6. MORAN - 2

1.7K 115 40
                                    

Hey guys...

Enjoy this part...😊
.............................................................

Monami was feeling dejected while remembering her and Hooda's first and very serious fight or argument as best friends. Karan said...

Karan (Cupping her left cheek) - Look Monami, tum batana chaho to hi batao, varna koi zor-zabardasti nahi hai because mujhe tum kafi udas dikh rahi ho iske karan.

Monami (Sadly smiling) - Aisa nahi hai ke main batana nahi chahti hu, Karan. It's just that ke mujhe us fight ko yaad karke kafi disappointed feel hota hai aaj bhi.

Maine tumse kaha tha na ke hum dost do groups me bat gaye the?
(Karan Nodded) Ek group me main, Yudi aur Aalekh the jo har haalat main Naina aur Rajveer bhaiyya ko support karna chahte the aur dusra group aisa tha jo ki Naina aur Rajveer bhaiyya ke khilaf tha aur usme Hooda, Pooja aur Ali the. Hooda, Pooja aur Ali tab Naina aur Rajveer bhaiyya ke rishtey ke khilaf the, jise duniya ki nazare kisi aur hi bhadde nazariye se dekh rahi thi. Pooja aur Ali se tum abhi tak nahi mile ho kyuki Ali Gujarat me posted hai aur Pooja uske hometown Chandigarh me posted hai. Vo thode waqt me hi yaha aa rahe hai, main tab tumhe unse milva dugi.

Khair... Ab tum soch rahe hoge ke is tarah se hum dost alag alag kaise ho gaye. To baat ye thi ke Naina ki identity reveal ho chuki thi aur sabko pata lag gya tha ke Naina Captain Naveen Singh Ahluwaliya ki chhoti behen hai, jise log aur puri Army traitor maan chuke the. Upar se uspe aur Rajveer bhaiyya pe sab ulte sidhe comments pass kar rahe the. Hooda kabhi Naina ko pasand kiya karta tha but Naina hamesha Rajveer bhaiyya ke irdgird hi dikhayi deti thi aur vo kafi khush bhi thi unke aaspass rehkar kyuki vo sirf uske mentor hi nahi the balki Naveen bhaiyya ke bahot ache dost bhi the aur Naina ka sabse bada support system bhi the.

Use pata nahi tha ke vo Rajveer bhaiyya ko chahne lagi thi. Uske hisaab se ab is duniya me vo kisi pe sabse zyada bharosa karti hai to vo sirf Rajveer bhaiyya hai. Vo ek bahot hi bura phase tha hum doston ke liye but Rajveer bhaiyya ne hume kabhi bhi alag nahi hone diya. Vo hamesha hum doston ko jod ke rakhne ki ek sabse important kadi bane.

Fir humari life ka sabse bura din aaya, jab Rajveer bhaiyya ko apne hi senior ko maarne ke jurm me giraftaar kiya gaya. Unpe muqadma chala but vo to sirf ek formality thi. Unki to koi inquiry bhi nahi hui, sidha court case aur fir saza. Unhe to khudko defend karne ka mauka hi nahi mila. Unka Court Marshall kar diya gaya, sabkuch chhin liya gaya unse. Unke aur Naina ke rishtey ka puri adalat ke beech mazak banaya gaya.

Hum puri tarah se haar maan chuke the par uske agle hi din Pooja ke Mobile me ek cross connection lag gya aur uske through hume ye pata chal gya ke Rajveer bhaiyya ko jail se shift karte samay hi maar dene ka plan tha unka. Hum unhe aise hi nahi marne de sakte the to humne vo faisla kiya jo koi bhi cadet karne se pehle sau baar sochega.

Karan (Understanding her point) - Tum logo ne unhe vaha se bhagane ki koshish ki...!!!

Monami just nodded her head and he sat beside her on the sofa. She put her head on his chest and hugged him sideways. He started to caress her hair and she continued...

Monami (Sadly) - Hum unhe vahase nikalna chahte the par pata nahi achanak se humpe goliyan chalni shuru ho gayi. Rajveer bhaiyya ek jeep me bethkar vahase ja hi rahe the ke achanak se humne ek bahot bade dhamake ki aawaaz suni aur jab humne palatkar dekha to Rajveer bhaiyya ki vahi jeep jalte hue pull se niche gir gayi thi.

Us waqt Naina ki halat bahot hi zyada critical thi, vo to apna hosh tak kho chuki thi. Firing tab bhi chalu hi thi. Unme se kisi ne Naina ko nishana banana chaha but Hooda beech me aa gya aur goliyan use lag gai. Use vahase hatane ke chakkar me ek bullet mujhe lag gayi thi. Vo to acha hua ke Abhimanyu Sir vaha aa gaye the varna to shayad hume koi nahi bacha sakta tha.

Hume vapas KMA to le jaya gaya but humpe ek deshdrohi convict ko bhagane ka aarop laga, kaha gya ke ye ambush humne plan kiya tha, Rajveer bhaiyya ko unki saza se bachane ke liye. To hume academy se nikal diya gaya. Hum almost haar maan chuke the aur samajh chuke the ke ab hum Army ka hissa kabhi nahi ban payege.

Maine aur Naina ne to US tak jaane ki planning kar li thi aur hum chale bhi jaate but achanak se Abhimanyu Sir humare baaki ke doston ke sath vaha pohoch gaye aur humse kaha ke hum itni jaldi haar nahi manege. Unka ek plan tha ke jise follow karne ke baad hum academy dubaara join kar paate.

Maine to haa kar di but Naina ab bhi vaha vapas nahi jaana chahti thi, vo kehti thi ke jis jagah ne usse uske bhaiyya chhin liye aur fir uske pyaar se alag kar diya, us jagah vo vapas kabhi nahi jayegi.

Karan - Aur ye Abhimanyu Sir...

Monami - Vo Naveen bhaiyya aur Rajveer bhaiyya ke common friend bhi the aur unke batchmate bhi. Unhi ke idea ki vajah se hum dubaara academy join kar paye the. Vo ek guilt me ji rahe the ke rules aur regulations ke chalte aur apne cheezon ko dekhne ke nazariye ke chalte unhone apne dost ko bahot hi achi tarah se jaante hue bhi unpe bharosa nahi kiya aur unko maut ke muh me jaane diya.

Karan - To tum logo ne academy firse kaise join ki?

Monami (Smirking a little) - Hume Detention Center bheja gaya tha, humare so called sudhar ke liye.

Karan (With a jerk) - WHAT...???!!!

Monami (Giggling a little) - Dheere bolo Khadoosh Shergill, hum lights out hone ke baad mere quarters me bethe hai, ye mat bhulo.

Karan (Biting his toung lightly) - Sorry...!!! Acha ab chalo, baki ki baatein kal batana abhi so jaate hai. Kafi raat bhi ho gayi hai.

Monami - Nahi Karan, mujhe tumse aur bhi baatein karni hai, sirf mere baare me hi nahi, tumhare baare me bhi bahot kuch janna hai.

Karan - Magar uske baare me to hum kal bhi baat kar sakte hai na, Monami...!!!

Monami - Nahi, Kal se vaise bhi hum apne - apne kaam me busy ho jayege. Mujhe baat karni hai Khadoosh Shergill aur abhi karni hai.

Karan (In a surrendering tone) - Okey... Thik hai, lekin mujhe hum dono ke liye coffee to banane do, uske baad hum beth ke baat karte hai, thik hai?... Kis taraf hai tumhara kitchen?

She showed him the way and he got busy in making their coffee. She was looking at him, working in the kitchen. She was feeling very happy and contended after getting him back in her life.
.............................................................

Here's the next part guys...

How was it???

Atleast 50 votes are must...

Aise aur do parts hoge aur uske baad RaIna aur SiMi conversation ke do parts hoge.

Please vote and comment and share your opinions and ideas...😊😊😊

Till the next part... Take care, be happy, be healthy & bye - bye dear readers...❤️❤️❤️

FRIENDSHIP & LOVEWhere stories live. Discover now