Abir To Confess His Feelings.

167 24 2
                                    

At night, when Vishambhar was passing from Mishti's room, he saw her reading a book. Seeing this, he went inside. Mishti looks towards Vishambhar. Vishambhar sits in front of her.

Vishambhar- waah!! Uss family ne kya khila diya?? 14 din mein itna badal gayi!!

Mishti- dad, aapne mujhme aisa kaunsa fark dekh liya??

Vishambhar- fark hi fark hai. Kamra itna saaf. Har cheez tarteeb se rakhi huyi hai. Yeh kitaab padhna. Mishti mai soch raha tha ke tere dimaag mein pehle fark tha ke ab??

Mishti (chuckles)- you should be happy dad ke aapki beti samajhdar ho gayi hai. Theek hai.

Vishambhar- achha yeh bata ke iss duniya mein aisa kaunsa aadmi paida ho gaya jis ne meri beti ko itna sikha diya??

Mishti (thinking about SOMEONE)- dad, duniya mein aisa koi na koi toh zaroor hota hai jiska asar aapka dil aapko bina bataaye qabool leta hai.

Vishambhar- hmm.

Mishti- ab samajh aayi ke zindagi itni bhi be-asooli nahi honi chahiye. So overall, yeh seekha hai ke khoobsurat zindagi ka pehla aur aakhri asool hai "Balance".

Vishambhar- hmmm. Sahi ja rahe ho beta. Ab teri shadi kar sakte hain. At least tere sasural wale tujhse dukhi nahi honge.

Mishti- woh toh bahut achhe hain.

Vishambhar- kaun??

Mishti- sasural wale.

Vishambhar- matlab tuney shadi kar li!!??

Mishti- tch!! Nahi dad. Abhi toh maine sasural wale pasand kiye hain. (Gritting her teeth) Ladke ki confusion hai.

Vishambhar- chal. Uss ladke se baat karte hain.

Mishti- oh ho ho!! Nahi nahi nahi. Hello, abhi nahi ok. Abhi thoda sa ussey meri yaad mein tang ho lene do. Khud hi aayega.

Vishambhar- kab??

Mishti- jab bhi aayega, tab lights jag-mag jag-mag kareingi.

On other hand, Abir was switching on the light, switching off the light, switching on the light, switching off the light and so on.......
_____________________

Here in the garden, Mehul and Kunal were again drinking.

Mehul- o Kunal!! Aaj nahi bulaani koi bakri vakri??

Kunal- Tchh.

Mehul- tu dara na kar mere hote huye. Tujhe kya lagta hai ke mai apne bete se darta hoon??

Kunal- hmm.

Mehul- mai darta varta kissi se nahi.

Just then, Abir came there, but Mehul didn't come to know that.

Mehul (cont.)- jis din khaayi peeyi mein mere saamne aa gaya na, (Kunal saw Abir. Abir was heading towards them crossing his arms to his chest.) aisa danda maarunga beta, saara, saara zamaana dekhega.

Kunal- taya ji, aapki ichchha poori ho gayi. Bhai pichhe hai. Maar do danda.

Abir drags a chair near Mehul and Kunal. Mehul was shocked seeing Abir.

Mehul (putting blame on Kunal)- kya maar do maar do lagaai hai?? Han?? (Kunal was confused) Kabhi kehta hai danda maarna hai, kabhi kehta hai ghutne ke neeche dena hai, kabhi kehta hai mera aise hi chalunga tv, jis se jo hota hai kar le.

Kunal- yaar taya ji, maine aise kab kaha??

Mehul (cont.)- roz mujhe peene bitha leta hai.

Abir looks towards Kunal. Kunal didn't know what to speak.

Galwakdi - The Hug Of Love. Ft. MishbirWhere stories live. Discover now