The Phoenix (Part-12)

823 148 146
                                    

Continuing from previous par

"Aaj se 13 saal pehle ki baat hai, Karishma kuch 16 saal ki thi aur Anu 19 ka...dono bhai behan mein bahot pyaar tha par us din...(maa paused), us din kya maa?" HM asked.

"Us din ek aisa toofan aaya jisne is rishte ko bikher kar rakh diya.." Maa said sadly. "Aisa kya hua aur itni kam umar mein KS ne aisa kya kar diya ki sir unse naraz ho gye?" Haseena asked. "Anu ke college ka dusra saal tha woh badi lagan se padhai aur part time job dono karta taki uski padhai mein koi dikkat na aaye...maine mana kiya ki meri naukri hai toh tension na le magar hai toh apne Baba ka beta hi isliye nhi mana....ek din Karishma ne kisi aur ko bachane ke liye Anu par chori ka ilzaam laga diya...jiski wajah se Anu ko do mahine ki jail ho gayi aur tum toh janti hoon ki jail jane wale insaan ko kabhi koi government job nhi mil sakti...Anu ka sapna tha apne Baba ki tarah Police force join karne ka...par uska sapna adhura rah gya...!" Maa said sadly.

"Par sir toh abhi bhi force mein hai aur agar sir ne chori nhi ki thi toh unhone khud ko begunah sabit kyu nhi kiya?"

"Force toh usne na jane kitni  baar apni imaandari aur deshprem ki pariksha dekar join kiya aur rahi baat khud ki begunah sabit karne ki toh yeh baat sirf Anu hi janta hai ki usne kyu nhi khud ko begunah sabit kiya aur sach bataya...!"

"Umm...waise sir kaun se department mein hai? " Haseena asked. "Mujhe nhi pata, mujhe bas Anu ne itna bata rakha hai ki usne apne sapne ko pura kar liya...bas jab kahin jata hain toh bata deta hai ki ja raha hai...!" Maa answered with a smile. "Aapne kabhi puchha nhi?"

"Nhi...kyunki vishwas hai mujhe apne bete par...agar unse khud mujhe kuch nhi bataya hai yani uski koi wajah hogi isliye main nhi puchhti usse, jab use laga ki batana hai toh woh khud bata dega...aur tum bhi is baat ka dhyaan rakhna agar woh kuch nhi bata raha hai toh kabhi zabardasti ya emotional blackmail karke mat puchhna....!"

"Hum kis hak se sir se sawal karne lag gye..!" She said with a sarcastic smile. "Jis hak se tum hume sawal kar rahi ho Anu ke bare mein....!" Maa replied with a smile. "Woh toh hum bas aise hi..." She said nervously, avoiding any eye contact.

"Hum sab jante hai isliye aise nazare chhipane se kuch nhi hoga, pasand karti ho toh kah do usse warna woh waqt ka parinda ud kar kis daal par baithe koi nhi janta...!"

"Aapse puchh liya kyunki aap gussa nhi karti hum par, par Sir...woh toh Gun liye baithe rehte hai pata chala hamare izahaar se naraz hokar on the spot murder kar diya hamara..!" She said smiling. "Phir kya puri umar aise hi apne dil ka haal usse chhipaye rakhogi?"

"Haan....kyunki hum itne din mein Sir ko itna toh jaan chuke hai ki sir kabhi hamare pyaar ko manjoor nhi karenge lekin humne unhe apne dil ka haal bata diya toh hum dono ke beech ek ajeeb si doori aa jayegi, jo comfort hamare beech hai woh khatm ho jayega aur sabse important baat shayad sir ko accha nhi lagega...ab jab mahboob ko hi hamara ishq na manjoor hai toh us ishq ko uske samne bata kar kyu dil ko dard de...!!" She said smiling. "Hmm...waise hume bhi tumse kuch puchhna tha...! "

"Hamari ammi aur parivaar ke bare mein?" She asked, maa hummed.  "Agar tumhe lagta hai ki tum hume bata sakti ho tabhi batana...!" Maa said softly. Haseena smile softly, holding maa hand between hers. "Hamari ammi bhi aapki tarah bahut sweet thi, humse bahut pyaar karti thi...abbu ke shaheed hone ke baad badi mehnat se hume pala....abbu ki kami hamesha hamari zindagi mein rahi par waqt ke saath humne apne abbu ke sapne ko pura kiya, police force join kiya...sab thik tha par do saal pehle sab barbaad ho gya..(regretful). "Aisa kya hua?" Maa asked.

"woh.....Miss Malik hume aapka computer Use karna hai ( he said, interrupting their conversation) sir woh hamare room mein, aap Use kar sakte hai."

The Phoenix ✔Where stories live. Discover now