gayi thi na? Aur Haseena ji ko phoolon se allergy thi, Urmila ko bhi wahi allergy hai aur ye sab chhod bi dijiye par ehsaas ? Unka ehsaas pehchanne me hum maat nahi kha sakte! Unki aankho me hamare liye whi prem hai jo Haseena ji ki ankho me tha . Desh ke liye wahi junoon hai jo Haseena Mallik me tha . Aur hum shayad ek premi,  ek officer dhokha kha jaye par ek Maa ? Chaliye Urmila ko to aapne bataya tha Ammi ke bare me par wo apni beti ki pehchan ne me kese galti kar sakti hain?"

" Haan bhaiya pr...ek min...aapse kisne kaha ki ammi ke bare me humne Urmila ko bataya? Ammi ka to zikr hi nahi hua tha . Ho sakta hai tasveeron me dekha ho ...par aapki baat sahi hai bhaiya . Shaq to hume bhi bahut baar hua hai , aapko yaad hai wo bracelet jo MS hamesha pehenti thi wo hume mila waha jaha Urmi thi. "

"Sabse ahem baat behna , sare records check kar liye par Urmila Mahadev Mhatre ka koi solid record hai hi nahi jo ye sabit kare ki wo bachpan se waha hai, Har record 42 din ka hai . Aur sajan ke mutabik  wo Urmi se 42 din pehle mila tha!"

"Iska Matlab saaf hai , wo hamari Maddam Sir hain , bhaiya ab to koi Shaq ki gunjaaish nahi,  wo hamari MS hain, hume unse milna hai"

"Nahi Behna jab tak wo khud nahi qubool ti ki wo Haseena Mallik hai, jab tak Shaq ki 1% pi gunjaish hai hum ye nahi kar sakte ."

"Par kyu bhaiya, ab kesa Shaq? "

"Kyuki Karishma Singh is sab ka seedha Nata hamare mission se hai,  Rashtriye Suraksha ka Mission.  Agar ek pratishat bhi wo Haseena ji nhi koi aur hui to bahut badi samasya hogi ."

"Bhaiya aisa bhi to ho sakta hai , MS kisi mission par ho, aisa hua to hum kahi unke liye mushkile na badha den"

"Whi to darr hai Karishma,  ye mission unke liye bahut bada khatra hai , hum unki jaan khatre me nahi dalna chahte , unhe shayad pata bhi nahi ki Desh ke Rakshak hi is samay bhakshak bane hue hain. Aur agar wo Urmila bhi hain tab bhi unki jaan khatre me hi hai isliye hum chahte hain ki sach samne aaye Taki hum sab Milkar is Mission ko uski Manzil tak le jaayen "

"Aur isme Karishma Singh aapke saath hai Sir "

They looked at each other filled with a new zeal to proceed further.  Here thier whole conversation was listened by Haseena. 

"Desh ke Rakshak hi bhakshak kahi..............."


_________________________****__________________________

So this was my take on the ongoing track , I tried to give it a new look . Hope you all enjoyed it!

Signing off

Take care , Love Love ❤ 

Kuch Ankahi Dastaan!Where stories live. Discover now