13 . Pardafaash (part - 1)

789 87 21
                                    

Just a little request don't ever ever lie to one who loves you the most. Cos bharosa chheez hi aisi hoti hai ek baar toot jaaye to phir kisi pe vishwas karna bahut mushkil ho jaata hai. Aur us bharose ke saath bahut kuch toot ta hai jiski kabhi awaaz bhi nahi hoti.

Here you go with today's update :

After Akshu told him Abhi came to the hospital.
Here Manjari when came to consciousness started asking about Abhi. Abhi who was standing aloof away from others came in front.

Man : Abhi beta ek baar apni maa ke paas aa jaa. Tune Mumbai ke hospital me apply Kiya hai jab se pata chala hai kuch me bhi man nahi lag paa raha. Na khane me na peene me bas yahi lag raha hai ki tu humse bahut door jaa raha hai. Akshara aisa kaise kar sakti hai?

Ab : Kamal hai Maa. Kya Maa hai aap. Meri dil ki dhadkan pehchanti hai keh keh ke mujhe humesha dhokhe me rakha. Jab ki sach to ye hai aapne mujhe humesha us hi tarah se rakha ki main wahi sochun wahi decide Karu jaisa aap chahti hai. Aur aaj pehli baar aisa nahi ho paa raha hai to aap blame Akshu pe laga rahi hai. Jabki sach kahu to main to yaha ye jo last baar aaya hu na aap sab se milne wo bhi Akshu ki wajah se aaya hu (Manjari's heart was broken after hearing this) Ek wo hai aapse usko Jo bhi issues hai usne phir bhi mujhse kaha ki aapko meri jarurat hai aur mujhe aapke paas jaana chahiye aur yaha aap hai jo jaanti hai ki main Akshu ki jarurat hu ya nahi hu wo meri jarurat jaroor hai phir bhi mujhe uske khilaf karne ki koshish me hai. Ab tak to nahi kaha tha par ab kahunga : AAJ MAIN BAHUT SHARMINDA HOON KI MAIN AAPKA BETA HOON.

Man : Abhi please beta apni maa ko maaf kar de kuch bhi keh de par aisa mat kah ki tujhe mujhe apni maa kehne me bhi sharm aati hai.

Ab : Pehle nahi kehta par ab aapne koi wajah nahi chhodi hai aisa na kehne ki. Waise ek baat puchun kis mandir se giri thi aap.

Mah : Wo Abhi wo purane bazaar me hai na kuldevi ka mandir waha seedhiyon se.

Ab : Oh woow main bhi badi Mumma ko leke aaj waha gaya tha around 10 AM. Pandit ji se kaafi der baat bhi huyi wo to Birla family ko kaafi achhe se jaante hai na par unhone mujhe ye to nahi bataya ki yaha Maa gir gayi thi aaj. Jabki aap log to mujhe subah me 7 baje se continuous call kar rahe the to jahir si baat hai Maa usse pehle hi giri hongi.

Now everyone were shocked as the curtain from their lie is opened.

Ab : Aur to aur aap sab ne Neil ko bhi jhooth bola. Wo bechara sir ke diye gaye kaam ki wajah se raat bhar yahi tha to aap sab ko mauka mil gaya plan banane ka ki kaise Abhi ko apne jaal me phasaya jaaye. Taiji itna sab kuch ho gaya. Itna kuch kar chuke aap sab peechle ek saal me phir bhi ab tak shaanti nahi mili aapko. Parth Bhai, Shefali bhabhi aap dono bhi shamil ho gaye is gang me. In teeno se to mujhe ummeed nahi thi. Aur aap sab jaante hai ki main Neil ke contact me hu isiliye Neil ko bhi ghar se door rakha taaki use bhi pata na chal paaye is baat ka. Wo to achha hua ki maine Akshu ko abhi is baare me nahi bataya hai socho jab use pata chalega ki aap sab ne kya kiya hai wo kitna toot jaayegi. Sab kuch tabaah ho gaya phir bhi ab tak aap logo ki saajish ka ant nahi hua. Mujhe laga tha ki kal jo hua wo aakhiri tha uske baad aap log aur kuch nahi karoge jisse mujhe aur hurt hoga par aaj to aap log apne last set kiye gaye level se bhi aur neeche gir gaye. Ab aur kya kya chhupa ke rakha hai aap logo ne apne sleeves me bata dijiye atleast prepared to rahunga aapke war ke liye.

Meanwhile all of them have their heads bowed due to shame. They can see how much broken Abhimanyu was sounding.

Man : Abhi kal jab tu waha se gaya to main bahut Darr gayi thi ki tu ab kabhi nahi aayega mujhse milne us waqt bas yahi ek cheez dimag me aayi thi mere. I am sorry beta maaf kar de apni maa ko.

GUMNAAM HAI KOI...(Discontinued 💔) Onde histórias criam vida. Descubra agora