باب٥

246 11 133
                                    


𝐒𝐨𝐳 𝐄 𝐘𝐚𝐪𝐞𝐞𝐧

سوزِ یقین

Chapter Five

Navy blue shalwar kameez aur sath mai matching duppta ek taraf auray woh samne se chali aarahi thi, ajj uske baal high pony tail Mai bandhe huwe thy gehri kaali ankhe khoob chamak rahi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Navy blue shalwar kameez aur sath mai matching duppta ek taraf auray woh samne se chali aarahi thi, ajj uske baal high pony tail Mai bandhe huwe thy gehri kaali ankhe khoob chamak rahi thi

"Hey Zari kesi ho"
Blackish Hoodie Mai mabloos woh samne se aata us se muskura ke kehne laga

"hi mai thek tum kese ho"
Usne bhi muskurahat ke sath jawab diya

"All good, looking pretty girl"
Ek nazar uske ajj ke look pe Dale usne kaha aur woh jawaban muskura bethi

"shukriya, you too -"

"ahh na girl mujhe return tareef nahi chahiye"
Woh samjh gaya tha ke woh bhi uski tareef hi karne wali hai isliye us se phele bol para chehre pe muskurahat sajaye

"ajj wese bhi kaam kam hai tou isliye we will go for a ride"
Usne Khushi ke sath kaha tha aur woh bhi hami mai sar hila di

"errr Excuse me"
inke peeche se kisi ne apna gala khircha tha shyd inki tawaja lene ke liye, dono ne foran apna ruk uski taraf murra, kaley se libas mai woh chabis sala mard apne hath bandhe khara tha ek tou Kaley rang ki shalwar kameez aur upar se shawl urrey woh behadd zyada mabloss sabit ho rha tha, usse dekhte hi ek ke chehre pe ab bhi pheli jesi hi muskurahat thi tou dosere ke chehre mai se woh muskurahat gahib ho chuki thi sath mai tarah tarah ke khayal uble thy...

"MashaAllah kaha ja rahe hain chaar chand lagany"
Husam ne uske aaj ke holiye ko nazar rakhte gehri muskurahat se pucha jiske jawab pe shehryaar ne ek muskurahat ka agaaz kiya

"hum jeso ka mayaar chand mai kaha, chand tou akela asmaan pe raj karta hai aur hum is duniya ki behr mai ek musafir thehr...kon janey kab hum apna safar mukamal kiye chal diye is duniya se rukhsat huwe"

"khair... Husam ajj yaha mai nahi honga isliye tum aj yaha ka kaam Sambhal lena koi Masla ho tou mujh se foran rabta kar lena"
Shehryaar ne ab apne maqsad ki baat shuru ki aur jate huwe ek nazar us par dali....jo uske alfaaz sunne usse hi dekh rahi thi...

"mere samne Aane se agar uski muskurahat uske chehre ka sath chor jati hai tou mai aaida uske samne nahi aaon ga "
Shehryaar khud se kehta ab apni car mai Beth chuka tha...

Aur doseri taraf woh uske jaane ke baad ek gehra saans le rahi thi

"Hey zarii are you okay"
Ye dekhe Husam Ne fikarmandi se us se pucha

"yeah iam"
Usne ek sada si muskurahat dete kaha

"phr chale ghoomne"
Kuch dair baad Husam Ne kafi khushi se kaha tha ye sunne Zarnish chonki thi

"Abhi???"

"Maine suna hai neik kaam mai dair nhi karni chahiye"
Husam ki baat pe Zarnish halka sa Hass di Waqai ye shaks bhot dil chasb tha Iske aane se woh zyada muskura rahi thi, shyd zindagi badal rahi thi khushiyoon ki pehwaz ho rahi thi..

𝑺𝒐𝒛 𝑬 𝒀𝒂𝒒𝒆𝒆𝒏Where stories live. Discover now