Rishte

79 7 0
                                    

Rishte naam dena har waqt kyu jaroori hain ..
Kya bin naam ke rishte nahi hote hain..
Kya har rishte mein imaandari nahi hoti hain..

To kyu rishte bina naam ke nahi hote...
Aur kyu vo naam is duniya se dar ke rakhe jate hain..
Kyu rishte banne se pahle bhi is duniya ko dekha jata hain..
Kyu bin duniya ki manjoori ke rishte nahi hote..
Kyu ye duniya rishte ko jayaz - najayaz ka darza deti hain..

Kyu ek rishta pavitra aur dusra kudrat ke khilaf kaha jata hain..
Kyu insaan ko insaan pyaar karne mein bhi dar sa lagta hain..
Kyu pyaar adhura dusro ki wajah se hota hain..
Kyu apni pahechan dusre se chupani padti hain..

Kyu khushiyon ko samaj ke dar se chodna padta hain..
Kyu pyaar bhi samaj ke hisab se karna padta hain..

Kyu dil ka rishta bhi samaj ke dar se chuna jata hain..
Kyu rishte samaj banta hain..
Kyu..kyu...kyu..

Kuch Baatein Where stories live. Discover now