BUSINESS TRIP

737 94 18
                                    

NEXT MORNING~~~~ 

Yn : itni subha subha back pack kyu kar rahe ho??
himalaya ko nikalna hai

Tanmay : tum se matlab?

Yn : Aree
ye kya baat hui
bata ke toh jao
kaha ja rahe ho?

Tanmay : jahannum mai ja raha hu
chalogi?

Yn : ooo ghar wapas ja rahe ho

Tanmay : listen
abhi mood nhi hai
subah subah tumse muh laga kar pura din kharab nhi karna

Yn : mujhe bhi koi interest nhi hai tumse baat karne mai
jaha jana hai jao

Tanmay : kal raat ko USA se dad ka call aaya tha

Yn : kab?

Tanmay : jab tum saare jaha ko bhula ke bed par mari hui thi tab

Yn : toh?

Tanmay : bhai nhi ja sakte wo neha ke sath uske ghar gye hai
Isliye mai ja raha hu
waha kuch urgent kaam hai

Yn : sacchi? ja rahe ho!?
*happily*

Tanmay : itna khush kyu ho rhi ho? mere piche bhagne ka iraada hai

Yn : Aree tum jaa rahe ho
toh ye pura room temporarily mera hoga
ab mujhe tumhari sakal nhi dekhni padegi
bhagwaan ne sun meri sun li
abhi mandir jake nariyal chadha ke aati hu

Tanmay : *chuckle*
mujh se itni nafrat hai tumhe yn..

Yn : haan hai toh? tumhe aaj pta chala?
waise wapas kab aaoge

Tanmay : kya fark padta hai, jab aana hoga aa jaunga
tum mere jane ki khushi celebrate karo
Mere wapas aane ke kauf mai rahogi toh celebrate nhi kar paogi

Yn : tum mujhe dil tute aashiq wale nazro se kyu dekh rahe ho! ?

Tanmay : nazro ki bahot pehchan hai aapko
kis kis ne dekha hai aapko in nazro se?

Yn : ek saks ke pyaar ke liye bahot ka dil todna pada tha mujhe
ab kya batau
itne aashiq the mere

Tanmay : ek shyri sunau ?

Yn : irshaad

Tanmay : mahobbat ho gyi hai unse ye unhe kaise bataye hum ~~
mahobbat ho gyi hai unse ye unhe kaise bataye hum ~~
Tareef kare.. Sajda kare.. Ya unhe seene se lagaye hum ~

Yn : wah wah wah wah

Tanmay : sukriya sukriya

Yn : accha batao na wapas kab aaoge?

Tanmay : pata nhi
4 - 5 din toh lag jayenge

Yn : mom, dadi koi ghar par nhi hai
Aarush bhi apne frnd ki sister ki shadi mai gya hai
mai akele kya karungi
tum bhi jaa rahe ho

Tanmay : tum keh rhi thi na
friend ke ghar jana hai
jab tak sab log na aa jaye chale jao uss ke ghar

Yn : nhi jana

Tanmay : jaisi tumhari marzi
mujhe toh jana hoga

Yn : jana jaruri hai *puppy eyes*

Tanmay : haan hai isliye jaa raha hu
tumhe kya hua ab?

Yn : paise mujh se jayda important hai?

Tanmay : haan hai

Yn : kya????
how dare you
mai important nhi hu , paise important hai

Tanmay : ye sab hum baad mai discuss karte hai
I have to go now 
hato mere saamne se

Yn : nhi na
mat jao plz

Tanmay : ye kaisi zid hai yn
abhi toh itni khush thi
ab kya hua?

Yn : mai nhi chahti tum jao?

Tanmay : par kyu na jau?

Yn : Maine apne frnds se promise kiya tha ki tumse milwaungi
tum nhi aaye toh meri insult ho jayegi
wo kya sochenge mere baare mai ? Commitment diya tha maine

Tanmay : tum isliye rokna chahti ho mujhe ?
taki tumhari insult na ho jaye?

Yn : nhi.. Matlab haan
aur kyu Rokungi
tumhare rehne se bhala mera kya fayda

Tanmay : oh
am sorry yn.. tumhare commitment se jayda important hai mera kaam
good bye

Yn : Tanmay-
Uff chala gaya

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
To be continue ~~~
can i get 30 votes 😗

JUST MARRIED ✅जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें