HE IS NOT A BABY

1K 94 140
                                    

*you are heading towards the stairs, suddenly you bumb into someone
You were about to fall but he  hold you by your waist*

Yn : t-thanks

*he didn't said anything and kept staring at you*

Yn : thanks?

Jay : oh
Be careful yn
abhi niche gir jati toh

Yn : w-wo maine first time saree pehni hai isliye
thodi problem ho rahi hai chalne mai , you said and back off

Jay : you are looking beautiful in saree

Yn : I know I'm looking beautiful, anyways thanks for the compliment

Jay : hmm

Yn : agar hmm hmm he karna hai toh jake cow se baat karo, mujhe ye language nahi aati

Jay : mujhe late ho raha hai, aaram se niche jana
girna mat , he said and went downstairs

Yn : agar attitude ka koi face hota na toh yahi hota
Ek minute bhi pyaar se baat nahi kar sakta hai
Khadus nevla
man toh kar raha hai yahi se kud jau

Neha : kis se baat kar rahi ho tum? Pagal wagal toh nahi ho gyi

Yn : Aree nahi di bas aise he

Neha : di mat bolo mujhe
Naam hai mera
*Neha*

Yn : izaazat hajam nahi ho rahi hai, you mumbled

Neha : kuch kaha?

Yn : kuch suna?

Neha : nahi.

Yn : fir kuch nhi kaha

Neha : kitni rude ho tum,

Yn : thanks for the compliment

Neha : mujhe koi saukh nahi hai tumse baat karne ka
wo toh dadi ne kaha isliye aa gyi, she is calling you

Yn : aa gya bulawa
aaj pure maholle ka khana na banaye, MBA kiya tha
halwai bana diya hai

Timeskips ~~~~~ 
At dining table, everyone is eating peacefully then dadi spoke

Dadi : Aarush kyu nahi aaya?

Mrs sehgal : maa ji pata nahi
Jab se aaya hai room lock kar ke baitha hai
Kisi se baat nhi kar raha hai

Dadi : kya hua hai usse?
kisi ne baat ki uss se

Mr sehgal : itni raat ko aaya hai, tired hoga

Mrs Sehgal : jab se aaya hai udaas he hai, bol raha tha ki
Kisi se baat nahi karega

Jay : mai abhi bulata hu

Dadi : nahi beta tu rehne de
tu kuch bol dega toh wo aur ruth jayega
tanmay tu ja uske pass
Iss ghar mai bas wo teri he toh sunta hai

Tanmay : ji dadi

Mrs sehgal : yn tum bhi jao, uss se mil lena

Yn : ji

Tanmay : come with me

***************************

Yn pov : I hope ye bhi koi cartoon na ho, par iski family se kya expectations rakhu mai
cartoons ki family hai

Tanmay : Aarush, darwaja khol

Yn : tod dete hai

Tanmay : mujhe cid ka daya samjha hai
ek Chipkili nahi maar sakta Mai, badi aayi
darwaja tod do

Yn : tumhare pass koi dusri chabi nahi hai

Tanmay : ye khol dega darwaja bas thoda bhaw khayega
Aarush darwaja khol
bacchon jaisi zid mat kar

JUST MARRIED ✅जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें