13. HER SIDE OF THE STORY

590 72 18
                                    

Hey guys...

Enjoy this part...😊
......................................................................

Both of them were sitting in a cafe and she was shocked to hear that much from him. She looked at him and said...

Monami (With some tears) - Itna sab kuch ho gya aur fir bhi Papa ne mujhe call tak nahi kiya. Maine apna naya number bhi kisi tarah unhe pohochaya tha but fir bhi...!!!

Sid (Putting a hand over her shoulder) - Jab aakhri baar Walnut Uncle ko dekha tha, he wasn't in a good shape. He was completely broken, Monu. Shayad he was finally feeling guilty about the way he treated you. Shayad usi guilt ki wajah se unki himmat na hui ho tujhse baat karne ki.

Monami (Astonishingly) - Main unki Beti hu yaar...!!! Mujhse baat karne ke liye unhe himmat chahiye?

Sid (Holding her hands) - Come on, Monu...!!! Samjhne ki koshish kar yaar. Tere sath shuruaat se hi vo galat karte aa rahe the. Humne agar kisike sath kuch galat kiya ho to kaisi gandiwali guilty feeling aati hai? Walnut Uncle ke case me ye bilkul vaisa hi hai.

Monami (Taking a deep breathe) - Jaanti hu yaar. Tujhe pata hai, jab main academy chhodkar ghar gayi thi, tab maine socha tha ke Papa bahot sunayega but humari life fir bhi back to normal ho jayegi but jab main vapas gayi, to mujhe pata chala ke mere Papa already meri shaadi Anish se fix kar chuke the. Sirf do mahine bache the us shaadi ko aur honewali Bride ko ye tak nahi pata tha ke uski shaadi fix ho rakhi hai.

Sid (Astonishingly) - Oh Freak...!!! To fir tu us situation se nikali kaise kyuki I'm damn sure ke vo sab pata lagne ke baad tune vaha se bhagne ki puri koshish ki hogi, hai na?

Monami (Nodding her head negatively) - No Sid, main already Karan ko kho dene ke sadme me thi. Mujhe aage kya chahiye ya kya karna hai, kuch samjh nahi aa raha tha. Main jaanti thi ke Papa galat kar rahe the mere sath but maine pehli baar Papa ke chehre par ek alag hi khushi dekhi thi. Maine socha ke main ye khushi unse chhinkar ungrateful nahi ban sakti aur maine haa kar di.

Sid (Astonishingly) - Tu pagal hai kya, Bro? Tu apne sath aisa kaise kar sakti hai? Aur agar tune haa kari hi thi to tu ab yaha kaise hai?

Monami (Smiling sadly) - Shayad main andar se itni tuti hui thi ke apne khudke ache bure ke baare me sochna hi chhod chuki thi. Us waqt mujhe Mumma ki dost mili... Aunty Gunjan. Tujhe yaad hai vo? Tu to unse mila bhi hai na?

He nodded her head and she smiled remembering her. She continued...

Monami (Smilingly) - Vo pata nahi achanak se kaise aa gayi mujhse milne. Unhone mujhse kaha vo mujhse milne academy jaane wali thi but socha ke chhuttiyan chal rahi hai to shayad me yaha Papa ke sath time spend karne ke liye ekad din ki chhutti lekar hi aayi hougi to vo mere ghar hi aa gayi mujhse milne.

Unko bhi mera ye Anish se shaadi karne ka decision pasand nahi aaya tha. Unhone bhi mujhe samjhane ki koshish ki thi ke parents chahe jaise bhi ho but vo apne bacho ko kahi na kahi khush dekhna chahte hai but mere Papa to... (Scoffing at her fate) Mere unke liye pyaar ka, unke liye respect ka fayda utha rahe the aur jaise tune abhi Anish ke baare me bataya, shayad vo mere Papa ka fayda uthane ki koshish kar raha hoga, mujhse shaadi karne ke chakkar me.

Jab tak main vaha se nikalne ke liye puri tarah se taiyyar hui thi, tab tak meri Mehendi ka function aa chuka tha. Main uska naam apne haathon me nahi likhva sakti thi aur na hi Papa ko shaq hone de sakti thi, to maine Aunty Gunjan ki help li aur kisi na kisi tarah vaha se jitna jaldi ho sake nikal gayi.

Main unhike sath reh rahi thi, jab tak maine exams clear nahi kar li aur fir training ke liye KMA aa gayi. Ab yahi pe posted bhi hu. Us din jo ghar se nikali thi, tab se lekar ab tak maine kabhi Papa se contact karne ki koshish nahi ki aur na hi kabhi unhone mujhse baat karne ki koshish ki.

Sid (Putting a hand over her shoulder) - Kya tujhe unse baat karni hai, Monu?

Monami (With tears) - Main unhe akele chhod ke aa gayi thi aur maine kabhi unki khabar tak nahi puchhi is guilt me ke maine jo kiya, uske baad Papa ko kitna sunna pada hoga...!!! Kya vo mujhse baat karege, Sid?

Sid (Side hugging her) - Khud ko aur Walnut Uncle ko ek mauka dekar dekh, Monu. Kya pata, sab thik hi ho jay, hai na?

She just nodded her head while still shedding tears. He just hugged her tightly and she was just crying silently in his arms. After a while, when she felt a bit sober, she asked...

Monami (Wiping her tears) - Acha, ab mujhe ye bata ke aisi konsi baat hai jo tum logo ko itna pareshaan kar rahi hai? Aur ye baat mujhe kyu nahi pata?

Sid (Not looking at her) - Aisaaa... Kuch nahi hai, Bro... Tu bhi na, kuch bhi sochti rehti hai...!!!

Monami (Rolling her eyes) - Tujhe kya lagta hai, Bro? Main koi bewkoof hu ke jise kuch dikhta nahi hai? Sach bata kya discuss karte ho tum log aur mere aate hi chup ho jaate ho? Maine nahi dekha hai kya ye sab ya mujhe samjh nahi aata? Sach bata, Sid... Kya chal raha hai?

Sid (Holding her hand) - Main to chahta hu ke tujhe sab bata pau but that's not my story to tell, Bro. Tu apne Khadoosh Shergill ko jakar pakad is mamle me. Vo jab aaj raat tujhse milega to sab discuss karega tere sath. Par main tujhe kuch nahi bata sakta, Bro...!!!

Monami (Taking a deep breathe) - Chal thik hai. Main Karan se baat karugi aur agar usne mujhse kuch bhi chhipaya na teri tarah to uske sath sath teri bhi khair nahi, itna samjh liyo tu, Bro...!!!

He just nodded his head smilingly and they continued their chat further.
......................................................................
Here's the next part guys...

How was it???🤔🤔🤔

Jab isme 50 votes ho jayege, to main next part de dugi varna you'll have to wait for the next part...

Silent readers, please stay away from my stories...😡😡😡

Please, vote and comment for my story and share your opinions and ideas...😊😊😊

Till the next part... Take care, be happy, be healthy & bye - bye, dear readers...❤❤❤

FRIENDSHIP & LOVEWhere stories live. Discover now