You're always on my mind

768 49 9
                                    

There might be errors here and there and the writing not upto the mark as I wrote this one a while back and I'm not going much on the editing part.

Here we go with the first part..

In the market,

Neil and Sunheri bump into each other.

Neil- hi!

Sunheri- hi.. kaise ho tum? Aur ghar pe sab kaise hain?

Neil- sab thik hain. Aur bacche kaise hain? Tum kaisi ho?

Sunheri- sab bilkul thik.

Neil- aur Tara.. Sitara.. kaise hain?

Sunheri- woh bhi thik hain.

Neil smiles.

Neil- Acha mujhe kaam hai, I'll have to leave, take care.

Neil turns to leave

Sunheri- Neil.. Avni bhi bilkul theek hai. Itna hichkichane ki zarurat nahin thi.. aise hi pooch lete.

Neil gets a little awkward at this, while Sunheri smiles at him.

Neil- aisi baat nahin hai Sunheri, mera woh matlab nahin tha.

Sunheri- na toh main idiot hun aur na hi tum, samajhti hun main.. waise Neil.. ek baat kehna chahti hun tumse.

Neil- sure, go ahead.

Sunheri- cchodo.. tum galat matlab nikal loge.

Neil- as long as Avni ki safai nahin dogi, main koi galat matlab nahin nikalunga.

Sunheri- uski safai nahin de rahi.. kyunki main bhi maanti hun ki jo bhi usne kiya woh galat tha. Par jis din tumhe uske uss qadam ke peeche ki majboori pata chalegi, tum phir se usse ek baar dekhna chahoge.

Neil- kya kehna chahti ho tum? Avni ne jo bhi kiya bhale hi kisi majboori ki wajah se kyun na kiya ho, usse mujhse chupana nahin nahin chahiye tha, andhere mein nahin rakhna chahiye tha.

Sunheri- tum jo bhi kaho, woh tumhari marzi hai, par ek baat jaan lo, abhi tak tumhe sirf yahi pata chala hai ki Avni zinda hai, par abhi aur bhi raaz hai jo Avni ne chupa rakhe hain.

Saying this, she takes a leave, while Neil is left confused.

At Sukoon Ghar,

Avni- Nahin Sunheri main usse nahin bata sakti.. woh toot jaega.. usse pata nahin chalna chahiye ki maine yeh uski safety ke liye kiya.

Sunheri- kaisi safety haan? Safe hona khush rehne se badhkar hai kya? Uski khushi tumpe basti hai.. tumhare bina, uske safe hone ka kya fayda?

Avni- Sunheri tum samajh nahin rahi ho. Har cheez ka koi na koi waqt hota hai, ab bohot der hogayi hai. Ya abhi tak woh waqt hi nahin aaya hai.

Avni- aur tum jaanti ho, main Neil ko nahin kho sakti.. uski berukhi kyunki main jaanti hun uske peeche dard aur narazgi chupi hai. Par yeh ki woh mujhse nafrat kare, yeh mujhse nahin hoga..

Khanna House,

Neil's room,

Neil is sitting pondering over Sunheri's words.

Neil- Ab aisa konsa raaz hai jo Avni chupa rahi hai? Sunheri ki baaton ka aakhir matlab kya tha? Agar woh raaz khul gaya toh main Avni ke baare mein phirse sochunga?

He stands and goes in front of the mirror.

Neil- Agar maine Avni se pucha toh woh nahin bataegi.. jaanta hun main usko. Agar woh baat mujhse related hai, hum donon se related hai toh main khud hi uss raaz ka pata lagaunga.. afterall mujhe janne ka poora hak hai aur main jaanke rahunga.

AVNEIL SS- WAQTWhere stories live. Discover now