Story 2.1: Pyaar

3.1K 126 10
                                    

I'm again back with one more short story! Hope you'll will love it the way you loved my last short story!

No target given:(... Inline comments are appriciated :!)

In this story we will be reading what would have been happened if kartik was there from beggining and he would've supported his akshu

*Aarohi is kartik and sirat' real Daughter.

*Kartik had plane crash and he was safe in that...

*Akshara and Abhimanyu confessed their love to eachother.

*Kartik, goenka' and birla' are unknown with this fact.

*Harshwardhan is Positive character.

*Aarohi is a surprise character she might be positive or negative...

*Story starts from the time Abhimanyu and Aarohi are getting married...

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Let's Start!

At Goenka Villa

Akshara: Bhaiya aap jayiye na mein nahi aana chahti!

Kairav: Akshu baccha aise mat kar, aaj tu aayi nahi toh mujhe bohot bada afsos rahega, Aur tune hi bola tha na ki family ki khushi hi sab kuch hai! Toh tere iss faisle ki wajah se parivaar ki bhi koi khushi nahi tikegi

Akshara: Haan bhaiya par agar aaj mein waha aayi na toh mein, mein Abhi ko face nahi kar paungi!

Kairav: Baccha tu aise give up mat kar

Akshara: Bhaiya mein give up nahi kar rahi hoon par mera dil uska kya karu mein? Family ko bhi hurt nahi kar sakti na hi mein Abhi ko aur hurt karna chahti hoon... (tears overpowered her emotions and she put her heart out)

Kairav: Akshu agar tune aaj ye kiya na toh mein hamesha ke liye bhul jaunga ki tu MENDAK & SHERNI ki beti ho...

Akshara: Please bhaiya mein nahi kar paungi... Meine.....meine...

Kairav: Kya meine akshu?

Akshara: Meine Aru ko promise kiya tha ki mein uske aur abhimanyu ke bich nahi aaungi aur na hi mein abhimanyu ke sath koi rishta rahungi sivay.... (sobs) Ji...ja...ji... aur Sa....li... ke

Kairav: Akshu ek promise ki wajah se wo abhi se abhimanyu hogaya tumhare liye? Aur, Sabke bare mein sochna band karo aur khudke bare mein baat karo, Agar papa ko pata chala toh kya kahogi unse?

Akshara: Bhaiya unhe pata na chale isiliye toh mein... meine... unse baat nahi ki hai jab se aru ki shadi fix hue hai, Yaha reh rahi hoon ye kehke ki mujhe mumma ke paas rehna hai...

Kairav: Haan wo ek hi toh baat hai jiski wajah se papa ne tuze roka nahi hai beta par unhe pata hai ki tere dil mein kuch toofan chal raha hai...

Akshara: Bhaiya bas aaj ka din uske baad mujhe papa se dur rehne ke koi jarurat nahi hai, Na hi apne emotions chupane ki

Kairav: Beta, Accha mein tuze toh kuch keh nahi sakta par mujhe bata abhimanyu kaise maan gaya?

Akshara: Jaise mein aru se manipulate hue hoon wo manjiri Maa ki wajah se maan raha hai!

Kairav: Tum dono ko mein kabhi maaf nahi karunga...

Kairav leaves from the place leaving akshara on her own...

Akshara to herself: Nahi horaha mujhse aur mein nahi seh sakti ye sab kuch, mujhse nahi hosata abhi ko kisi aur ke sath dekhna, chahe wo meri khud ki behen hi ho...

Par kya karu meine sirat mumma ko promise kiya tha ki aru ka khayal rakhungi hamesha, uski iccha uske dreams ko preferance dungi! badi hoon isiliye uska khayal rakhna zimmedari hai meri

Par mere pyaar ka kya karu usee bhi nahi jane dena chahti mein na hi wo mujhse alag reh sakta hai chahe wo sab Maa ke liye hi kar raha hai par mujhe pata hai wo ander hi ander ghut raha hai, khud ko taqlif deraha hai Maa ke liye toh mein apni behen ke liye...

Abhi hum dono ne pyaar kiya par nibhaya nahi, I hope hum jab agli baar milenge tab mein aur tum dono ke paas pyaar ke ladhne ki takad ho aur himmat bhi...

Abhi I don't want to loose you, neither I want to let you ruin your life but, life is brutal this time...

Par Bhaiya ki bhi baat sahi hai agar mein shadi mein nahi gayi toh sabko shak hoga specially papa ko, Mujhe jana hoga, aaj 3 zindagiyan barbaad horahi hai 2 ki zindagiyon ka khud ka faisala hai barbad hone ka aur 1 jhuti khushi ke piche khud apni zindagi bardad kar rahi hai kyuki abhi kisi aur se pyaar kar hi nahi sakta mein 100% sure hoon mere abhi ke bare mein aur rahi baat aru ki I just hope usee kuch taqlif na ho apne iss faisle se...

Mein aur Abhimanyu pyaar mein ek dusre ko Barbaad hote hue dekhenge aaj

She gets ready and leaves for the wedding venue, she was feeling an unknown pain in her heart the way she felt when she got to know about naira mumma the same pain which she experienced at the time of her sirat mumma' death, same pain was cursing her again and this time all she did is ignoring it and going to attend her sister and her heart' wedding just by kepping a smile on her pale swollen face... She knew that she can't handle herself from this feeling but she had to do it because her heart her love was experiencing something more worse...

She goes inside and get mixed with all family members and got busy pretending that she is fine...

Abhimanyu on other side was fighting with his own feelings and brain which were thinking way apart things: Abhimanyu Birla tumhe ye shadi karni padegi, agar meine ye shadi nahi ki toh (he sees his parents enjoying) Ye jo smile Maa ke chehre par aayi hai wo hamesha ke liye chali jayegi, Maa ko zindagi mein pehli baar Sir se wo izzat mil rahi hai jo wo deserve karti hai woh bhi bas isi wajah se ki mein ye shadi kar raha hoon...

Par Akshu ka kya? Akshu toh mujhse pyaar karti hai aur mein bhi......

Hum dono ko hamara pyaar majur hai hum dono ko ekdusre ka pyaar chahiye par hum dono bhi parivar ko taqlif nahi desakte...

Hum dono ko hamara dil tutna manzur hai par, Kisi ka dil todna manzur nahi hai...

Akshara abhimanyu ki ho nahi payi par abhimanyu bhi akshara ke sivay kisi ka nahi hoga...

Akshu tum yaad rakhna agar iske baad kabhi mauka mila toh Abhimanyu akshara ka hi hai aur Akshara abhimanyu ki hi hogi...

Abhimanyu wipes his tears and stands in mandap holding varmala...

End of POV...

Kartik to himself: Sirat dekho aaj hamari beti kitni khush hai aaj, Tumhe pata hai aarohi mein mujhe tum dikhti ho... Wo bhi bilkul tumhari hi tarah ambitious hai aur intelligent bhi... Aaj ke baad hamari beti kisi aur ki amanat banegi sirat...

Neel to Kartik: Uncle kuch arrangements ke bare mein baat karni hai 2 min aayiye na...

Kartik: Haan beta tum chalo mein aata hoon!

Neel: Ji uncle...

Kartik clears his fatherly tears and moves to see the arrangements...

-.-

Flewww!!!

So, this is it for this chapter, I'll be back to post another chapter when I will see you guys liked it, As I'm done writing so it all depends on you guys... This is kind of hidden target... Writer is too much khurafati... ^_\

Byee Byee Love from this Side ❤️

Moments Ft: ABHIRAWhere stories live. Discover now